Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah (1206 Questions)


Showing 1100- 1150 questions from 1206 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
15868
Mujtahid:
Date:

Question: mera question yeh hai k kya rectum sai intercourse kerna jaiz or kya iss sai nikah toot jata hai?or mei nai yeh b pochna tha k penis ko suck kerna gunah hai ya nahi? plz reply me.shukria

Answer: 1) Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15916
Mujtahid:
GUNAH-E-KABERA Date:

Question: KYA SOHAR APNI BIWI KE SAAT SOHAR APNI BIWI KE SAAT PICHE (BOOM) MAIN SEX KAR CHE (BOOM) MAIN SEX KAR SAKTA HAI OR KYA SOHAR APNI SAKTA HAI OR KYA SOHAR APNI BIWI SE MUKH MAITHHN KRA SAKTA HAI YA NAHI

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai. (Ref : Ayatullah Seestani(d.b.) Al-masail e muntakhaba, Maslah # 67). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
15921
Mujtahid:
Date:

Question: kia ak syed larki ak non-syed larky sy shadi kr skti ha?

Answer: Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k saath jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15926
Mujtahid:
aaqa khumeni Date:

Question: kia syed zaadi ka nikah ghair syed (shia)sy ho sakta hy?

Answer: Syedani ka ghair syed shia mard sai nikah bila ishkal jaiz hai is lye k muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai aur momineen aik doosray k kafo hain. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 3, Maslah # 11 Chapter : Ahkam e kufr). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15928
Mujtahid:
unknown Date:

Question: mera sawal yeh hai k agar apni wife se hambistri karo to kaya har baar faarig honay k baad ghusal karna hai ya end pe aik baar e plz jawab jaldi bataiay ga?

Answer: Baghair ghusl k jima ki takrar karna makrooh nhi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 5). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15945
Mujtahid:
Aghai sistani Date:

Question: Salamalaikum.i hav two qustions.plz tell me is it right in islam for a husband to do sex from back of his wife.2nd,in the last days of periods(haiz) when bleedin is stopped and befor ghusle haiz is it right to do sex and then have showers for both haiz and janabat.gunnah tu nahi hoga.plz reply soon.jazakallah

Answer: 1)Anal intercourse with the wife if she is not agreed with this act it is forbidden obligatory precaution. And if she is agreed with this act it is highly abominable(makrooh). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2)After a woman has become Pak from Hayz, and before having done Ghusl her husband can have sexual intercourse with her. Though it is better to have sexual intercourse after the woman has washed herself. However, the recommended precaution is that the man should avoid having sexual intercourse with her before she has done Ghusl. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 457).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15949
Mujtahid:
Date:

Question: meri beti ne mery bary bai k bety k sath doodh peeya hai un ab ap mujy ya batain k kia meri beti k bad ka beta hai aur mery bai k bety k bad ki beti paida hui hai kia kia in dono ki shadi ho sakti hai jo razai behan aur bai k bad paida hue hain k ne is mamly main meri thori c rehanamai kijiye please

Answer: In donoo ki shadi ho sakti hai q k agar koi aik aurat aik sohar ka pura doodh aik larkay aur aik larki ko pilay to is larki k behan bhai is larkay k behan bhaioo k mehram nhi ban jatay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2444) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15970
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-O-Alaikum, Meray 4 Sawaal hain; 1st.Kya Shadi ke baad shohar apni biwi ko Pechay se Sex kr sakta hai agr biwi ko bhi koi aiteraaz na ho?? 2nd.kya Shohar biwi ko Sharamgah se aur biwi shohar k sperm ko Suck (Chus) sakte hain?? 3rd.kya biwi apni Chaati apne Shohar se chuswa sakti hai jb ke wo Abhi Pregnant bhi nahi hui ho ?? 4th.kya husband wife apus may har tarhan se Sex kr saktay hain ?? Please Reply Must Ta ke Mein apni Shadi k baad ki zindagi may apne Husband k sath behtareen Zindagi guzar sakun!! shukria.

Answer: 1)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai. (Ref : Ayatullah Seestani(d.b.) Al-masail e muntakhaba, Maslah # 67). 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 3)Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, Is say nikah batil nahi hota hay laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). 4)Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15978
Mujtahid:
Date:

Question: salam kya biwi ki back me sex kar sakte hai

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai. (Ref : Ayatullah Seestani(d.b.) Al-masail e muntakhaba, Maslah # 67). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16001
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Kia AIDS k mareez k lie jaiz hai k wo is beemari sai mehfooz insan sai shadi karay?

Answer: Jee han jaiz hai. Albetta AIDS sai mehfooz shakhs ko dhoka dena jaiz nhi hai yani ye jantay huay k mai AIDS ka mareez hon , shadi k waqt apnay aap ko AIDS sai mehfoos zahir karay. Is lie AIDS k mareez k lie hambistri bhi jaiz nhi jo beemari k muntaqil honay ka bais bnay. Lekin agar beemari k muntaqil honay ka srf ehtimal ho aur yaqeen na ho to hambistri sai ijtinab krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 375, pg # 225) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16043
Mujtahid:
. Date:

Question: Asslamualaikum,mera sawaal h ki penis ka kitna sakht hona zaroori h ki wo ladki ki sharam gah me chala jaye aur penis agar zayada sakht tight na ho to kya karna chahiye?

Answer: Nojawaan jab gair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo unhain galat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bera hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koi faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16044
Mujtahid:
salam Date:

Question: aoa janab mera sawal ye he kya shohar apni biwi se fon pe sexy baate kar sakta he 2. agar shohar biwi se door he to kya hand practice kar skata he plsss reply asap allah hafiz

Answer: 1)Shohar apni biwi sai Fahash kalam(sexy batain) karsakta hai. (Ref : Minhaj us Salaheen Ayatullah Sistani d.b. part # 2, Masla # 34) 2)Hand practice kisi bhi zarie sai ho haram hai. Lekin biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main lay kar musht zani(hand practice) kar sakti hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 3)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shrt rakhi gae ho. Lekin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
16049
Mujtahid:
Imam abu hanifa Date:

Question: hamal k kitne maah tak ham bistry ki ja sakti he??

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16053
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kia sunni larki ka ehl e shia Mard se nikah ho sakta hy

Answer: Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Gair shia sai shadi krnay mai agar gumrahi ka khof na ho to shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16083
Mujtahid:
nikah Date:

Question: Meta sawal k kya shadi Kay leyay ladki aur ladkay ka sitara deekhna zaruri hai. Mujay eak astroligst s nay sitara desk kar kaha k asp ka shadi Kay bad divorse hoga, is Surat mai mujay kya karma hai

Answer: Shohar or bivi k dermiyaan onki sa,aa,dat ya saqawat k aytebaar se sitaroo ka koe dakhal nahi hota, nah faqat shohar or bivi k dermiyaan balkeh on k alawah doosray insano k dermiyaan bhi oska koe asar nahi hay. Ye sirif najumiyoo(astrologist) ki iftira hay or shar,an ,is ki koe haqiqat nahi hay. layhaza aap k liay zarori hay k shareek e hayaat k silsilay main is baat ki justujo karain k lerka kis qadar deendaar or ba akhlaaq hay or agar mashwaray k baad bhi aap ko shak rahay tu phir Allah se talab e khair kijiay(yani istekhara kijiay) or os per tawkkul kijiay. (Ref: Deen k Ahkaam, pg#218). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16085
Mujtahid:
sunni Date:

Question: mene apni bivi ko piche ki tarf se himbistri ki he aur me ne suna hy k is tarha kerne se nikah toot jata hy plz answer?

Answer: Agar Biwi ki ijazat ho tu us k peechay intercourse kerna jaiz hai laikin shadeed makrooh hai aur agr biwi ijazat nah day tu ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai). Update on dated 12-12-2015. (Ref : Masail-e-muntakhaba Ayatullah Sistani d.b., masla#70). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16091
Mujtahid:
Date:

Question: uzwe khas ko skht k se kya jata h

Answer: 1) jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) 2)Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16092
Mujtahid:
Date:

Question: kiya biwi ke bade abba ki ladki(cousin) se nikah kar sakte hai.

Answer: Wo auratain jin se shadi karna haram hai us main se bade abba(taya zaad) ki larki shomar nahi hoti . yani tayazaad behen se shadi kerna jaiz hay.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2349,2353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16101
Mujtahid:
aytullah sistani Date:

Question: salam ham jis mulk me rahte hayn yahan log musalman hay sunni shafayi kahte hayn apne aap ko magar kuch halat ayse hayn ke yahn log magribi adaton me dhale hayn subha nikah hota hay shamko talaq ho jati hay , bachon ko chod kar bap chala jata hay yani awlad ke bachpan me bap ne ma ko talaq de di awr dusri shadi kar li awr qat e tallouq kar liya awr kisi bhi mulk me rahne chala gaya ya isi mulk me raha magar koyi rabeta nahi yahan tak awlad badi ho jati hay awr awlad apne walid ko pahechanti bhi nahi hay galti mahol ki hay , magar saval mera ye hay ke aysi kisi ladki se agar koyi shia ladka agar aqde daem ya gayre daem karna bhi chahe to ya to walid ka pata nahi hota ya walid la tallouq hota hay ya kisi dusre mulk me hota hay ayse me wali ki ijazat wala masla jo hay us ka kya hukm hoga ?

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. laikinh agar baap ya dada os merd k sath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat lena lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) Note : agar larki ka baap kisi bhi musalman sai shadi ki ijazat na dai to aap k lie jaiz hai k os larki k sath kar shadi kar lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16103
Mujtahid:
Date:

Question: rukhsti se pehlay wife ka jism daikhna jaiz hai ya nai ha?

Answer: Agr nikah hogaya hay tu jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2400).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16104
Mujtahid:
Date:

Question: sir plz mjhay ya bta da k kia mian bivi aik doosray k samnay bina kapron k aa saktay ha

Answer: Shohar or bivi k lie jaiz hai k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay). (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16108
Mujtahid:
Agha Seestani Date:

Question: As salam o alaikum.. Agar shohar ya biwi mai se koi dosray ko behan ya bhai bol day aur is taraha kahay k kash main tumhari behan hoti ya kash tum meri behan/bhai hotay . nikah per kiya asar paray ga

Answer: Is terah kehnay say nikah nahi toot ta). (Ref: E-mail rcvd by A.sistani d.b.). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16115
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Mujhay Yeh Malum karna tha k agar kisi ka Nikkah hua wa ho aur rukhsati na hui ho.to fiqa e jaffaria main usay 40 din bad nikkah ko renew ya tajdeed karni parti hai ya nai.

Answer: Gee nahi,nikah hojanay k baad dubara tajdeed e nikah ki zarorat nahi hoti.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16118
Mujtahid:
Date:

Question: KYA BIWI OR SOHAR EK DUSRE KE ANG (LING OR YONI) KO COOM SAKTE HAI YA NAHI

Answer: Jee haan choom saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #11). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16130
Mujtahid:
Date:

Question: hi salam,mera sawal yeh hai kay main ek larkay sy bht pyar kartay hain .or humray ghr walay shadi kay liyeh nae maan rahay hain. hai kiya hum 4 gahwa ki majodgeh main. ek dosary ko ager husband wife man leh tu kiya humra nikkah ho jahay ga yeh nae plzz answer me.

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. laikinh agar baap ya dada os merd k sath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat lena lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) Note : agar larki ka baap kisi bhi musalman sai shadi ki ijazat na dai to aap k lie jaiz hai k os larki k sath shadi kar lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16139
Mujtahid:
Allama khoi shb Date:

Question: "CAN A MUSLIM BOY CAN MARRY WITH CHRISTIAN GIRL",TELL ME AHDES AND QURAN VERSIS,,FOR INFO..

Answer: A male Muslim also cannot marry a non-Muslim woman who are not Ahlul Kitab. However, there is no harm in contracting temporary marriage with Jewish and Christians women, but the recommended precaution (ehtiyat e Mustahabb) is that a Muslim should not take them in permanent marriage. (Ref: Ayatullah Khoei(r.h),Tauzee hul masail, maslah # 2406)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16141
Mujtahid:
Date:

Question: bar bar Humbistri krny pr gusal bhi bar bar krna hoga ya akhir me aik bar krna he

Answer: Bagair ghusl k jima ki taqrar krna makrooh nhi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16142
Mujtahid:
Deoband Date:

Question: AOA ma sawal ye ha agar koi biwi apne mia ka penis suck kre or mia bhi apne biwi ki pussy ko suck kare or mia biwi k doodh ko bhi piye tu es k islam ki roshi ma kia hukam ha or mia biwi ko ainda k lea kia krna chahye

Answer: 1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 2)Shohar biwi ki breast suck(choos) ker sakta hay,leikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jaay)Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf.org). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16143
Mujtahid:
Deoband Date:

Question: AOA mare ek or Sawal ha kay aj kal k galat Movies or Sohbat ki waja se larke shadi k bad wo krte hain jo thek nai ha jse apne biwi ko pussy k elawa peche k sorakh ma sex karna. agar koi aysa krta ha tu os ka nikah par kia asar prhta ha or es ki kia saza ha or kia kufara

Answer: 1)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).2)Ehtiyat e wajib k tour par fahs filmoo aur tasweero ka dekhna haram ha, agar chah shak aur lazzat k bagair dekha jae. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16145
Mujtahid:
salam Date:

Question: ASSALAMO ALAYKUM janab mera swal ye he k agar biwi pragnent he uske bad bhi kya kisi bhi tarike se sex kiya ja sakta he jese sidha leta k ya ghodi banake ya god me utha k kisi bhi tarike se kar sakte he ya nahi or kis mahine se lekar kis mahine tak nahi karna chahiye reply asap allah hafiz

Answer: 1)Shariat e islami nai apni biwi say hambistri karnay k lie puri aazadi aur choot di hai k insan jis tarkeeb sai chahae apni pasand k mutabiq jima karay. (Ref : Kitab islam aur jinsiaat pg # 154) 2)Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16157
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Meri biwi ko ghar k kaam kaaj k lie kisi khadima ki zaroorat hai jo is ka hath bta sakay, kia meray lie wajib hai k mai apni biwi k lie khadima ka intezam karoo?

Answer: Agar biwi ki kefiyat ye ho k osay khadima ki zarorat ho to shohar par is ka intezam karna wajib hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, Mafhoom e sawaal # 148, pg # 74) . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16178
Mujtahid:
kya bivi k dood pene se nikah toot jata Date:

Question: a\salam .mera sawal ya he k kya bivi ka dood pene se nikah toot jata hai..or jab k bivi razi ho pilane main apna dood to piya ja sakta hai?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, Is say nikah batil nahi hota hay laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) albetta is sai nikah batil nhi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16183
Mujtahid:
Date:

Question: AOA my question is that if a wife dimand to her husband for increasing his pens size for full fill her sexual requirments so tell me sir that its her right or no and what is the comments with islamic point of you i shall be thank full to you to after releacing my tention Aslamoalikum

Answer: Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bera hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). Arnica + Lycopodium + Olive.ye oil Penis k massage k liay behter hay laikin massasge bohot ehtiyaat se karain k kaheen mushtzani nah ker baithain. mushtzani(Handprctice) se bachain Q k hay harm hay or mushtzani kisi bhi sorat main jaiz nahi hay. (Ref http:/h/abchomeopathy.com/forum2.php/124370/ + http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 ).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16188
Mujtahid:
Biwi ka shohar k sath sex krna Date:

Question: Kia biwi ko apne shohar k samnay apne sary kaprey utara hote han ap us ka sohar us ko kahe

Answer: Berhena (naked) halat main jima kerna makrooh hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16190
Mujtahid:
Date:

Question: mera swall yeh hai ke kya sohar apni biwi aur sohar apni biwi ki sharam gah ko choss sakta hai ap ne yeh pehle bhi jwab diya hai lekin koi hawala nahi hai yeh batt quran se li gayi hai ya kaha se tasali karna chahta hon kyon ke yeh to napakk hain to plizz ap bta di jiyetheek ta ke log gumrah na hon thanks

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2, I-15)..Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16191
Mujtahid:
Date:

Question: biwi ka mall khana islam main jaiz hay yah nahi.

Answer: Daimi nikah k baad biwi ki ghiza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam shohar par wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16192
Mujtahid:
Date:

Question: asakum.mera sawal ye hai ke.kya shohar ki har bat sunna chahiye sex k taluk se..

Answer: Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zarori(wajib) hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. 2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to shohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16210
Mujtahid:
Date:

Question: KYA SMS PE NIKKAH HO SKTA HAI ? LARKI LARKA DONO BALIGH HAI OR PYAR BI BHT KRTY HAI EK DOSRY SY NIKKAH SMS PE KR CUKY HAI MGR YE JANNA ZARORI HAI K KYA SMS PE NIKAH HO SKTA HAI ?

Answer: SMS k zarye nikah nahi hota. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16221
Mujtahid:
salam Date:

Question: assalamo alykum janab mera sawal he kya shohar apni sharmgah ki foto biwi ko or biwi apni sharmgah ki foto apne shohar ko sent kar sakte he reply asap khuda hafeezzzz

Answer: Jee han shohar aur biwi aik doosray ko apni shramgah ki photo dai saktay hain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 11).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16222
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa mera sawal ye hai k agar koi kisi k ikhlaq aur khobiyon se motasir ho k us se mohabbat kray aur shadi karna chahay to islam is baray mein kya kehta hai aur koi aisa wazeefa bhi bta dain jis se us insan ka dil apni taraf mayil ho jaye aur shadi bina rukawat ho jaye

Answer: 1)Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) 2)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) 3) Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16226
Mujtahid:
Date:

Question: Asakum..mera sawal ye hai k mai ek ladki ko chahta hun r usse nikah b krne wala hun .lekin kuch majburi ki waja se nikah ek saal k bad krna hai ghar wale sub razi hai..lekin mai abhi us ladki se nikah krna chahta hun bina ghar walon ku bataye...phr ek saal bad ghar walon k samne dobara se nikah hosakta hai..r nikah k kya sharayat hai.kya kisi ko btaye bgair nikah padha liya jaye to nikah hojay ga ...? Plz pura jawab den ..shukriya.

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16234
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia aisi larki sai shadi krna jaiz hai jo akhlaq ki pabindi na krti ho?

Answer: Jaiz hai aur wajib hai k osay is gunah sai roka jae. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 106, pg # 53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16248
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam Alikum... Mufti sahib ye bataiye ga keh Razai Behan sy Shadi ka kya hukam hy kya os sy larky sy os ki shadi jaiz hy jis larky ki maan ka dodh os ny piya ho????

Answer: Koe shaks os lerhki se nikah nahi kersakta jisay os shaks ki maan ya dadi nay pora dhoodh(yani 8 shara,it k saath) pilaya ho. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Touzi hul masa,il, maslah #2434, 2438).

Print

Id:
16263
Mujtahid:
Date:

Question: kia aik beti jo maa se to sagi hai lakin baap se soteli to wo baap k lie haram hai ya halal

Answer: 1)Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri kray to is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hai chahae wo shadi k waqt moujood ho ya baad mai paida ho.
2) Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tk wo aurat k nikah mai hai ehtiyat e wajib ki bina par is waqt tk is ki larki sai shadi na kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2351-52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16275
Mujtahid:
Date:

Question: shohar ka haqoq kia han?

Answer: jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se pahle bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16277
Mujtahid:
Date:

Question: YA ALI MADAD. mera sawal yeah ha k maine ghar waloon say chup k nikkah kia hai aur meri shareek.e.hayyat ny bhee q k dono ki families main ana (EGGO) ka masla ha woh kehtain hain mardo apny ap ko lakin hum gair (out of relatives) main rishta nahee dain gain chahyee woh ayash hoo sharabi hoo yan zinnah khor hoo agar hum apnoo main dain gain to humari ankhoon k agy hogi humari beti ab sawal dusra yeah hai k kia main us ko woh ghar chorny k liyee kahoon k nahee q k woh kehti hai k mery liyee mery waladin k bari izat hai jb k main kehta hoon woh sab theek lakin jab woh tumhary liyee yeah sochty hain k 45 saal k admi say rishta kerna pasand karain gain sharabi,ayash,zinnah khor, chor ko dain gain lakin kisi or jaga (out of relatives) nahee dain gain plz reply detail main dain is baat ka k main mera Nikkah zahir karoon k nahee kia main apni family ko bata dooon yaan kisi moky ka wait karoon ??

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16283
Mujtahid:
Date:

Question: Kya biwi Sharam Gah Ko Haath Lagana ya mo mae lay sakti hai

Answer: 1)Biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main lay kar musht zani(masturbation/hand practice) kar sakti hai,2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16288
Mujtahid:
muslim Date:

Question: aslam alikum main app se yeh puchna chahta hon ke bv ki sharam ga ko chatna jaiz hai aur her bar humbistari ke bad nahana kya zarori hai agar 2 ya 3 bar karna ho.

Answer: 1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 2)Bagair ghusl k jima ki takrar krna makrooh nhi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 5) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16289
Mujtahid:
bivi ka dood pena? Date:

Question: a\salam .mera sawal ya he k kya bivi ka dood pene se nikah toot jata hai?or jab k bivi khud chahti ho k shohar piye dood.q k main bohot baar pi chuka ho?to kiya nikah toot gaya hai hamara?

Answer: Shohar biwi k breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16291
Mujtahid:
pata nahi Date:

Question: aslam o alikum sir kafi saray log apni bv k sath galat kam kartay hain yani k apna lun apni bv k mouh main daltay hai kia yeh jaiz hai muslim k leyeh plz main intazar karon ga ap k jawab ka send me mail ok thank jawab urdo main deyna plz main nay kisi ko dekhana hai

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print