Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah (1294 Questions)


Showing 1200- 1250 questions from 1294 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
16765
Mujtahid:
ek sawal Date:

Question: salam sir ji mujhe puchna hai k kya main apni biwi ki nicha se chaat sakhta hu ager us ki ijzat ho to or kya hum apni biwi ko picha se kar sakhty han ager hum dono ka dil kare to ? plzz mujhe jawab dai

Answer: 1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 2)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16766
Mujtahid:
shishtani saheb Date:

Question: kia mey apneee wife kee banjee say nikah kar saqtaa hun

Answer: Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhanji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16800
Mujtahid:
mubasarat Date:

Question: bivi ke sat hambistari kitne kitne dino me kr sakte h ? Hum bistari ka sahi islamic tarika konsa h ?

Answer: 1)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).
Biwi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16803
Mujtahid:
Date:

Question: Agar koi larki apne nikah ke bad kisi na mehrum se jama karti hai tou kya nikah toot jata hai, aur wo apne shohar se khula kis tarah le sakti hai?

Answer: 1)Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai.
2)Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367, 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16811
Mujtahid:
Grand Ayatollah Sistani Sb. Date:

Question: Salam, Molana Sahib sab sy pehly meri tarf sy app ko aur app ki pori team ko iss azeem kam par mubarik baad pesh karta hoon aur khuda pak app ki iss kawish ko apni bargaa mein qabool karry. sir, mery 2 question hy plz reply meri email id py zaroor kejje gga mein wait karoo gaa inshallah. Q.NO.1 Agha sb mera swal ye hy k app ny farmaya tha k agar ak shakhs kisi female sy zina karry to jab tak woo dono suchi tobba na karry woo ak dosrey sy shaddi nai kar sakty agha sb mera sawal ye hy k kia agar ak male kisi female ko sirf 2 baar kiss kr chukaa hoo to kia wo shaddi kar sakty hy ? aur kia tobba k lye ye kaffi hy k woo dobarra ye kam na karry ? Q.NO.2 Agha sb mera dosra sawal ye hy k app ny farmaya tha k ak husband apni wife ko suck kar sakta hy agar iss dorran milk mein challa jaay to aeteate e wajib hy k woo dhood na piyye. Molana sb mera sawal ye hy k kia ye kaffi hy k agar during sucking dhood (milk) ya koi aur rotobbat uss k mouh (mouth) mein aa jaay to woo sirf uss ki kulli (thook) kr dy yehi uss koo mouh sy bahir undaill dy to kia ye kaffi hy ? aur dosraa ye k woo kitni barr ak dinn mein asses kar sakta hy ? thanks jawab zaroor dena app ki mehrbanni hoo gii.

Answer: 1)Na mehram k sath jinsi lams (begair intercourse k) zina nhi samjha jata hai laikin haram hai.
Aur toba karain parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888)
2) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar sohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay. Aur kulli kar li jae).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).
3) Biwi ki sohar sai nafrat paida honay ka aik mouqa is waqt hota hai jab mard jima k fan ko fan e phalweni sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar Pay dar pai mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai is sai is ki mardangi khatam ho jati hai. is lie aik jima k baad kuch dinoo ka waqfa zaroori hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16816
Mujtahid:
Date:

Question: kiya bivi sy peachay karna jaiz hy?

Answer: aurat k dubr(peeche se krna) men jima kerna aurat razi hay to shaded makhrooh hay, lekin agr oarat razi nhi hai to ehtiyaat ki bina pr jaaiz nahi hay chahe phir wo mahwari ki halt men ho ya na ho). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #448). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16824
Mujtahid:
Date:

Question: sex ke doran biwi moon main lesakti kya

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16834
Mujtahid:
Date:

Question: meri zabardasti shadi krwai ja rai hai main kisi aur ko pasand krti hn ap mje plz koi acha sa wazifa bta de

Answer: Nikah ki sharait men se hai k larka or larki dono nikha per razi hon, or isi tarah larki k nikah k liye bhi zaruri h hai k us ka wali(baap ya dada) ijazat den, lehaza in dono pehluon ka khayal rakhna zaruri hojayega). Update on dated 05-12-2015. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335-2341) Or apk liye wazeefa bhi dete hen khuda ap k haq men behtar fesla krega inshaAllah. surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16836
Mujtahid:
hj Date:

Question: islam main biwi ki back sai jima krna jaiz hay?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16837
Mujtahid:
Date:

Question: to phr log wife k back use karny ko haram q samjty ha ans me .

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16842
Mujtahid:
ayat ullah ali sistani Date:

Question: kya aik syed zadi ki shadi aik ghair syed sy ho skti hai jo shia b ho? or bht namazi parhez gaar b ?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16856
Mujtahid:
Date:

Question: As salamalkum . Mera sawal ye hai kya apni bewi ke pechle (ass) hise mein sex kya to nika tuoth jata hai ?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16869
Mujtahid:
sistani Date:

Question: shadi ky baat biwi sy kab tak zina karna hota hai aur yeh amal roz karna hota hai yeh weak par hota hai ? aur jab preganent hojai tu zina hosakta hai

Answer: Shadi k baad biwi sai hambistri ki jati hai na k zina aur jab biwi hamila ho jae to mustahabb hai k jima krnay sai pehlay wazoo kia jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) Is k alawa chand ayyam mai jima krna haram hai os mai sai aik ye hai k jab aurat haiz ki halat mai ho to os sai jima krna haram hai aur is k alawa bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hai os mai jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448,504) .Update on dated 16-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16916
Mujtahid:
Date:

Question: sir. ager ist raat aurut kah k mjy ya sex etc. pasand nhn. ma nhn karna chati. tu phir b zabar dasti kar shakta han

Answer: Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zarori(wajib) hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. 2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me shohar ki khowish puri na karay to shohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi hai. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16918
Mujtahid:
Date:

Question: meri biwi shadi se pehly kisi k sath sex karti rahi, us ne mujy bata dia, main ne usy maaf b kar dia, ab wo kehty hay k jis k sath wo sex karty thi uska penis boht big tha, mera to normal hay kia humain ed ko chor dena chahiy

Answer: 1)Mard ko chahae k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me shohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). 2)Jahan tk uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal hai, tu osay bs is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani aurat ki sharam gah) ko mutaharrik kar sakay or sub se ziyada hasaas(sensitive) sharam gah ka bahir ka hissa hota hai. Khaas tour per bazr(Clitoris) or os tk phochne k liay chota uzo(penis) bhi kafi hota hai. Laihaza penis ka chote bara(large) hone sai koi faraq nahi parta, albatta penis ka bohot hi ziyada bara(large) hona takleef ka sabab hota hai. (Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,vakil e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16922
Mujtahid:
aiyt ullah sastani Date:

Question: aslam o aliakum bhai jan main apni wife k sath sex kr rha hon main larki ki agli side may apna azzu dal rha hon or anjany may agli side may dalny k bjaye main peechy waly sorakh may dal dyta hon or larki ko foran pata chal jata hai wo jaldi sy bahir nikal lyti hai to kya hmara nikah tooooot jata hai or kaha jata hai k oorat ko peechy k sorrakh sy istimal karny sy nikah toooot jata hai please koi reference dijiye pllllllllllllllllzzzzzz

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16924
Mujtahid:
aiyt ullah sastani Date:

Question: kya sex k dorran apni bv k peechy wali side may ungli dalna bbuurrra amal hai?

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236).Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16925
Mujtahid:
aiyt ullah sastani Date:

Question: kya marrd sex may apni wife ki breast ko chooos skta hai? or agr choosny k dorran bv ka doudh mard k muu may chala jaye to kya dooudh harramm ho ga?

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay, laikin agar shohar biwi ki breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jaays.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16926
Mujtahid:
Date:

Question: jina kane ke baad mene tuba karliya tho uska gunah haga ya iski puch hogi ya ham asa samaj sakte hain kya kiya hi nahi.

Answer: Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref : website Ayatullah sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16930
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: asslam-o-alaikum!myny apsy ye questn krna hai k kya hm oral sex kar skty n kya hm penis suck kar skty hyn?? plz juldi reply dyn

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgah sai niklnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16950
Mujtahid:
Date:

Question: salam sr mra swal ya hy k mre bevi 7 ma ke hamla hy kya my os ky sat hm bestri kr skta hon ahgy ya pechy sy ya dono saide sy ya ksi ak seid sy plz jldi anser dny.

Answer: 1)Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) 2)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k is waqt jima krna bachay k lie nuqsan day to nahi hai .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16953
Mujtahid:
Date:

Question: nikah k liy aceptance and propsal ka huna lazmi hy gwah bhi hun to kia nikah phu gia hy cell py? jst larka and larki ki razamandi aur 2 gwah bhi hun ......answer plzzzzzzzzzzzzz

Answer: 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334).
2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16956
Mujtahid:
Date:

Question: Kya mai apni biwi k sath rozzana hambistari kar sakhta hun?

Answer: Waisay to jab bhi chahay mard apni biwi k sath jima kr sakta hai magar kuch ayym aurat pr aisay aatay hain jis mai apni aurat sai jima krna haram ho jata hai. un mai sai aik haiz hai, Halat e haiz mai jima krna mard aur aurat donoo k lie haram hai. aut dosra nifas hai yani bacha paida honay k 10 din tk jo khoon aurat ko ata hai os mai jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 504) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16976
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye he k kia 15 sal ki larki k sath nikah jaiz he ??? larka 19 sal ka he or larki 15 sal ki & larka larki dono rai he to kia wo nikah kr sakte hen plz give me ansr Thanks.

Answer: Jee han nikah ho jae ga magar nikah mai shrt ye hai k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17050
Mujtahid:
Date:

Question: kya husbund saher se bahar rahe to miya biwi fon p e sex kr skte hai

Answer: 1) Shohar aur biwi aik doosray sai fahash batain kar saktay hain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34) 2) Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17054
Mujtahid:
please Date:

Question: Aslam O Alaikum muje ye batain k shadi shuda laki ager apni mother k ghar jana chahe to wo zayada se zayada kitne din reh skte he please muje islam ki roshni me batain please

Answer: Jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram hai k shohar ki ijazat k begair ghar sai bahir nikle chahae is ka nikalna shohar k haq k manafi na bhi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye. Laikin aurat k hoqooq mai sai aik ye hai k mard osay aziat na phounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17057
Mujtahid:
Date:

Question: bevi ka breast chosna sahi he ya nahe

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17058
Mujtahid:
Date:

Question: janab mera sawal ye hai k mera nikah hua h ai sirf or jis larki se mera nikah hua hai kia wo meri wife ho chuki hai ya rukhsati k baad hogi or mjhe ye bata den k maine apni wife ko nikah k baad touch har jaga openly touch kia hai tu ye jaiz hoga ya najaiz please mjhe bataen k agr ye galat hua hai tu is k liye kia krna chahiye

Answer: Nikah k baad mard aur aurat aik doosray k mehram ho jatay hain aur Shohar aur biwi dono aik doosray k badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay sai mas kar saktay hain ya choo saktay hain chahaey lazzat se ho ya baghair lazzat k. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17093
Mujtahid:
Date:

Question: ka bewi k mouth ko fuck krsak tay hai

Answer: Shohar aur biwi dono aik doosray k badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay sai mas kar saktay hain ya choo saktay hain chahaey lazzat se ho ya baghair lazzat k. yani kiss kr saktay hain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17094
Mujtahid:
Date:

Question: sohag raar ka kia tarika he or sohag raat ko kitni bar hambestri kerni chaye

Answer: 1)Shadi ki pehli raat mai aurat mai jhejk ya rokuwat ya dar ho sakta hai is lie is raat ka khali chala jana koi aib nhi hai biwi ki mowjoodgi mai bohat si raatain aisi aati hain jin ko pehli raat samjha ja sakta hai. 2)Nafrat paida honay ka mouqa is waqt aa jata hai jab mard jima k fan ko fan e phlwani sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar pay dar pay mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157).Update on dated 14-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17110
Mujtahid:
Date:

Question: kya ap apni wife ki sharam gha com saktay hain

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17121
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: salam ,sawal yeah hai key meray bhai ki ek jaga baat pakki howi hai. us ka or larki ka naam kafi similar hai.bhai ko jub naam bataya tu us key dimag main yeah khayl aya key yeah nam kesa hi same same lagta hai aisa hia key jesey key bhai bhan hai.but in ka istekhara MASALLAH kafi acha aya hai ub bhai phochna cha raha hai key aya main is sey nikah ker sakta hoo.

Answer: Mard ko chahae k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17129
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kya mian bivi ek dusray k azay makhsoos ko chus sakty hain. yani suck kar saktay hain k nahi. according to islam

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgah sai niklnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 10-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17130
Mujtahid:
Date:

Question: mari baat cheet aik larki se pakki ho chuki he mare rishtedaar he,sb bazurgoon me baat pakki he aur hum se bhi pocha gaya aur humain bhi kabool he aur kuch months me shadi bhi ho jaye gi mgr kia is trha nakah ho jata he mean sb me aur hum dono me baat cheez pakki he aur kia hum aik dosre se sex kr sakte hain tafseel se batana

Answer: Baat pakki hona nikah nahi hota hai aur aap aik doosray k lie na mehram hi hain jab tk k nikah k sighay na parhay jain. Q k shadi k lie nikah k bool (sigay) parhna zaroori hai. aurat aur mard k faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17132
Mujtahid:
ahmed Date:

Question: Anal sex is Haram or not?I just read some way its permitted if wife agree as well

Answer: Anal intercourse with the wife if she is not agreed with this act it is forbidden obligatory precaution. And if she is agreed with this act it is highly abominable(makrooh). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 10-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17145
Mujtahid:
sistani Date:

Question: if husband didnt meet wife for long time till four motnhs without any contact and nan nafqah.than nikah will be valid or ont?

Answer: 1)It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage.
2)If the husband who is responsible for the wifes maintenance, does not provide her the same, she can draw her expenses from his property without his permission.
And if this is not possible, and she is obliged to earn her livelihood, and she cannot take her case to the Mujtahid, who would compel him (even by threatening him with imprisonment) to pay the maintenance, it will not be obligatory upon her to obey her husband while she is engaged in earning her livelihood.
In above two problems in a permanent marriage, the marriage is in order(valid). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2380-82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17157
Mujtahid:
Date:

Question: aslamolikm bivi ki sharam gah dekh sakta hay our udher kis kar sakta hay

Answer: 1)Mian aur biwi aik doosray ka pura badn dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2400) 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 10-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17187
Mujtahid:
Date:

Question: kia larky ka nikkah us k abu ki chacha zaad se ho skta hay.

Answer: Chacha zaad ya khala zaad (cousin ) se nikah jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah # 90-93 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17195
Mujtahid:
Date:

Question: Halet hamle mien orat se hambestri ker sakta he ya nahe

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k is waqt jima krna bachay k lie nuqsan day to nahi hai .Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17197
Mujtahid:
Imam sastani Date:

Question: a.o.a mera sawal ye hy k mera nikah just nikah namy py sign kr k hua koi seeghy nae pary na mery pas molvi aya or mn apny shohar sy khula mangi or us ny fone py mujgy 3 bar bold dia wakfy wakfy sy to kya meri talaq ho gae

Answer: Nikah ki chand shara,it hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke segha sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379).

Note: zikr shuda fatway se ye baat sabit hoti hay k aap ka nikah hi durust nahi. Laihaza aap ko khula ki zarorat hi nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17213
Mujtahid:
Date:

Question: Kia bukhari syed khandan ki larki ka qureshi khandan k larke se shadi karna jaiz hai ya na jaiz plz forgive me answer

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17217
Mujtahid:
???? Date:

Question: sir agr glti sy shadi sy pehly sex ho jay to usy pregnancy hone sy kise roka ja skta hai jb k mubashrat hoye abi ek din hoa hy???

Answer: 1-Shadi se pehly hambistari kerna gunah e azeem hay Q k ye zina hai (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla # 30) 2-Qaraar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.Aurat k liay jaiz hai k k wo hamila honay sai bachnay k liay aisi tamaam ehtiyati tadabeer sai istefada karay jo ziada zarar rasaa(nuqsan dah) na hoon.ye hokum os sorat main hay jabkeh maloom nah ho k ye ehtiyati tadabeer nutfay ko qaraar panay k baad talf ker dain gi warna ehtiyaat wajib ye hay k ye kaam nah karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , jadeed masail ,31st edition, maslah #72, 70). .Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17266
Mujtahid:
Date:

Question: aslam o alaikum.mara sawal yah ha k kia ALLAH OR US K RASOOL(un per darood).ko gawa bna kr nikah kr sakty han phne per.mara matlb ha agr me mulk sy bahr hun or larki apny ger ho.agr ham dono razi hun to kia wo nikah jaisa mahda ho jaye ga?Baqi rasmi nikah ham real me milny sy pahly zrur kran gay.plz mri tensin dor kr dain.

Answer: 1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335)
2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17450
Mujtahid:
Date:

Question: Mai apne patni se jayada deer tak sex nahi kar sakta jissey woh bahut hai mai kya karu

Answer: jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) Aap homoeopathic Medicine damaina pentarkan drops(Made in Germany Dr. wiilmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyaan khatam ho jay gi.or aap normal tariqay se apni zindagi guzaarne lagain gay. .Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17459
Mujtahid:
Date:

Question: agr bivi apne shohar ke bolane par humbistari ko nahi ati hai to os ke liye kya hukum

Answer: 1)Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zarori(wajib) hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. 2)Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me shohar ki khowish puri na karay to shohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi hai. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). .Update on dated 10-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17492
Mujtahid:
shadi Date:

Question: Assallam allekum Me ek ladki se pyaar krta hu aur ladki bhi – ham dono ek dusre se shadi krna chahte hai magar mere father shadi k liye razi nhi ho rhe hai kya me us ladki se nikah kar skta hu apne father ki ijjazat ke bina plz bataye

Answer: 1)Larka apnay wali ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342).
2) Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai hop aur is ki mukhalifat sai unhain takleef hoti ho to aulad ko in k hokum ki mukhalifat krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17591
Mujtahid:
dont know Date:

Question: kia biwi shohar ka penis choos sakti hai aur balls?

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17636
Mujtahid:
nikha Date:

Question: main married hoon 7 saal sy or maiany apni biwi ko ass hole main sex kia hoa ha or suck bhi karwaata hoon or feading bhi karta hoon.kia is sy nikha toot jata ha?agr toot jata ha yeh makro ho jata ha tu is ka kafara kia ha?

Answer: 1) Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335) 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 3) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17878
Mujtahid:
sunni Date:

Question: assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Agar sagi bhetaji sai aap ki murad aap k bhai ki bahan hai to q k wo aap ki mehram hai is lie nikah haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17879
Mujtahid:
sunni Date:

Question: assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Apni sagi bhateji sai nikah karna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print