Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Gunahaan-e-Kabera (344 Questions)


Showing 0- 50 questions from 344 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
127
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salaam, If a person makes a gibat of another person then tauba is enough or is compulsory to componsate with that person?

Answer: Taubah is enough.
Ref: QIA Book-1 Question No.171.

Print

Id:
135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-22

Question: is it adviseable to put a 3 -4 yr child in such kindergarten/nursrey schools where they make them learn rymes and poem with some music and tune (simple poems) will this put some negative effect in upbringing of a child in future regard to her faith.(no instrument is use perhaps they put a cassatte on tape fr the same)

Answer: Haram Music may put negative effect on child-s behaviour.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
161
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: Can i show top and bottom parts of my feet to non family members? Is it permissable or is it better not to do?

Answer: If the non family members are your "Mehrams" then it is allowed. But if they are "Na-Mehrams" then it is not permissable.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
168
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: Kiya A.Sistani kay Fatwa kay Mutabiq French Cut Darhi rakhna theek hay ya nahi?

Answer: French cut darhi "Aihtiyat" ki bina par jaiz nahi hay.
Ref:Question No.160 Book-1 (Mujtahid se pooche gaye sawalat)

Print

Id:
169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: Aap nay French Cut darhi kay masalay main jawab diya hay kay ye Aihtiyat ki bina par sahih nahi hay to kiya is Aihtiyat main kisi aur Mujtahid ki taraf rujoo kiya ja sakta hay?

Answer: Kisi bhi Masala main AIHTIAT-E-WAJIB OR LAZIM aaney ki soorat mai FAL AALAM ki taraf rujoo kia jasakta hia.
Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Fiqhi Istelahat

Print

Id:
174
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: Salaam Alaykum, Kya koi aurat lazat ke qasad ke bagair tv ke drame ya koi aur program dekh sakti hai jab ke aksar aukaat koi aisa scene aa jata hai jis me na-mehram ka shoulder ya girebaan wagaira khula ho ?

Answer: Salam-un-alaikum,
Ahtiat-e-Wajib ki bina par aurat ka Na-Mehram key chehrey hathon ,sar aur gardan aur pairon key ilawa baqi badan par lazzat key qasd key baghair bhi nigah dalna haram hai.
Ref: Tauzeeh Aqa-e-Khoi Prob no 2442

Print

Id:
183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: What is the fatwa of mujtahid regarding french cut Darhi. Is Islam encouraged family planning.

Answer: French cut darhi ahtiyat-e-wajib kee bina par jaiz nahi hay.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 160.
Family planning aik detail topic hay jis key liye munasib yeh hay keh aap kisee aalim e din sey rujoo kijye.

Print

Id:
189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: salaam, TV ke programs me na-mehram ka achanak agar aisa scene aajaye jis me shoulder wagaira khulein ho to lazat ke bagair nazar karne ke bare me kya hukam hai ?

Answer: Salam un alaikum,
Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi ishkaal (haraj) nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2443

Print

Id:
206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: internet per nangi larkyon ko luzzut ki nazar se dekhna kaisa hai?(i m girl)

Answer: Salam un alaikum,
Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2447

Print

Id:
209
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-24

Question: Kia internet per barehna larkiyon ki tasaveer ko lazzat ki nazar se dekhna haraam hai?

Answer: Salam-un-Alaikum,
Mazkoora soorat mai nazar karna "Haram" hia.
Ref: Tauzeeh ul masail Aqai Sistani Prob no 2442

Print

Id:
210
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: salam;internet per nangi larkiyon ko lazzat ki nigah se dekhna kaisa hai??(i m girl).....thanx

Answer: Salam un alaikum,

Aisa karna haraam hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2442

Print

Id:
237
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: salam kya jo adami bhi iesi movie dehkhe jiss sey shewat aati ho to kiya, To kiya jo rutubat body sey kharij ho woo aur jo ahtelaam mein kharij ho woo, dono mein faraq hai ya nahi?because logoo ne dono mein faraq dehkha hai. plz tell me !!!!! (all four mujtahid as above in menu)

Answer: Salam un alaikum,
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay.
Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)

Print

Id:
268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-29

Question: kia ayatullah khamnaie music ki ijazat dete hai kia ya kisi bhi tarah ki sur? agar dete hai tu us ki limitation kia hai?

Answer: Har tarah kay raag jo lahw aur suroor aawar hoon aur aish o noosh ki mehfiloon say munasibat rakhtay hoon haram hay.Ref:Jadeed Masail Part-1,Pg.55.

Print

Id:
270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: salaamz, mera sawal yeh hai k .. na mahram se chatting karna jaiz hai .. aur agar hai tu kis hadh tak hum na mahram se chatting kar sakhte hai .. thank u .. waitin 4 ur reply ..

Answer: Choonkay Haram main parnay ka khatra hay lihaza JAIZ NAHI hay.Ref:I-19.

Print

Id:
272
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-29

Question: kya muta kisi non-muslim sai jaiz hai shohar apni biwi kai kon kon sai jism kai hisson ko bosa de sakta hai kya shohar biwi kai saath peeche sai jama kar sakta hai is sai nikah to nahi tootta agar koi apni sharamgah ko mani na nikalne ki niat sai harkat de aur sirf lazzat kai liye to kia use gunah mile ga

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: kya kisi non-muslim kai saath muta jaiez hai agar koi shaks apni wife kai saath peeche sai jaama kare to nikah toot jaata hai agar koi apni shramgah ko sirf lazzzat kai liyeh harkat de aur maani nikalne ki niyyat naho aur maani nikle hi nahi to gunah mile ga? wsalam

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: ASSLAM-O-ALIKUM, may nay pahlay bhi ek question kiya tha jis ka jawab abhi tek nahi mala ek question aur hai wo yaa KAY AGHA SEESTANI TARANAY KAY BARAY MAIN KIYA FARMATAY HAIN KAY SONA JAIZ HAI YAA NAHI KAB KAY AGHA KHAMNAI KI NAZAR MAIN JAIZ HAI.plz zara jaldi reply kariya ga kun kay may nay phlay tu question kiya tha uss ko 1 onth honay wala hai plz jaldi reply kariya ga aur yaa jo books ahi hain tu in kay priz pata chal saktay hain. ALLAH HAFIZ JAZA KALLAH

Answer: In taranoo ko sunnay main koi haraj nahi hay agar ye lahwo laib ki mehfiloo say munasibat na rakhtay hoon.aur agar lahwo laib ki
mehfil say munasibat rakhtay hoon to aihtiyat-e-wajib ki bina par inhain kaan laga kar sunna jaiz nahi hay.Ref:I-43

Print

Id:
325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-30

Question: my question is about muslim women and sex is it a sinn for a muslim women to masterbate and have an orgasim by her self. also are sexuall toys a sin in muslim religion.

Answer: Yes.Masturbation and have an Orgasm by herself is Haram.Sexual toys also include masturbation which is Haram...Masnooie furooj

ka istemaal Haram hay aur ye Istimna main say hay jo sakht tareen Haram hay.Ref:Siratun Najaat A.Khoie Q.899 Part-1.

Print

Id:
606
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: salam kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi?? khudha hafiz

Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.

Print

Id:
632
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-03

Question: PLease tel me the masail of manstrubation in male.is manstrubation in male to release the sexual tension haram.

Answer: Salam un alaikum,
Its not permissibe i.e haram.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Part 2) Ques. NO. 200

Print

Id:
652
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: asalamwalaikum, i want to ask as to how i should repent for my big sins which i regret so much now for having committed i.e. i had an affair with a married man while i was away from pakistan. in the country i stayed i.e. tanzania i could not control my feelings for him. i was working as his secretary and had a physical relationship with him.

Answer: Aap kay liye zaroori hay kay Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.Ref:Istiftaat A.Sistani I-53.

Print

Id:
673
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I have to ask is their any type of music allowed if yes then what tpye.

Answer: Salam un alaikum,
Background music of dramas and music which is not related with music shows and concerts are permissible. Those kinds of musics which are related to the fisq o lahab are not allowed.
Ref: Mujtahid Sey Pochey Gaye Sawalat Part 2 Ques. No. 217, 218

Print

Id:
786
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: Aik Mard nai aik Aurat k saath zana kiya dono is zana pai raazi thai aur dono shaadi shuda hain aur oon k bachay bhee hain. Ab oos mard ka beta oos aurat kee baitee sai Shaadi karna chahta hai.Kiya yai shaadi ho sakti hai YA wo larki oos pai haram hai kioon k oos k BAAP nai oos ki MAA k saath zana kiya tha. Pls reply as per Ayat-ullah Seestani & Ayat-ullah khoie.

Answer: A.Sistani kay mutabiq larka us larki say shadi kar sakta hay kion kay ye larki un aurtoo main say nahi banay gee jin say nikah karna haram hay.masalan mehram rishtay daar ya apni bewi ki maa,nani,dadi waghaira ya apni bewi ki larki ,nawasi ,poti waghaira jin say nikah karna haram hota hay.aur mazkoora soorat main aisa koi masala nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.2370,2344...A.Khoie ka bhi yehi fatwa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.2393,2420. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: aslamualaykum wa rahmatullahe wa barakatu.is dancing in a wedding party haram .

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par na kiya jaey (parhez kiya jaey).Ref:Istiftaat A.Sistani (I-10)

Print

Id:
1123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to ask that I had homosex with 1 of my friend being a shia is it good? if it is wrong then what should I do?

Answer: Ye Fiel(kaam) Gunahaan e Kabira main say hai aur Sakht tareen Azaab ka Bais hay Lihaaza aap fauri tor par Khuda ki bargaah main Nadim hotay hoay Tauba karain.Ref:www.sistani.org/html/ara (Lawaatat)

Print

Id:
2006
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kahi job kay liay sorce lagana reference dena kaisa hay.

Answer: b.t.agar jaiz maqsad ke liye ho or is se kisi ka haq zayea n hota ho to koi harj nahi he, sare unwan isi hukm main hain (www.sistani.org topic-rishwat q.2) (sare unwan se bazahir murad rishwat, hadya, tohfa or refrence sab hain)

Print

Id:
2017
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam hum ek govt job krte he india me ,,kiya rishwat(bribe) jaiz he

Answer: w.s. rishwat lena haram hain (www.sistani.org - topic : al-rishwah q.1)

Print

Id:
2075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: kya songs sunna haram hain ?

Answer: bismehi taala, gena insan ki us awaz ko kahete hain jis me utar chadhau aur tarb ho, niz lahw w laab aur ghunah ki nashisto se munasebat rakhti ho, in sefat k sath gana gana aur sunna haram he.

Print

Id:
2349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam O Allaikum, Kya Naat aur Hamd jis me Music ho sunna jaiz hai ?

Answer: w.s. agar music aysa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
2458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: Assalamoalikum.....sir mai nai rozay khonlay k baddd istmna kya tha....or then maii nai gusal kar liya or agaly din ka roza rakh liya...kya mujh pai koi roza ya namaz ki qaza or kfara hai...kindly jaldi jawab dain...

Answer: w.s. (aap par roze ya namaz aur kaffare ke hawale se koi zimmedari nahin he albatta istighfar zaroori he aur yeh yad rahe k) istimna haram he or gunah he. gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharee rasta sirf shadi he. (www.sistani.org. topic:istimna q.10)

Print

Id:
2582
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salams.. Sir ek sawal he mera... K... Agar ek Shohar apni bivi ko jhoty gawah or jhoty saboto k buniyad pe us ko badchalan sabit kar k usy islami tareky se talak deta he or wo usy isalmi tareky se HAQ Muhar b ada karta he.... matlb kuch b.. pese jo wo us k nikha namy pe likhwaye thy.... to us larky(boy) ne GUNNAH kia na....? ye sab kar k.... or us larki ki zindagi barbad kar di... sirf apny gunah ka ye hi azala bhar k us larky ne usy HAQ Muhar k pese ya kuch b ada kar dea ta k us ki zindagi k kuch din achy guzry jab tak wo dosri shadi na kar le apni marzi se... Ab main point ye he k jab us larky ne ye khamkhae us ko apny mufad k lea usy talaq di or islami tareky se Haq Muhar b ada kia.... To us larky(Boy) ki saza kia yahi khatam hue....? us dunia me to us se Allah us se waha hi hisab kitab ly le ga.. per is dunia me islam usy kia ye hi saza de sakta he k Haq Muhar ada karo or bas.... is ka matlab larki walo ne larki ka pesso k ewas saoda kia na..., bech di na apni bachi k bhae talaq ki sorat me pese deny pary gy larky walo ko.... kia Islam me ye hi saza he k pese do or bas.... Jaha tak Islam ka dosra nam insaf he..to us larki se kia insaf hua ye.......? Sir agar ap mumkin samjhy k is sawal ka jawab ap de sakty he to plz mere zehan ko tassali de or mujhe samjhaye...

Answer: Kisi bhi paak daman aurat per badchalani(najaiz ta’aalukaat) ka ilzaam lagana gunahaanay kabeerah(bohat berha gunah)hay. Or iski saza Islam main 80 korhay(whip) hain,jaisa ke sorah noor ki ayat 4 main hokum aaya hay.or sorah noor ki ayat 23 main kaha gaya hay k in logo per donya or akhirat main lanat hay or in ko sakht azaab hoga.or jahaan tak saza ka tal’luq hay tu hudood ki saza haakim e shara(mujtahid) k alawa kisi or k liay jaiz nahi k wo khud is per amal karay, agar onko is dinya main saza nahi mili to Allah qiyamat main zaroor aurat or merd k dermiyaan insaaf karay ga.ye baat bhi yaad rahay k mehar ka talaaq say koe tal’luq(link) nahi, meher aurat ka merd per aik haq hay jo merd ko ada kerna wajib hay.or mehar ada kernay ki 3 aqsaam hain 1)indat talab(jab bhi aurat tabab karay, 2)mo’ejjal(taay kiay hoay waqt per), 3)mo’ajjah(fauran
Mazeed ye k Imam jafer Sadiq (a.s) k hadees hay k “Allah k nazdeek talaaq say ziyadah koe buri cheez nahi”.Imam jafer sadiq (a.s) nay fermaya k nikah karo or talaaq nah do, kun k talaaq arsh ko hila dayti hay.imam jafer sadiq (a.s) nay fermaya k Allah her talaq daynay walay bughz (nafrat) rakhta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Aasaan masail,Pg#119,120, & Minhaa jus saliheen Part#1 maslah #21,29 & Minhaa jus saliheen Part#3 maslah #302 @ pg #90 ).

Print

Id:
2599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: zina kse kehte hain kya islam me ger shadi shuda pyar me kse k kareb ja sakhta hai islam me imam ya nabi ne kya farmaya pyar k lye

Answer: Merd ka apni bivi k alawah ksii bhi aurat say jima/hambistari(Intercourse)kerna zina kehlata hay,chahay merd nay ye jima aurat ki agli sharamgaah(vigina) main kia ho ya pichli sharamgaah(anus)main.or is ki saza ye hay k agar aurat ka shohar ho,or wo zina karay tu os ko sangsaar(path thar maarna) kia jaata hay.or in hodood ko imam(A.S) ya hakim e shara(Mujtahid) naafiz kerta hay..Shadi shuda tu ho ya ghair shadi shuda kisi say namehram say doosti kerna or izharay muhabat kerna jaiz nahi hay kun k gunah main perhnay ka khauf mauhood hay.(Ayat ullah Khumeni,Tehree rul waseelah Part#,page #173,193 & nigah or libaas sawaal #106)

Print

Id:
2886
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A salaam ALykom Hafiz SAAB main puchna chahta hoo k ZINA ka koi pashtawa kare tu us ko ALLAH TALA se kase MAFI mang ni chahiye main bohot ghuna gaar ho ALLAH MAAF kare AMEEN wo Ghafoor RUR Raheem hai AMEEN

Answer: 1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)

Print

Id:
2957
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya shadi shuda musht zani(khud lazati)kar sakti hai. aur agar khawab mein deikhay key us ney amal anjam deya hai aur jagney per us ka hand sharm gha per ho to kya us per ghusal-e-janabat vajib hai.plz rehnumai farmaye.

Answer: 1) Istimna(Musht zani) kisi bhi zerye se ho haram hay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2)Aurat k lie apni sharam gah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat urooj tak pounch jey aur usi inzal ho jay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jay aur us se behnay wala mawad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266)
3)Wo ratubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2958
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya shadi shuda aurat musht zani(khud lazati)kar sakti hai.

Answer: jee nahi.Aurat k lie apni sharam gaah ko itna cherna jaiz nahi he k is ki lazzat arooj tak pounch jey aur usi inzal ho jay aur agar us se is ki lazzat arooj tak pounch jay aur us ka pehna wala mawad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: salam kya shadi shuda aurat musht zani (khud lazati)kar sakti hai

Answer: Aurat k liay istimna kerna haram hay jis terah merd per haram hay.(Ref:Ayatullah khoe(r.h), al-masailish shariyah,part#1, pg#52, Maslah#12 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3151
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salam o alikum my name is salman from karachi me pochna chahta hon k mustzani ko kesay roka jae aur is gunah k bare me allah ka kia farman he??? agr ye na rok sako me to muji kia karna chahye???

Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar ek lrka dusray larkay se lawatat karay to kia baad me us ki behan se nikkah ho sakta hai?

Answer: Aglaam karwanay walay larkay ki maa , bahn aur bati aglam karnay walay per jabke (aglam karnay wala) balig ho haram ho jatay hein.lakin aglam karnay walay ki maa , behan , aur bati aglam karwanay walay per haram nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2369)
Agr dkhool hwa ho to :
Faail par mafool ki maa , bahn aur bati haram hein agr mafool nabalig aur faail balig ho to agr ya sharit mogood no ho to ya hukm iehtiyat kay mutabiq hay.
Mafool par faail ki maa bahan aur bati haram nahi hay (Ref. Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Minhaj us Salaheen v.3 pg. 63 masala 185 & 188)

Print

Id:
3436
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar koi insaan haath se mani nikale to kya gunaah hai?

Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zarie se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)

Print

Id:
3684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya ye jaiz hai kay shaadi kay mokay par gana bajana kya jay khas tuor par mehndi maeyoon par jo kay amm tuor par hota hai kay sab rishtaydar mil kar yani mehram oar na mehram gana bajana kar tay hain

Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per shab e zifaaf(shadi ki pehli raat) ko bhi gana terk kerna chahiay tu dosi rato(maslan mehndi, maeyoo) main kis terah jaiz ho sakta hay. .(Jaded fiqhi masail, maslah #560). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3712
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: sala imam. i waz had a physical relationship with a guy az he brain washed me but latter i came to know he cheated me.after i realised my mistake i did taubah and amale quran and i read lot oof numez for forgiveness n still do.now after 8 years i m getting married to another guy our nikha is done and rukhsati is in a few months.i fear sayin it to him az i dont know wat will happen i love him from the purest part of my heart n cant live without him...plz tell me wat should i do to keep my life peacefull with him.

Answer: 1) Dosro k saamnay gunah ka iqraar kerna jaiz nahi hay.is liay aap ka apnay is gunah ko apnay shohar ya kisi bhi shaks ko batana jaiz nahi hay.(Ref:mujtahid say pochay gay sawalaat, part#2, sawaal #223).

2)Aap sachay dil say apnay is gunah e azeem ki khuda say maggfirat or tauba talab karain insha Allah khuda aap k gunah ko maaf karay ga Q k khuda nay Quran main khud hi tu wada kia hay k wo tauba ko qobool kerta hay phir kaisay ho sakta hay k wo apnay waday ko pora nah karay.(Ref: http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=826 )
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3731
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr koi larki apni shahwani khawishat k pora krny k liay apny badan ko choey ya shahwat wali videos dekhy to kia yeh zana hy islaam ki roo sy? or us k taib hony ki koi surat hy agr wo apny gunahoon ki maafi chahy to us k liay islaam men kia hukam hy?

Answer: 1)Aurat k lie apni sharam gaah ko itna cherna jaiz nahi he k is ki lazzat urooj tak pounch jey aur usay inzaal ho jay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jay aur us ka behna wala mawad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga.or gunah ki tauba wajib hogi (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266).
2) Ethiat e wajib ki bina per fehash filmoo aur tasviroon ko dekhna haram he, agarchah haram main perhnay ka shak nah ho aur lazzat k bagair dekha jaay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam Are we allow to recite or listen to nauhas, marsia, manqabat and salam that are toned on music or song? What if we do not know the song means we dont hear songs? And what if we know it and we have heard it before???

Answer: Wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhein jay lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koe haraj nahi he . jo mosiqi mahafil e lahw o la’ib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3825
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: hand practice theek ha ya nh? mangater ko choom sakty hain?? sexy movie dekh sakty hn?????

Answer: 1)Istimnah (Masturbation) kisi bhi zarye ho haram hay.
2)Mangater na-mehram hay or na-mehram ko chona(touch) ya choomna haram hay.
3)Ehtiyaat e wajib ye hay k sexy movie lazzat k baghair bhi nah daikhi jaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #462-3,492-4,496-7).

Print

Id:
3889
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: galti se ya setan k behkawe main biwi ki maa se jina ho jay to kiya nikah tot jata hai

Answer: Biwi ki maa(saas) say zina kernay say aap ki biwi ka aap se nikah nahi totay ga.aap ka nikah baaqi rahay ga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Email rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) ). (Albatta zina gunahe kabeera he or is ki toba karma zaroori he).

Print

Id:
3902
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya ganay sunna haram hai?

Answer: Gaana(song) gaana or sunna haram hay or gaanay say muraad wo bayhodah kalaam hay jo ehlay lahv o la’ib k maroof lah’n(melody/note) main gaaya jay.(Jaded fiqhi masail, maslah #550).

Print

Id:
4310
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Zina ho gaya ho to gunah se maafi ki koi dua???

Answer: Sachchay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4352
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-09-04

Question: kya rozy ki halet mai handjob krn se roza Quaim rehta hai

Answer: Agar koi shakhs ramzan k rozay ko istimna k zarie batil karey aur ekhtiar se kia ho to us per qaza k alawa kaffara bhi wajib ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1630)

Print

Id:
4365
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: kya bhabhi ke sath hambistri kar sakte hai agar bhabhi razi ho to

Answer: bhabhi k sath hambistri krna zina hai aur zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
4923
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mujay kabera gunah ke waja sy merda bemari lag gai is ky liya kuch brain main ny toba sachy dil sy ker le hy kabera gunah ka azalea b brain plz Allah toba kaisy kabol kerta hy detail main brain or her merdana bemari ka Hal b brain plzzzz

Answer: bismehi taala, 1 ) sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada phi hona chahiye, is k baad tisre marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi. 2 ) sahifaye kamela jise sahifaye sajjadiya bhi kahete he us me moujood "dua-e-tuba" ek behtreen dua he.ok

Print