Showing 250- 300 questions from 876 questions on this page.
Question: Assalamoalaikum, Mera Sawal ye hai ke. 2011 Dec shadi ke aik month baad main saudia aa gaya or meri biwi apney parents k ghar chali gai ghar ki problems se tang aa ke mainey meri biwi ko aik court stamp paper pe divorce sign ker k bhej di or halake mainey meri biwi se phone pe bhi baat tak nahi ki thee, to kia meri talaq ho chuki hai ya koi hal hai wapsi raju ka.?
Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: talak k kuch din bad hum nikah ker sakte hain kyon k kuch mujbore thi or lady hamala bhi nahi thi
Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya hihala mai dusry miya ko haqe zojiat daina zaroori hai agr dusra husband apni marzi sy hi apna haq na ly aur talaq dy dy to kya ye hilala jaiz hua phr kiya ja sakta hai pehly husband sy nikah k nhi
Answer: Jab tak doosra shohar jima(hambistry) nah kare tab tak wo aurat pehle shohar per halal nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2491). Update on dated 03-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia nashy ki halat main taalak ho jati hai?
Answer: Agar koi shakhs nashay ki halat mai talaq kahay to talaq sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aik aurat aik hi aadmi kitni baar khula le sakti hai nikha ke baad
Answer: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2491) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalam-o-Alaikum! mera sawal yeh hai ke? Mere husband ne mujhe teen talaq ek sath di jo k mene suni b hain ye baat 2 feb 2013 ka 4 maah honay walay hain ji waqt unho ne mujhe talaq di main halat-e-hez me thi kia yeh talq waqia hogae hai k n hai quran o hadees ki roshni me is baray main tafsil se aagaaha kerain.
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: iddat main umra karne k liye jana jaiz ha
Answer: Agar ye iddat talaq ki hai to shohar ki ijazat k baghair nahi ja sakti hain laikin agar ye iddat wafat ki hai to umrah karnay ja sakti hain. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere shohar n mujhe talaaq di lekin mobile phone k zariye, usnay muje mesage kia talaq talaq talaq aur wo mesage usnay meri dost ko bjha meri dost n muj tk puhnchaya .ab mera dusra nikah hogya h.kia pehli talaaq hogayi the is surat m.kiu k muje mera phla shohar wapis bularaha h dhokay ki bunyaad p aur ye keh k k ye talaq n hui.ap koi hal nikal sktay h quran ki roshni me?
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa jab m pregnant thi to mery shohar ny mugy aik dafa talaq di thi. mera sawal ye h k rajoo krny ka sahi tariqa kia h? kia rajoo k ly intercourse krna zarori h?
Answer:
Agar talaq tamam shariat k sath sahi di thi to 2 tareeqay sai insan aurat ki taraf roju kar sakta hai. 1)aisi baat karay jis sai pata chalay k is nai osay dubara apni biwi bana lia hai. 2)koi kaam karay aur os sai roju ka irada karay aur jima karnay sai roju sabit ho jata hai.
Is k alawa mard k lie lazim nahi hai k kisi ko gawah banay ya apni biwi ko roju ki khabar dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2488-89)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaikum Meri Shaadi 21 Nov. 2011 me hui thi mera ek baccha 11 mahine ka h. aay din wo mujhsay ladti jhadadti rehti h. to wo maikay chali jati mere lakh mana karne per usko samjh me nahi a ya to maine ek gussay me ek galti kardi me family court jakar usko talaq ka natice bhijwaya. aur nadwa se fatwa liya ye sara kaam maine gussay me kiya me bahut sharminda hu. ab aap hi batayay kiya meri talaq sariyat ke taur per ho gai ya nahi? Reply Soon
Answer: Talaq mai zaroori hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu, talaq sahi nahi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462-4) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ap mujhy ye batain ager koi shak kala jadu karwa k kisi ki biwi ko msg k zarye talak dilwa dy tou wo talak ho jati hao plz answer me hum log buhat pareshan hun hum logo ne malum karwaya hai k bhai k uper kisi ne kala jadu kia howa hai ap mujhy zaror batiga
Answer: Talaq ki shariat mai sai hai k talaq ka seegah sahi arabi main lafz e “طالق” k sath perha jay likhnay sai talaq bahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ap mujhy ye batain ager koi shak kala jadu karwa k kisi ki biwi ko msg k zarye talak dilwa dy tou wo talak ho jati hao plz answer me hum log buhat pareshan hun hum logo ne malum karwaya hai k bhai k uper kisi ne kala jadu kia howa hai ap mujhy zaror batiga
Answer: Talaaq ki shrait mai sai hai k talaq zabani di jae yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a/w hajrat mera sawal yeh ai ke gosse me meayne kha jaw tmko may aak 1 tlaq deya keya wo tlaq pure hogae
Answer: Talaq ki shart mai sai hai mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aoa mary shor nay ghussy mai ay kar muje 2talaq di muje ko dqrny kay lay sath mai kha main tum ko talaq day do agar tum chop nahi howy tu us kay baat mai hosh mainahi rahy hospital chaly gayphir jb ghar ayetu hony kha 3 bhi di tum ko per up wo ghusssy sa bhir aye tu wo muje ko sath lay jany aye hai or mai jana chaht hoo tu batyyeh talaq mani jay ge pl mari madas kar
Answer:
Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: ye talaaq durust nahi.
Question: mera sawal ye ha k mj mry sohar na alag alag kr k 3 br talauq di and divorce paper m talauq salasa di, ab talauq nama meray pass ha and ma 3 months period b guzar cuke according to islam and mj after 3 months talauq b ongae completely, kia ab court sulah k notice bhaj skti ha mry ghar, na mana court m petition file ki na mry sohar na, tu kia jin k pass divorce copy hti ha kia wo court m khd sa divorce copy bhaj sakty hen ye nae? aur talauq k waqt ktni divorce copy issue hoti hen? i need ur ans urgently
Answer: kisi Advocate se in bato ki malomaat hasil karain yahan per Fiqhi masail ke jawabaat diye jaate hain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mene apni biwi ko 3 data talaq kaha aur mje pasta nai tha k us ki mahwari chal rahi hai to kya ye talaq hogai Aur agar nai hui to is Ka kafara kya hoga Pls. Jaldi reply kareye ga.
Answer: Zaroori hay k talaq ka alfazaat arabi men parhe jaen or 2 Aadil afraad wahan mojood hon jo un talaq k alfazat ko sunen , chahe mard khud talaq de raha ho ya wo kisi apna wakeel banaye talaq dene k liye, or agr mard arabi men talaq ka seegha nah parh sakta ho or wakeel bhi nah bana sake to wo jis zaban men chahe us lafz k zariye talaq de sakta hai jo talaq k arabi lafz ki hi matlab rakhta hay. agar koi shakhs oaraat ko mahwari se paak samjhte hue talaq dede to or baad men pata chale k wo mahwari ki halat men thi to uski talaq sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #2471-2465)
Question: Assalam alaikum maine ak talak diya hai . wapis mai apni biwi ko apne haq me rakhna chahta hu . kya rujoo wajib hai ? ye rujoo kya hota ? iska matlab kya hota our rujoo kaise kiya jata hai ?
Answer:
Talaq ki khuch sharait hen, agar aap 1 talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k albatta agar tesray haiz aa jay tu phir ap dubara nikah ker saktay hain.
Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship rakhna or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aysi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa(humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mery Sohar (husband) nay teen martba aik waqat pay lafaz talaq kahata us waqat may be apny hoosh may ti our who be apny hosh may ta . Kehny ky bad many usy kha k y tum nay kia kehdia to who sharmanda our preshan howa k muj say ghalti hogai hay our sat (seven) maheny (months) ky bad kehta hay kay may talaq nahi de hay. Kia ye talaq waqia hogi hay ya nahi. Please humari madad kary.
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: Salam mujhe btaiye msg me talak hoti hai agar aik sath 3 br boli jaye mai pregnet hu or ye ke bacha hone pe ye implimnt ho gi
Answer: Ye talaq sahi hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: aslam o aliku sir mere dost ki wife ne apne sohaer se talaq li ur us ne guse me dy di 3 dafa 2 novmbr 2013 ko us ko aj 78 din ho gy haIN talaq lyne ki waja us ne ye batai thi k us k dewar ne us k sath zbrdasti hmbistari ki ha ab wo dobara apne soher se sula krna chahti ha batain sula ho sakti ha k ni ur jo us k dewar ne us k sath hmbistri ki ha us ka kiya hal ha
Answer:
Ye talaaq sahi nahi hai wo ab bhi usi ki bv hai q k talaaq ki chand sharait hain jis me se kuxh ye hai 1) Mard talaaq kay waqt talaaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi 2) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawaho ki maujoodgi main di jaay (Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462)
Dewer ne Jabran zina kiya ho aur bhabhi razi na hoto to dewar ko mehr-e-misli (in jaisi aurto ko jitna meher aam tor par hota hai) bhabhi ko dena hoga or allah se tauba bhi kerni hogi. (Ref: sistani.org) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslamu alekum. Sir mera talak ho chukka hai. Main apse ya puchna chahte hu ki mujhe talak main kitne din iddat main rahna hoga. Or kin kin cheezo sa par-heez karna hai. Or meri iddat kaise puri karu. Please mujhe jalde bataye. Khuda haffiz
Answer: Jis aurat ki umar pure 9 saal hochuki ho or wo yaaisa bhi na hon, or os k shohar os se hambistry ki ho to talaq ki surat men os per iddat wajib hai, is surat men agar 2 haiz ka darmiyani fasla 3 mahino se kam hai to talaq k bad jab bhi ap ko 3 dafa haiz aye to os ki idat khatam hojaye gi.(matlb talaq k bad teesra haiz aate hi apki iddat ka waqt khatam ho jata hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam o alakum kuch arsa pehle mere bivi pregnent thi aur mere pass 4 mahene rahe aus ke bad wo chale gaye aur bacha bhi ho gaya aur hamara 15 mahene aik dosre ke sath wasta bhi nahi raha tha aur aus ne court main ja kar mere upar pition kya aur mane aus se talaq de di jo ke zabani 3 martaba kaha aur likh kar bhi dya bus seghay nahi parhe thi mere talaq ho gaye ya nahi for waitng answar
Answer: Gee nahi apki talaq nahi hui q k talaq ki chand sharait hen or wo agr mukamil nah on to phir talaq waqe nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Agar aik larki shadi se phlee ksi mard se mohabbat karti thi. Us ki shadi kisi aour larka se ho gai. Shadi ke baad larki apni shohar se batai bagair imtan ke parcha dene ke bahnee apni ghar chalee jatee haie aou wahan usii mard se milti hai, usi ke sath her jagha ghoomna phirna karti hai. phir Aik mah se zada rukne per uus ke walid wosee shohar ke pass chorr jajan hain. Ane ke bad Telephone se usee mard se bat kertee huai us ka shohar pakar leta hai. Larki enter course kerwa kar aie thi ya nahi medical check nahi ho saka. Please bataene kee Nikah toot gaya ? M.Saeed
Answer: Gee nahi is se nikah nahi tootta. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Asalam u Alikum..mery walid ki 2 month pehly death ho chuki hai or meri walida iddat main is doran kya woh mobile phone py kisi ghair mehram se baat kar sakti hai jesy k koi relative...plz jaldi ans den..
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam u Alikum..meri waleda iddat main hai is doran kya woh apny damad se bhi parda kar sakti hai ya nhn???
Answer: Zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar koi apni biwi ko talak de deta hai to kya wo fir us se nikah kar sakta hai? Pls is ka pura maslah quran or hadis se bataye bohot meharbani hogi.
Answer: Jee haan bilkul kr sakta hai, balkeh agr talaq rijee (rujoo wali) ho to agr orat abhi tak talaq ki iddat men ho to baghair nikah kiye us ki taraf ruju ker sakta hai, lekin agr talaq ki iddat khatam hogai ho to is surat men nikah krna hoga, lekin jo talaq di thi agr wo 3rd(teesri) talaq thi to us k bad wo orat os merd se nikah kersakti hay jab wo kisi or merd se shadi kare or chand sharit k sath talaq le phir ye pehle se shadi jaiz hogi .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalm o halikom sir agar bv samny na ho to ksi k samny apni bv ko talaq dy di to kia talaq ho jate hy.bv ko pata hi na ho
Answer: wssalam o alykum, ager talaaq ki tamaam sharaait ke sath talaaq k sighe parh diay jaain(in sharaait main se hai k talaaq ke sighe sahi arabi main talaaq ki niyat se do aadil gawahoon ki mojoodgi main bivi k haiz o nifaas k ayaam se khali hone ki haalat main pharhe jaae) to talaaq hojaati hai chahe bivi samne mojood ho ya na ho. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Assalam O Alekum, Meri Shaadi Ko 12 saal hogaye per aaj 7 saal se mein apni ammi ke ghar hi ho mujhe bachche nahi hute isliye mere shouhar ne kujhe ammi ghar chod gaye, mere shouhar 7 saal mein ek baar bhi na mujhe milne aye naa hi koi contanct kiye ,per aab main Central Govt office mein job karti ho to maine hi apne shuhar ko khulanama diya hain, tu kya mujh per eidat lazim hain aur kitne dino ki,
Answer: wssalam o alykum, ager orat ki umar 9 saal se ziyada ho, or yaissa na ho to ager is ka shohar is ke sath mujaamiat kar to is ke liye iddat rakhna zarori hai, pas ager is ke 2haiz ka dermiyaani faasila 3 maah se kam ho to is ki iddat ye hai ke talaaq ke baad jese hi ye 2th haiz main dakhil ho gi to is ki iddat katam ho gaae gi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2475 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: mera nikah last year hoa.mery shohar ki mujh se attachemnt barhny ki waja se meri sas ny bht problem shuru kr di wo mujhy talaq dilwana chahti hm dono aisa nhi chahty pr mey shohar apni ami ki waja se majboor hain. mujhy koi wazeefa baten jo meri problem solve ho saky
Answer: Aap is wazife per amal karain INSHALLAH ALLAH TAALA ap ki haajat puri farmaae ga, jesa k ye farmate hain, allama bahaao al deen aamli ne likha hai ke ager koi kesi hi haajat rakhta ho to shab e jumma is duwa (laa ilaaha illallaho biawonika wa qudratika, laa ilaaha illallaho bihaqqika wa hurmatika, laa ilaaha illallaho farajan farajanii min amree farajan wa makrajan rabbana yaa arhama al rahemeena)ko 41 dane gandum lekar her ik per ik martaba phar kar makaan ki chat per daal de yahaan tak ke sab daane parindee khaa jaain , ager haahat pori na ho to beshak muje bura bhala kehe. (Ref : Naway e Salaheen pg # 173 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: As-salam-o-alaikum. mujhe ye maloom karna tha k agar husband apni wife ko ek divorce de dey.(aaj main tumko 1 talaq deta hun) phir 4,5 din baad rojo kar le to kiya 3 talaq main se 1 talaq ho jati he?
Answer: Wssalam o alykum, Agr apne wo talaq talaq ki sharait k mutabiq di hai to phir wo pehli talaq shumar hojayegi lekin sharait talaq ka khyal nahi kiya to phir wo pehli talaq shumar nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: mera naam zeba hai mere husband ka naam fiaz khan hai unki ek biwi pahle se hau pr unhone bacche na hone ki wajah se mujh se doosri shaadi ki hai pr unki biwi mujhe unke saath rahne bhi nahi deti hai lekin meri unse roz baat hoti hai kuch din pahle unhone mujhe bataya ki mere shuhar ne apni biwi aur apne baap ke kahne se mere kiye kagaaz pr talaaq alfaaz likh diya tha pr mujhe unhone iska zikr nahi kiya abhi 2 din pahle bataya ki unhone kareeb 5 maheene pahle mujhe talaaq dene ke liye kagz pr likha tha jabki mujhe iska koi bhi ilm nahi hai ... aap bataaye kiya ye talaaq maani jaayegi jabki mere pass esa koi kagz unhone bheja nahi na hi mujhe muh se talaq kahkr di hum dono to ese hi baat karte rahe jaise karte the plz reply jaldi den kiyonki meri life ka sawaal hai
Answer: Ye Talaaq sahi nahi hai q kay talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2462 to 2464, pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam mera sawal hai kiya fone per talak ho sakti hoo aur biwi ne speaker on kia jo sary sun rahy ho tu kiya talak ho jati hai plz jaldi reply kare am waiting
Answer: Ager talaaq ki sharaait mojood hoon to phone per bhi talaaq ho gaae gi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: ji mere shadi 5 saal rahi shorw se halath teek nahe thy do betyan bi heen.bahoot bachani ki koshish ke magar bewi ne he talaaq leya cort me.ek tarfa talaaq he or es ko ek saal ho gya betyan maa k pass he heen.abi dosri shadi k leye koshish jari he lekin meri khwahish he k reshtedaro me ho.reshtedaro me baath bilkul nahiban rahi.bahir to omeed nazar ajati he pr hum pechey ho jathy hen.plz esa wazifa bathaye jo jaldi asar kare or reshtedaro me reshta ho jaye.
Answer: Talaq ki sharait k mutabik apki talaq abhi tak waqe nahi hui q k islam men court ki talaq ki koi ahmiyat nahi hai or na hi kaghazi karwai ki koi ahmiyat hai , isi tarah talaq ka haq mard ko hai orat ko talaq ka koi ikhtiyar nahi hai. Is lehaz se apki biwi abhi tak apki zojiat ka hukm men hai or wo islam ki ru se dusri shadi nahi kr sakti jab taka p use talaq ki sharait k mutabiq talaq na deden, albatta ap dusri shadi krna chahe to ap k liye koi shart nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2462-63-64)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: i want to divorce my husband he beats me give bad words galiya ! i want to divorce n.maary my lover !! whom i like soo much !! help mee
Answer:
Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2503 )
Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise sharai jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shraa( mujtahid) is k shoar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka kohe faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq ise sarzanish kare aur agar is se bhi kohe faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai . agar shoar talaq dene se inkal karde au rise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara( mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai. (Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 1aik bar talaaq denay se kia talaaq ho jati hai gussay ki halat me?
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: maine gusse me apni bibi ko tintalak bol dia tha to ye tin mahine me tin bar bolne s hota hai please sort me iska samadhan kar dijie
Answer: Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamu allaikum kya orat iddat mai phone par baat karsakti hai...??
Answer:
Talaq ki iddat k doran sirf nikah krna haram hai.
Aur wafat ki iddat k doran rang ba-ranga libaas pehnna,surma lagana aur isi tarha k dusray aisay kaam kerna jo zenat mai shumaar hotay hoon haram hain, Laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lihaza iddat mai phone par baat krna jaiz hai. (ref:tauzeeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33 th edition,masla#2475,2481). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kaya Mami se shadi jaz ha mami ke talaq k bad
Answer: Je mami ki talaaq ke bad or in ki iddat rakhne k baad
Question: Kya aik baar me teen mertaba talaq kahne se ho jati ha ??? Or phir wapsi ka rasta ha???
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: asalam o alaikum,janab mene gar me jagra kia aor kaha ke agar me is gadi(motor)me ainda betgaya to mujh pe biwi talaq hogi,to ab kya hukam he,me us gadi ko change bhi nahi karsakta nai gadi b nahi kharid sakta,aor mujhe bohot zarurat he gadi ki
Answer: Wssalam o alykum, aap us gaarhi main beth sakte hain or bech bhi sakte hain or is se talaaq bhi nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen,part#3 maslah #498-504) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: sirf nikah hoa ho r larki larkay say phone per bat krti ho.larka gusay main mukhtalif moqun per keh day k ja main nay tjhay talaq di .aik time main 2 dafa r khuch dinu bad 3ri dafa tu kya talaq ogai??
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mary bevi nay NIC sy mera nam khatam karwa kar apy pap ka nam lakhwaya hy baj ka main nay na tu us to talaq di ur nahi us nay khula lia
Answer: ap ki bivi ka apne NIC se ap ke naam ko hatana apki or unke talluq e zogiyat main koi farq peda nahi karta, yani ap or wo sharaai tor husband or wife hi hain.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: salam, 1 kahatoon nay khula lee khula say pehle hbhi usakay husband nay usay nai phocha khula kay bad unhone iddat bhi pori ki lehaza unko seegha parahnay ki zaroorat hai kay nai ??
Answer: 1) us orat ki talaq k jon apne shohar ki tarf mail na ho or us se nafrat krti ho, apna mehr ya koi or maal use bakhsh de take uska shohr usko talaq dede, is talaq ko talaq-e-khula kehte hen,talaq-e-khula men motbar hai k orat apne shohar se is qadr shaded nafrat krti ho use wazeefa zojiat ada na krne ki dhamki de, 2) Talaq-e-khula men seeghe ada krna zaruri, or ehtiyat-e-mutahib ye hai k is k bad talaq k seeghe jari kre.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2492 , 2493 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: assalam-o-alaikum mera sawal yeh tha kay mere father ko meri family ko chaohray huay 5 years hogaye hen unhone hamare faraiz kabhi poray nai kiye hamari zarroriat kabhi pori nai ki ab aayaa hamare opar unkay faraiz hum par ya hamar ami par laggo hongay ya nai?
Answer: shohar chahe apni biwi ko talaq de ya na de lekin us biwi se hone wali olad ka nan-o-nafqa (wajib akhrajat) us shohar yani (olad k walid pr hi wajib hai) (jab tk wo baligh or kamane k laiq na hojaen), lehaza agr shohar apni biwi ya bachon k wajib akhrajat ada na kre to gunahgar hoga, isi tarah olad yani b
Question: salam.isl bhai,mere masla ye hai k meri shadi ko 4 saal ho gaen hain or main apne husband k sath shdi k bad sirf or sirf 1 saal rahi hon phir wo mujhe naraz hokr chor gay thy or narazgi k doran unho ne mujhe gusay mein or mujhe azeat dene k liye alg alg time 2 mrtba ye kaha k ab tum meri wife ni meri taraf se tum ab farig ho ab main tumhe bv wala drja ni donga or jb se wo mujhe chor k gaen hain yani hmari aledgi ko ab pory 3 saal or 6 month ho gaen hain or es pory time mein hum kabhi b 1,2osry se ni mily na he kabi apas mein bat wagera ki yani hmary damian aledgi k bad kisi b qisam ka koi b taluk ya bat cheat ni or hum dono 3saal,6 month se bilkul he la-taluk hain or wo mujhe jan bojh k azeat dene k liye talaq b ni dety to ab maine court k zariye khula li hai to bara-e-mehrbani meri rehnumai farmaiye k kiya es sub sorat mein meri iddat banti hai ya ni?q k main 1 student b hon or education k liye mujhe ghar se bahir jana parta hai or mujhe job b karni hai to plz ap es sary masaly ko mad-e-nazar rakh k gor-o-fikar kr k btaen k meri iddat banti hai ya ni?main ghar se bahir nikal sakti hon ya pory 3 month tk ni?plz reply
Answer: Talaaq ki chand sharaait hen agr apk shohr ne apko un sharaait k mutabiq talaq dedi hia to ap pr iddat wajib hai or iddat k bad ap dusri shadi bhi ker sakti hen, un sharait men se ye hen k talaq shohr apni marzi se de, or niyat bhi talaq dene ki ho lehaza mazaq ya nashe ki halat men talaq nahi hogi, talaq ka seegha Arabic men ho, 2 aadil gawah us seeghe ko sunen us wqt k jab shohr keh raha ho.agr ye sari sharten mojud thin to ap iddat wajib hai or agr koi b shart tootb jaye matlb ek bhi shart puri na ho to phir ap aps men abhi tak miyan biwi hen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah #2474).
Question: A o a sir mera sawal aapse ye he kere sohar ne mujhe sms me tin bar talak likh kar bheja tha aur mene wo sms padha bhi tha fir delete kar diya tha bina kisiko bataye lekin us wakt mere sohar gusse me the lekin unka ye kehna he ki meri niyat talak dene ki nahi thi me to sirf darane k liye likha tha . Sir hamne bahot se mufti ko pucha is bare me wo kehate he sms se bhi talak ho jata he ab aap bataye ki kya ye talak sahi he ya galat. Pls rplye and dua kijiye hamare liye hamare jode me pyar ho me pregnant bhi hu
Answer:
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
wssalam o alykum, ye talaaq sahi nahi hai, or ap dono ab tak husband o wife hain shariat ke lehaaz se. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mujhe ye poochna hai ki mera talaq ho chuka hai lakin jb bhi maine apni biwi se humbistari ki to kya talaq toot gaya
Answer: Ager ap ne apni bivi ko talaaq rijii di thi or iddat ke doraan ap ne us se humbistari kar li to ab wo ap ki bivi hai na ke talaaq shuda orat, or ager ap ne us ke sath iddat ke baad hambistari ki hai ya ap ne us ko talaaq e bain di hai to wo hambistari zina shumaar hogi or ager ap us ko dubara bivi banana chate hain to ap ko nikha karna phare ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2486 , 2488 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: A SALAM E ALAKIUM; SIR MERA SAWAL YEH HAI KE AGR EK BANDA EK DOST KO SAMJHNE KE LIYE WO EK MISAL DY KE BATE TO KIA JO SAMJHA RHA HAI USKA B KAAM HOGYA HAI KIA ALLAH MAUF KERE EK DOST BAAR BAAR TALAQ KA LAFZ ISTMAL KER RHA THA . USKO IS TARHA MENE MISAL DIA THA EK BANDA HAI WO APNI BIWI YEH AURAT KO AGR AS TARHA KEHEN KE MENEN APNI BIWI KO 3 BAR YE LAFAZ BAQEEDA ISTMAAL KER KE BATAYE PHIR IS TARA KEHEN KE SHRYET MEN WO AUR US BANDE KE LIYE HARAM HO JATI HAI ALLAH AS LAFAZ SE BACHAYE SIR AP MUJHE YEH BATO KE KIA WO LARKA JO APNI ZUBAN SE USKO SAMJHA RHA THA TO USKA B KAAM TAMAM HOGYA ALLAH REHAM KARE
Answer: Ye talaaq sahi nahi hai kunke ke Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: KYA MOBILE PHONE SE TALAK HO SAKTI HAI.
Answer: jis jagha talaq di jay os jagha 2 aadli ghawahoon ka aik sath hona bhi zarori hay jo talaq k seegho ko sunain. Jis aurat ko talaq di jay os ko talaq seeghay sunana zarori nahi hay. Laihaza agar talaq mobile per is terah di jay k 2 aadil ghawah kisi or jagha hoon tu aisi talaq sahi nahi hay.(Ref: email rcvd).
Question: Asalamualikum main nay ap say pouchna tha Kay agar larki 1saal apnay ma bap Kay ghar ho phr us doran wo adalat say talaq lay ly kaya us ki idaat ho gi kaya kaya wo shadi kar sakti ha.
Answer: ye talaaq sahi nahi hai kun ke Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e