Showing 50- 100 questions from 372 questions on this page.
Question: can we listen qwalli and gazal
Answer: Agar ye wo qalam ho jise aisi lae ya sur k saath gaya jaay jo lahu wa la’eb ki mehfil se makhsoos ho haram he aur us ka sunna bhi haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2043).
Question: I want to know that in Islam can we do sex with loondiz and is there any condition in which zinah considered jaiz.
Answer:
1) Ethiat e wajib ki bina per jo aurat zina me mashhoor ho jab tak wo toba na karey us se nikah nah kia jay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 403 pg # 235)
2)zina karna haram balkeh ghunna e kabira(azeem gunah) he aur kisi terha bhi jaiz nahi ho sakhta .(Ayat Ullah Seestani(d.b), mihajus saliheen part#1,maslah#29 )
Question: kia yeh kehna k meri qismat buri ha gunnah ha
Answer: kisi insane k lie jaiz nahi k wo hasrat ka izhar karey. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 229, pg # 93)
Question: KIA KOI SAY BEH DRAMAY DEKHNA GUNAH HAI???please batain
Answer: TV drama dekhna lazzat k baghair jaiz hay laikin agar TV dramay main kaam karnay wali na-mehram khawateen k jism k wo hissay jo aam taur say chupay hotay hain,dikha’e dain ,ya dekhnay wala shehwat k saath dekhay ya is k Haram main parhnay ka khauf ho to phir inhain dekhna Jaiz nahi hay.(Ref : Istiftaat A.Sistani I-30.).
Question: Zina ka kapara kaisay ada kia jay
Answer: Sachchay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888).
Question: gunah kabira ki toba ka trika
Answer: Toba ka tareeqa : sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada bhi hona chahiye, is k baad tisre(3) marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, agar zina kia he to us ko chorna ho ga, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi. Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
Question: me ye pochna chahti hon k me un marred hon lekin khayalon me sex sochti hon kya ye ghalat ha gunah ha?
Answer: Agar mani nikalne ka sabab na bane to ethiat e mustahib he k usi tark kar dia jey. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82)
Question: agar gary syed, syed lagata hai aur apna nikah naama me bhi syed lagata hai to uske liye kya hukam he.
Answer: Ye jooth he aur Allaha per jooth bandhna , us k rasool per joot bandhna , us k ao’sia per joot bandhna balke mutlaq jooth Kabira ghunahoo me shumar hota he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 29)
Question: mera masla ye hy k man khud zani krta ta pir mane is aadat ko khatam karne ka fisla krlia or allah tala sy maafi mangi or namaze tauba bi parhe,tauba karty waqat mane allah sy ka mje maaf kardy absy man khudzani nai karoga kuch months tak to buhat control kra magar mjse bardashat nai hoa or pir mane karli,but mane apne rab sy maafi b mangli,mje kia krna chaye jise mera rab mje in gunaho k liy maaf kardy or mjse naraz na ho or wo mje apne azab sy bacha ly .man kudzani sy bachna chata ho
Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
Question: a person is involue in sex with his mother in law. is there any relaxiation for him as he is thinking that this is his mistake not his wife and son. he dont want to punish his wife and son. he already astagfar and promised to God that he will never do it agiain. is there any solution for this masala. 2. what is the status of his children hala or haram. 3. if this person not ready to diverse his wife and keep her with what will be there relation status. Thanks
Answer: Don not worry your marriage and children are valid. (ref : answer rec from email ayatuallaha sistani d.b. dated 15 july 2010).
Question: Sir, Agar kisi k sar pe quran rakh k usy uske ki marzi k khilaf kam krne ya faisla karne pe majboor krne jaiz hai ya ni ur ur agar arna jaiz hai to uske liy kia shrait hain
Answer:
Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat wajib hota hay jab maroof ka anjaam daina wajib or munkar ka anjaam daina haram ho or Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat mustahab hota hay jab maroof ka anjaam daina mustahab or munkar ka anjaam daina makhroh ho.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain:
1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna.
2) Zabaan say waaz o nasihat kerna
3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna
Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).
Question: Sir Salam Agar aik admi ka kisi aurat se najaiz tauloq ha.aur usi aurat ki beti se nikah ho sakta hai?yani jis admi ka aurat se najaiz taloq ho usi aurat ki beti se nikah kar sakta hai?pls jawab de.
Answer: Ager koe shaks apni khala ya apni phophi say zina karay, tu ehtiyaat e lazim ki bina per onki baitiyaan is zani per haram ho jain gi.or ager Na-mehram aurat say zina kia ho tu ehwat e aula(yani behter) ye hay k oski baiti say nikah nah kia jay.(Ref: A.sistani(d.b), mainhaaj part# 3,maslah#168). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) .
Question: kya gair-e-momin ki geebat kerna jaiz hai?aur kya gair-e-momin se hasad kerna gunah nahi hai?
Answer: Momin ki gheebat karna haram hay. Hasad ka (amali tour per) izhar karna ghair momin k sath bhi haram hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009),(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar koi khud apnay hand say sex kry to kya yeh gunah hai
Answer:
1)Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009).
2)Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar koi khud apnay hand say sex kry to kya yeh gunah hai
Answer:
1)Istimna kisi bhi zariye se ho haram he. . (ref : jaded faqhi masayl masla # 462 , 458 pg # 253)
2) Aurat k lie apni sharam gah ko itna cherna jaiz nahi he k is ki lazzat arooj tak pounch jey aur usi inzal ho jay aur agar us se is ki lazzat arooj tak pounch jay aur us ka pehna wala mawaad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266). Was-salam
Question: assalam-o-alaikum janab meherbani kar k mje ye daleel k saath bata den k haath se mani nikaalna sahi hai ya galat,aur ye b bataen k agar ye galat hai to insaan apni zaroorat puri karne k liye kya kare is k bare mein kia hukm hai main ap ka mashkoor hoon ga shukriyar
Answer:
1) Istimna (hand practice) kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462 pg # 253)
2)jo shakhs shadi na karnay ki wajah se haram me mubtila hota ho us per wajib he k wo shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: I HV COMMITTED ZINA, AND BADLY WANT TO RELIEVE FROM THIS GUILTY.HOW CAN I. BCOZ NOW GOD STOP HELPING ME.
Answer:
1)Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part #1, maslah #29)
2)Sab sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam kya islam me hastmathon karna she hai
Answer: Istimna(Musht zani) karna haram hai. (Ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: zina karne ka bahut pachtava hain, sacche dil se tauba karna hain. Meri madad kare
Answer:
Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
Question: sir main bohat pareshan please mujhe yeh batain ke kia kisi larki ke sath jab aapkuch uper uper se kartayhain to kia yeh bhi zana hota hai aur agar hota hai to please is ka kufara kia hai main bohat pareshan hu please aap meri pareshani door karain mujhe neend nhi aati
Answer:
1) Ye zina nahi hay.laikin ye kaam Haram he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 109 Pg # 70)
2) Agar koe shakhs shadi na karnay ki wajah se haram me mubtila hota ho to os k lie wajib he k toba karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
3) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mere liye koi rishta nai arha,lakin main jiaz tariqe se shadi krna chahti hn,plz mje btaye k main konsa wir karon k rishta ho jaaye
Answer: Aurat k lie apni sharam gah ko itna cherna jaiz nahi he k is ki lazzat arooj tak pounch jey aur usi inzal ho jay aur agar us se is ki lazzat arooj tak pounch jay aur us ka pehna wala mawad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266)
Question: salam agar malik makan bijli chori karay aur kiraya dar se bijli ka bill apni marzi se kuch bhi le for example 1000 rupee per month to kya kirayadar k lye ye jaiz hai?
Answer:
Kisi bhi jaga bijli ka ghair qanooni istemaal jaiz nai aur aisa kaam karnay wala zaamin bhi hai.( Mujtahid say pochay gay sawalaat part#3, Maslah#186 ) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Note: malik makan zamin hay.
Question: kia ap aisi larki say shadi ker saktay hain jis k bhai ya behan say ap k najaez taluqat hon shadi say pehlay
Answer: Iglam(homo-sex) karwanay walay larkay ki maa, bahn aur bati aglam karnay walay par jabke (iglam karnay wala) balig ho haram ho jatay hain. Aur agar iglam krwanay wala mard ho ya iglam krnay wala na-balig ho tab bhi ehtiyat e lazim ki bina par yahi hokum hai laikin agar osay guman ya shak ho k dhokool hua tha ya shak kray k dhokool hua tha ya nhi to phir wo haram nhi ho ga. laikin aglam karnay walay ki maa , behan , aur bati aglam karwanay walay per haram nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2369). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: im in lov with guy since long,abt 2 get married but it seems he alw liks 2 have affairs outside ,attracted 2 other grls.love him lots.forgiven him several times.is there any dua tht he can stay away frm al this n also theres no barkat at my work place.
Answer:
After performing namaaz e haajat after namaaz e fajar, read dua e tawasul then pray to ALLAH for your desire, keep doing this till 14 days, INSHALLAH all be right. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
You should read “Ya raheem” 5500 time till 40 days, INSHALLA all be right. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 33)
Question: salam, main ne aur cusion ne ek dosre se ighlaam kya tha jab k hum dono hi na baligh the aur dakhool bhi aein mumkin hy k nahi hoa tha aur pani ka ikhraaj bhi nae hoa tha to ab main kya us ki sister se shaadi kar sakta hu, kiun k main us larki ko aur wo mje pasand karti hy? Is gunah ki mafi bhi maang chuka hu aur kuffara bhi ada karna chathata hu. tafseel se rehnumae kare
Answer:
Ighlaam krwaane wale larke ki maa, behn or beti ighlaam krne wale pr- jab k ighlam krne wala baligh ho- haram hojate hen, agrchhe supari(uzwa-w-tanasul ka agla hissa) se kam hi dakhil hua ho, agar ighlaam krwane wala mard ho ya ighlaam krne wala na-bailgh ho tab bhi ihtiyat-e-lazim ki bin pr yehi hukm hai, lekin use guman ho k dukhool, hua tha ya shak kre k dukhool hua tha ya nahi to phir wo haram nahi honge, or isis tarah ighlaam krne wale ki maa behn or sbeti ighlaam krwane wale pr hram nahi hen.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2369)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr kisi ghair shahdi shuda aurat nay aur shadi shuda mrd nay zana kya aur phir shadi kr li us k baray main kya hukam hai?
Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: i m five months pragnent kya mai abi nikah kr skti hu osi larke k sath
Answer:
1)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is ke liye ehtiyat e wajib ye hay k wo us aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain (Ref: Jadeed Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)
2) Etiyaat e mustahab ye hay k agar koe shaks zina kaar aurat se jis se khud os ne ya kisi dosray ne monh kala kia ho shadi kerna chahay tu hiaz aanay tak sabar karay or haiz aanay k baa dos k sath shadi ker lay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shaadi ke baad agar biwi kisi aur ke saath hum bistari karey aur is the shawahid mojood hoon to kiya ahkam hain. Mazeed yeh ke agar biwi apne husband per kala jadoo karway aur us se husband ka karoobab/job ke bandish ho to kiya ahkam hain.
Answer:
1)Agar shohar daar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2367)
2)Difa-e-Shaitaan aur Jado ke liye Surah-e-Ahraaf Ayat No 54 Parhay (Mafati Jinah pg#208) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya islam me akale me hastmaithun karna jayaz hai agar nahi to phir sex control kaise kare
Answer: Istemna kerna (hand practice) haraam hai chahae kisi bhi zariye sai ho (Ref: Jaded Faqhi Masayl Ayatullah Sistani d.b Masla#462, pg#253) Jo shaks shadi nai kernay ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2407) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: Salam, is it permiscible to play card(tash)without bet just to enjoy with friends? Q.2. is it allowed to play chess, or cards on computer without any bet?
Answer:
1)Joay k tamaam alaat k zerye jaisay cards(taash) hain, khelna haram hay basharte keh kisi maal ki saht per khaila jay, balkeh Ehtiyat-e-wajib ye hai k maal ki shart k beghair bhi juwa baazi ko tark kiya jaye. Or computer per jua khelne ka yehi hokum hay. (Ref: jadeed fiqhi masail pg#255+259,masla#470+488)
2) Computer per bhi 2 afraad ka mil ker shitranj khelna haram hay or ehtiyat e wajib ki bina per 1 admi bhi computer k sath mil ker shitranj khele tub hi haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 469) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: is betting alooed on horse ridding
Answer: No, it does not allow betting on horse riding. (ref : email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 13, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar koi larka kise dosra larka ka sath sex karla aur wo balig na hoo aur us ko kuch nahe pata ho ka yaa kitna bara gunnah hai to us ko gunnah mila ga kya?
Answer: Itstighfar is required. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 5, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: if a person commits zana. tu os k liye kafara kya hai. or insaan agar allah sai maafi mange tu kya ye gunah maaf ho sakti hai. plz reply.
Answer:
Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: I feel i killed a cat but not deliberately so, what is kaffarah for that. she was wounded but not sure whether died or not.
Answer: Janwar ko qatal kerna jaiz hay or koe gunah nahi hay.aap per koe kaffara nahi.(Ref: sistani(d.b),http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam,sir mera sawal ye hai k hath se jo lazzat hasil karte hai uske nuksan kya hai,usse bachne ka tareka,or jo kuch gumaya hai uska sahi elaz kya hai.pls help me,mai bahot pareshan hoon
Answer:
1. First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2. Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
3. Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
4. Ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k
• mout ki yaad ko dil main bassa’en
• ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay.
• khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain.
• Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mai ek gunah karta ho jo bohat bara hai.aur islam mai os ki saza bhi nahi hai.mai gunah karna nahi chahta par mera desire mujse gunah karwa deti hai.aur gunah kar kay bohat pechtata bhi ho.par kucxh arseay baad phir kar deta ho.kindly mujay kuch quran anr hadees se kuch kaho.
Answer:
1) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
2)Ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k:
1)mout ki yaad ko dil main bassa’en
2) ye tassavur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay.
3)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain.
4)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
Question: Kya hand sex karna guna hai to is se kaise chutkara paye.
Answer:
Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en
4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay.
5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain.
6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: janab saheb hum india main rahtai hain kya india main light chori jaaej hai
Answer: Ghair islami mumalik me begli ya light chori karna jaiz nahi he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 229 pg # 148) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia masturbation karna haram hai?
Answer:
1)Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
3)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Question: assalam walaykum. ya Ali as madad. 1) kiya fiqa jaffarya ke nazdeeq masht zani(khud lazzati)haram he. khuda hafiz
Answer:
1)Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
3)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
Question: mai kabhi kabhi masturbate karta hu aur waise hi subha namaz padh leta hu means bagair gusl k to kya muze gusl karns padega
Answer:
1)Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
3)Ghusl e jannabat wajib namaz parhnay k lie aur is jaisi doosri ibadaat k lie wajib ho jata he. Lakin namaz e mayyat , sijdah e sawh , sajdah e sawh aur quran majeed k wajib sajdooh k lie ghusl e jannabat zurari nahi he. Aur bagair ghusl k namaz nahi ho gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir, Me Buhat shmeda ho or me buhat guna gar hoo sir ak adat mere me dal gay hee me larkoo koo chowdta hoo zeyada or muje maza atah hee me aya kam chorna chata hoo or ak wazefa bathoo ke muje as kam see nafrat ho jay or me aya kam chor doo mere ap shadi showda me ho gay or ALLAH Tala Ka karam ke ke ak bete be hee sir muje apne wife pal kul pasand nahee hee or na sex karne me maza taha hee
Answer:
1)Lawaat yani mard ka mard k saath ghair fitri amal(bad faili) anjaam dena jaiz nahi he or gunah e kabeera hay. (Ref : (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#29 ).
2)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70)
3)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382).
4)Aap sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba).
5)Aap al-ha,keemo(الحکیم), al-man,naa,no(المنان), or ar-ra,ooofo(الرءوف) kasrat se perha karain insha allah aap k dil se shewat khatam hojaay gi.(Ref:kulliyaat e mafateehul hajaat, pg#224). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya mami k sath sex jaiz ha
Answer: Jee nahi.bivi k alawa kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya kisi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah hay or aap per is amal ki tauba kerna wajib hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#15 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: muj say bardasht nahi hota hai aur main wash main ja kar apnay nafas ko istimal karluta hun plz mujhay bataei k main kiya karo jis say meri ya gandi adat dor hojae main buhat tang hun
Answer:
1)Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
3)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
4) Is ka behtrin elag shadi karna he. Aur agar koi shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho to os k lie shadi karna wajib he. Aur agar shadi karna mumkin na ho to roza rakhain q k hadees me aya he k roza dhal he aur koshis karain k ijtema me rehain aur akalay na rehain is k alawa shawat wali filmain na dekhain. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : 2011/7/19)
Question: Asalam alikum brother...bhai salam k baad arz karna chahonga k harkat tu mai ne buhat he gandi ki hai magr phir b Allah mafi de pochna ye hai k meri girlfriend ti or uske sath mai ne sab kuch kiya yani ek kisam ka sex samjh le har chez jo har mard apni biwi k sath karti hai ab pochna ye hai k mai kia karo gunah tu hai magr agr mai us larki se shadi karlo kia ye teek raheyga ....
Answer:
1)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
2) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qibla agar koi apni chachi se zana kr dale to uski had mukarar ya koi tareeqa btayein jis se kalbi skoon ajaye
Answer:
1)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
2)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam sir.mera aap se ye sawaal hai ke mera dost 14 years ka hai or wo mujh se keh raha thaa ke wo apna mada nikaal sakta hai so mene ye awaal aap se kiya or oos ka mada nikalna os ko kamzoor karskta hai please reply kare jaldi emergency.khuda hafiz.
Answer: Istimna (hand practice) kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462 pg # 253). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye
Question: Salamun Alaikum, Ayatullah Seestani k fataw k mutabiq Sufi Shairi Sunna kaisi hai. Kiya ye shairi sun kr koi gunnah ka kaam anjaam detay hain. Khususan Barr e Sagheer k Sufi Buzurg Shura ki Shairi, aur kia in ki shairi jaiz music k saath sunna jaiz hai, Plz jawab zarur dain...
Answer: Wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhein jay lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koe haraj nahi he . jo mosiqi mehafil e lahw o la’ib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asa gunah batain k jis ki maafi na ho sakay?
Answer:
Quran e kareem main khuda ka fermaan hay k :
“Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek banaay ga os nay bohot berha gunah kia hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#48)
“Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek qaraar day ga wo gumrahi main bohot door tak chala gaya hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#116)
Note: wajeeh rahay k sorah e nisaa ki ayat # 48 main jis maghfirat ka zikr hay os k 5 asbaab hain: tauba, hasanaat(naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaa,at, khuda ka afu o darguzar, in asbaab k baghair bakhshish ka koe tasawwur nahi hay.or is ayat main wada nahi kia gaya hay k shirk k alawa her gunah ko maaf ker diya jay ga balkeh maslah ko mashiyat per moqoof kiya gaya hay k jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahi hay osay apni maghfirat ka intezaam khud kertay rehna chahiaay(Ref: Allama Zeshan Haider Jawwadi k tarjumay e quran ka Hashiya pg#204-5 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mujhse ek galti hui hai mere bachpan ke dost galat the mujhe gandi aadat laga dale the khudlazzati karne ki jis mujhe bahot kamzori ho gai hai zakar tircha aur rat me tight nahi hota zakar pura tight bhi nahi hota dost ne zina karne lagaya to zakar pura nahi utra aur 10 sec me hi kharij ho gaya tha mai kya karu is galti saza to bhugat raha hu mujhe aur zalil nahi hona nahi chahta aur gunah me nahi padna chahta guzarish hai aap se mai kya karu mujhe bataye
Answer:
1)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
2)Ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k :
1)mout ki yaad ko dil main bassa’en
2) ye tassavur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay.
3)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain.
4)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).