Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (876 Questions)


Showing 450- 500 questions from 876 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
93429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-15

Question: I got married to a handicap person and after 9 days of marriage we had a reception. The next day of reception my husband left me at home. And stopped contacting with me blocked me everywhere. We had intercourse. when my parents contacted him was saying he was not interested in me. After waiting for 9 months Now I want to end this marriage by taking either khula or divorce. after divorce , how many days I can remarry. Is iddat days are same for khula and divorce?

Answer: Jee haan, khula or aam talaq ki iddat same hay, aisii aurat ki iddat jis k do haiz ka darmiyani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shauhar ose paki ki haalat mein talaq de to wo itni muddat sabr kare keh ose dobaar haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi osay teesri dafah haiz aa jaay to os ki Iddat khatam ho jayegi aur wo dosra nikaah kar sakti hai. Laikin agar shauhar aurat se majamat karne se pahle ose talaq de to os k liay koe iddat nahi yani wo talaq k fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar ki mani os ki sharamgaah mein daakhil huyee ho to os suurat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2475 )
[Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93460
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-09

Question: Salam mere cousin hai us ka nikah huwa tha 2 saal pehle magar rukhsti nahi huwi aur ab larki ke dada dadi talaq lena chahte hai aur mera cousin nahi dena chahta is bare mien kya hukum hai

Answer: Us k liay apni biwi ko talaq daina wajib nahi hay islam ne talaq ka haq merd ko dia hay.
(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part 3 question 105 pg 53 ref: ayatullah sistani d b tauzihul masail maslah#2462).
[Updated on 09-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
93483
Mujtahid:
Date: 2019-01-11

Question: Salam main apni bv ko talaq dena chahta masla ye h k woh kisi surat b ghr walo ko accept nhi kr rhi aur is wqt woh pregnent h kya is situation m talaq hoskhti h

Answer: Was Salam. Jee hamila ko talaq di ja sakti hai balkeh agar haamla hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq hoj aey gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2464).
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93515
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-21

Question: Assalam-o-Alaikum: Sir mera sawal ye hai k. kiya kisi ko Majboor kr k, our Dra Dhamka k talaq lainy sa talaq ho jati hai? Sir please mere swal ka jwab mujhy email kr den

Answer: Was Salam. Jee nahi is tareekay ki talaq durust nahi hai q k talaq main ye shart hai k apne ikhtiyaar sai sahi arabi main 2 adil gawaho ki maujoodgi main di jaey. (Ref :Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462).
[Updated on 21-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Meray Bhai nay 2 bar asay alfaaz bolay k agr meri Behan ghr aey ge tu meri bv ko Talaaq ho jay ge.tu jub Behan ghr aa gai tu Kia Talaaq ho jay ge

Answer: Mard k liye zaroori hai k talaq ka seegha arbi mai adaa karay or do aadil mardo ki moujoodgi mai ada karay is k alawa talaq durust nahi hogi. lehaza ye talaq batil hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2472).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2019-02-04

Question: Ager biwi hamal se hai Aur Sohar talak de to Kya man liya jayega

Answer: Jee halat e hamal main agar mukammal sharaet k sath talaq di jaey tu talaq ho jaati hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah Khoe(r.a), maslah #2510).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-05

Question: AOA kia aorat ko ais tarha kehna keh chup kr jaoo warna mn tum ko talaq dy duon ga 3, 4 dafa aisa hi kehna keh chup kr jao warna mn talaq dy doon ga Kia aisa kehny sy talaq ho jati hai?

Answer: wsalam. Jee nahi fiqh e jafferia mai is tareeqay sai talaq nahi hoti balkeh kuch talaq ki sharaet hain jese seegha arbi mai parhaa jaaye, do aadil k saamne parha jaaye, hosh o hawaas main reh kar parhey wagera wageraa...(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah #2462,2472).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-21

Question: Sir nikah kasy toota h agr bivi mard ko kahy K Mjy tilak do aur mard kahy K Thk h dy dunga ya chor dunga agr Issy nikah toota h to agr beech main nikah Na kry aur mard apni bivi ko pir tilak dy dy kya tilak ho Jay ge ya dobara nikah kr k mian bivi bn sakty h plz Mry question ka answer dy dy Allah apka bhla kry

Answer: Jee is tareeqe ki talaq durust nahi hai q k talaq ki kuch sharaet hain jesey k talaq 2 aadil ki moujoodgi main di jaey seeghay arabi main adaa kiay jaain talaq mukammal hoosh main di jaey Shadeed ghussay ki halat ya nashay ki halat main na di jaey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 2462,2472).
[Updated on 21-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-01

Question: Mery husband ny Kaha mugy Tumhari zarorat Nahi jao chaly jao tu kia talak ho gy

Answer: Jee nahi, Fiqh e jafferiya main is tareeqe sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2462-2472).
[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94574
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi shakhs berone mulk hai ..aur wo biwi ko mazak me kahay k agar tum ne falah kaam kia to tuj ko talaq hai.yani shart rakhi.ik dafa hi kehdia..to kia yeh talak waqia huwee? aur is me mudat kitni hogi rujo k liye? q k shuhar berone mulk hai aur aa bhi nahi skta..

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Update on dated 07-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94608
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-09

Question: Salam Mery shohar ne mujhy likh k dia k us ne talaq k seeghay jaari kr dye hn or mera naam k sath likha k aj se falan bnt e falan azad hy 2 adil gawah k sighn b hn phr 2 mahiny bad kaha k mn ne seeghay jari nhi kye hn ek gawah ka b yehi kehna hy talaq ho gai ya nhi??

Answer: wsalam.is tareekay ki talaq durust nahi hai q k talaq ki sharait mai sai aik shart ye hai k talaq k seeghay arqbi main 2 aadil gawahon ki moujoodgi mai adaa kiye jaey lehaaza likh kar daine sai fqih e jafferia mai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#2472).
[Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-16

Question: Biwi agar talaq mange ya bole k mjhe talaq chaye do teen dafa bile to is se talaq to ni hojaty?? Shohur ne agay se koi jwab na dya ho bus aurat bhool me bol de k mjhe chye is se rishte me koi farak to ni ajata?

Answer: Jee nahi is tareeqay sai mazhab e jafferia main talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462--2472).
[Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-23

Question: Mere shohar ne mujhe pahla talaq january me doosra talaq february me our teesra talaq march mahine me ragistared letter bhej kar diya lekin pahale our teesre talq ke vakt mai haiz se thi to kya mera talaq ho gaya? Mujhe mahavari khatm hone ka time chal raha hai yani mujhe manopouse ho raha hai jis ki vajah se mujhe ek_ek our dedh_dedh mahine tak lagatar mahavari hoti rahti hai. Aisa hone ki vajah se mujhe apni mahavari ki date theek se pata nahi hai. To kya ye talaq jayaz ho gaya? Agar talaq ho gaya to mai iddat kaise poori karoo kyonki mai job karti hun our meri dono betiyon ki parvarish ki zimmedari mere hi upar hai. Please help me.

Answer: Ye talaq durust nahi hai q k talaq ki kuch sharaet hain jese talaq likh kar nahi di jaati balkeh us k seeghay ada karna zaroori hai or wo seeghay doo aadil gawah ki moujoodgi mai adaa karnay hai.....wagera..(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462--2472).
[Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94980
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-26

Question: Agar gusse me kisi shaqs ne talaq dedi to uska koi kaffara hoga kya

Answer: Fiqh e jafferiyah main shadeed ghussay main talaq nai hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2462).
[Updated on 26-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95030
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-29

Question: Shohar agr Khula K segay na prhay to sharai lihaz say talaq ka dusra hal btain. 1.5 sal say sohar e mutalqa ko seghay paharny ka keh rahay hain lakin wo pahrny ko tiar nai Ho raha. Plz jaldi jwab dijiaga hum be had preshan hain

Answer: Talaq ka haq shohar k paas hota hay. Agar wo raazi nah ho tu os ko raqam day kar khula per raazi kiajaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah #2492).
[Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-29

Question: Gusse me behas ki haalat me 3 bar talaak bol diya or wife k phone me recording ho gya, us recording ko wife k ghar walon ne suni to kya talaak ho gya?

Answer: Je nahi ye talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462).
[Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95060
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-29

Question: Assalamu wa alaikum hazrat agar hadse zyada gusse me matlab samajh hi nai sakta k kya kar raha ho aisi halat me 3 talaq bolnese talaq hojati hai kya

Answer: Jee nahi shadeed ghusse ki halat mai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462).
[Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95079
Mujtahid:
Date: 2019-03-30

Question: Kya Hi baar 3 talaq kehne se Talaq Ho jata hai??

Answer: Fiqh e jafferia main is tarah ki talaq durust nahi balkeh deegar sharaet k saath zaroori hai k talaq k seeghay arbi zabaan mai ada kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2472).
[Updated on 30-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95365
Mujtahid:
Date: 2019-04-13

Question: اگر عورت نے ہمبستری نہ کی ہو اور طلاق ہو جائے تو کیا عدت واجب ہے یا نہیں؟؟؟

Answer: Agar hambistari k baghair aurat ko talaq d jaey tu koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#2475).
[Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-16

Question: Asslam o Alaikum mufti sahab mera swal hai k mere husband ne mujhe zuban se 3 br talaq di hai lekin abhi tk papers nhi bheje aur na hi ruju kia hai 2 mah guzar chuke hain. Aise mei kia talaq ho jati hai aur meri 1 saal ki beti b hai.

Answer: wsalam.
Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain:

Talaq ki kuch sharaet hai jese talaq k seeghay arbi mai parhay jaain do aadil mardo ki moujoodgi mai parhay jaain wagerah.....
agar tamam sharaet mukammal thi tu talaq ho jaay gi warna talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472)
[Updated on 16-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-20

Question: Asslam o alaikum mufti sahab mere husband ne 2 mah pehle mujhe zuban se talaq di thi lekin paper nhi bheje aur na hi ruju kia wapis.meri 1 beti b hai 1 saal ki. Aise mei islam kia kehta hai?

Answer: Is website per fiqh e jafferiya(shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jaatay hain:
Agar talaq ki mukammal sharait moujood theen tu talaq hojaye gi, likh kar daina zaroori nahi hai. talaq chand sharaet ye hain:
1) Talaq k seeghay arabi main adaa kiay jaey.
2) 2 aadil gawahmoujood hoon.
3) aurta haiz o nis=faas se paak ho. waghaira waghaira.
(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani editon 41 maslah no 2462-2472).
[Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95453
Mujtahid:
Date: 2019-04-19

Question: Mairy nikah ko 5 saal ho chukay hn lakin rukhsti ABI tk Ni hwi in 5 year ma hm ne B's text PR bt ki lakin BHT Kam hm 2no ki razamandi shamil Ni thi nikah ma ab yai btain k nikah toot chuka ha q k 5 saal ma rukhsti Ni hwi and dosra ma agr divorce doun tu Kia trikakar ha please ans

Answer: Nikah is tarah batil nahi hota. Agar aap talaq daina chahte hain tu arabi zaban main talaq ka seegha jaari karain or ye seegha 2 adil mardo ki maujoodgi main ho. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2335 point 5).
[Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-19

Question: Mairy nikah ko 5 saal ho chukay hn lakin rukhsti ABI tk Ni hwi in 5 year ma hm ne B's text PR bt ki lakin BHT Kam hm 2no ki razamandi shamil Ni thi nikah ma ab yai btain k nikah toot chuka ha q k 5 saal ma rukhsti Ni hwi and dosra ma agr divorce doun tu Kia trikakar ha please ans

Answer: Nikah is tarah batil nahi hota. Agar aap talaq daina chahte hain tu arabi zaban main talaq ka seegha jaari karain or ye seegha 2 adil mardo ki maujoodgi main ho. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2335 point 5).
[Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-18

Question: 0 Answers found for "Assalam0alaikum. Mera sawal h k ek lrki ka nikah hoa or uski rukhsati se pehly talaq ho gai to kia uski iddat ho gi ya ni or agr h to kitni h. Wassalaam jwab ka muntazir "

Answer: wsalam. Agar hambistari nahi ki ho tu iddat nahi hay or agar hambistari ki ho tu iddat wajib ho gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2474,2475)
[Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-18

Question: Agar koi insan apni biwi ko talakh keh De par uska aisa koi irada na Ho aur usse pata bhi na Ho ki talakh bolne se uska talakh Ho jayega to is condition main kya uska talakh Ho jayega ya nahi please jaldi bataye ya reply kar Dijiye ya number par jawab De 9971055496

Answer: Is website per fiqh e jafferiya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain:
Jee nahi is tareeqe ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462).
[Updated on 18-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-24

Question: A girl can have engagement during the period of idat

Answer: Agar talaq rajee ki iddat hai tu us mai shadi k liye paighaam nahi bheja sakta or nah hi nikah ho sakta hai. Lekin agar iddat talaq baain hay ya iddat e wafaat hai tu phir faqat baat pakki ki jaasakti hai ya paigham bheja jaa sakta hai lekin nikah, iddat k baad hi durust hoga.(Ref: Minhajus saliheen ayatullah seestani, part 3, maslah#199).
[Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-29

Question: Mujhy ap sy ye pata krna hai k mere husband NY mere kahny py mujhy divorce di na chahty howe bhi phir Union Council walon NY 3months diye as doran hm phone py rabty mein thy hmari aik 16months ki beti hai or phir hm dono NY ye fasla Kiya k hm sath rahy gy divorce nahi Lyn gy mere husband NY kaha Kai apko rakhta hon AP AA jao or Maine kaha Mai aa jaou go kuch din to mere Walid ko nahi pata tha k Mai or mere husband rabty mein Hain unko NY union concile sy ja k divorce certificate ly aay ab hm kiaaa kry AP Bataan Kiya ye talaq ho gai ya nahi hala k hm apas mein razi thy or sath rahna chahty thy

Answer: Note: Is Website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain.
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95732
Mujtahid:
Date: 2019-04-29

Question: Agar shohar nay 3 talaqen day di hon or 3 talaq dainy k agly din jab bv idat me ho or usi ki chat k nechy ho to WO apni bv say ruju kar lay to talaq khatam hoi ya kia hoga plz bata dain.

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97299
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: Bewi na khula li hai, par miya na sirf papers sign kiya ha khula ka mui se talak nhi dee hai kia dubara nikkah jaiz ha bgair halala ka?

Answer: Talaq ki sharaet main sai hai keh talaq ka seegha sahi arabi main 2 aadil mard gawaho ki moujoodgi main adaa kiey jaey. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2462, 2472).
Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah 2462 to 2464 amp pg#460).
[Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-23

Question: kia talak ky bad koi time hota ha or aik bad mjy preshaan bht rhta pta nae glt kea ya sae likn iska koi hal ha

Answer: agar talaq tamam shariat k sath sahi di thi to 2 tareeqay sai insan iddat k doran aurat ki taraf roju kar sakta hai 1 aisi baat karay jis sai pata chalay k is nai osay dubara apni biwi bana lia hai 2 koi kaam karay aur os sai roju ka irada karay aur jima karnay sai roju sabit ho jata hai is k alawa mard k lie lazim nahi hai k kisi ko gawah banay ya apni biwi ko roju ki khabar dai (Ref ayatullah sistani d b tauzeehul masail 31st edition maslah#2488 89).
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97493
Mujtahid:
Date: 2019-07-16

Question: : Assalam walikum Sir mujhe ap sae kuch malomat chae Maera name amir hai. Me Karachi saedabad ka rahnae wala hu Mujhe talaq kae hawalae sae kuch malomat chae Maenae apni biwi ko paki halat Mae agar ek baar talaq di to woh ho gae talaq Our agar es ki edat hai Our woh us nae nahi ki our maenae us sae reju kar leya 10 din sae phaelae to sahi hai ya nahi Plz mujhe es ka jawab jald az jald dae plz Mae wait karoga

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 16-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97633
Mujtahid:
Date: 2019-06-13

Question: Aur ladki ki iddat kya hogi jisne shadi ki 1 month me talak ho gaya ho aur es duran dono me kisi bhi tarah ka physical relationship na bana ho to kya ladki ko iddat puri krni hogi dusare nikah k liye

Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition#41, maslah#2475)
[Updated on 13-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: Agr aik aurat ka nikah ho chuka ho or us ka shuhar khin chala jay or wpis naay to us ka nikah kisi arsa ma khtm hota hai ya nhi?

Answer: Nikah usi soorat mai khatam hoga jub shohar talaq day or agar shohar laapata hai tou aisi soorat mai mujtahid ya us k wakeel sai raabta karein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2504).
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97811
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-24

Question: Ager husband ghuse mei kahe k tum azad ho jo b decision logi osmei mei tmhre sath hoon kya yeh talak hei?

Answer: Je nahi is sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41, maslah#2462).
[Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98010
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-11

Question: Asslam o Alikum Mn apny shohr sy 3 sal ssy dor hoon or ab talak hoi hai adalat sy tou ab mere liye kitni idat hogi

Answer: shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2492, 2397).
[Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98764
Mujtahid:
Date: 2019-07-23

Question: AsalaamMuAlykum? Mera Sawal Hai K Mei Apne Shohar se Khula Chahti hun, or wo divorce nhi de rha mjhy, meri shaadi ko teen saal ho chuke hein or Valima bhi nhi hua ,mjjhy khula k liye kya krna chaiye? Or Mera 3 Mahine Se Contct nhi 2 Bar Divorce b de chuke Lekin 2 bar ki divorce k bad ruju ho chuka thaa, Meri Khula Kesy hogi? Or Uski Iddat Kitni Hogi? Kyu K Mera Abi 3 Mahine Se Contct bhi Nhi Hai

Answer: Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).
Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya iddat mai aurat dusre bate k paas jasakte hai agar do makan mai dewaar hai aur aurat ek bate ke gar mai rehta hai

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 27-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
98990
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mulana sahab mera sawal ye hy agar bivi ko sohar ghusy ki halat mae ye kahe k aj k bad mera tumhara jisam ka reshta khatm tu kia es se nikha toota hy ? plzzz es ka jawab zaror dy

Answer: Is tarah se talaq nahi hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2474-2491). Update on dated 30-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Slam! Agr shohr ko ghar vala majboor kren k apni bv ki talaaq da do or wo apna ghar valon ki baaton mn aa k apni bv ko pahla paper pa likh k talaaq de da or phir apni zubaan se 3 dfa kah de talaaq or phir massage pa 3 dfa likh de to kia ya talaaq ho jaye gi?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Update on dated 03-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia talaq ki iddat k Doran biwi ka khrcha husband ki zimedari he ya nhi??

Answer: Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508). Update on dated 17-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: اگر دل میں اپنی بیوی کو طلاق دینے کا خیال آۓ جب کے میرا ایسا کوئی ارادہ نہیں ہے اس سے طلاق تو نہیں ہو گی؟

Answer: Talaq ki khuch sharaet hain, is tarah talaq nahi hoti . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462) Update on dated 03-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mai ahly hadees firqy se hun or paper per 3 dafa keh kr sign kr dia. bivi umeed se h kia taqlaq ho jae gi.

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatey hain.

Print

Id:
99959
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar shohar gussay main bivi ko yae keh dy k tm mairi taraf sy tm azaad ho magar dil main talaq ki neeyat na ho tou kia talaq ho jati hy?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 05-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100381
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mjy bewi ny gusa delaya main ny gussy main kha ap mari tarf sy farg ho ap sy myra koi talaq nhi or es gher sy jeena merna khetem ha saman utahoo . mjy apni wife ko wapes lana ha mjy gher bechana ha please mjy betaya es ka solution

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100391
Mujtahid:
Date: 2019-09-20

Question: Asalam o Aliekum mje poshna tha k mera divorce ho gya court k throw. Mere husband ko divorce pprs mile jis pe srf mera sign h . Kia ese divorce ho skta h according to islam ?ya ab b hum husband wife hen ? Plz ans. Thnks

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492).
[Updated on 20-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa sir agr koi murd gussa main apni bivi ko talak bol da to kia ho jati hai

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum.kiya ager miya mazaq my bivi ko kahy k log kyse kahty hai k may ny tumhy talaq de tu kiya ho jati hai talaq.

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 30-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-04

Question: Assalam O Alaikum main ny apni bv ko sms k through ghussy aik dafa talaq likh k bheji abi bv ny message nahi perha aur aur main ny usy kaha k message bagair perhy delte ker do aur us ny aisa he kia bagair perhy message delete ker dia. To kia is surat main talak ho jaiy ge k nahi.

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
[Updated on 04-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100940
Mujtahid:
A.Sistani. Date:

Question: Agr kisi oraat ka bacha 8 8 din ka ho or usky husbnd ki death ho jye to kia us py idaat bnti hai???

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100981
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Agar koye apne bv ko boly esa na karo wrna tum mujh pe talaq ho ge awr bv wesa kar dy to kiya talaq ho jayge . . ?

Answer: Talaq ki chand sharaet hain, is tarah se talaq nahi hoti, is tarah kehne se shohar or bivi main talaq nahi hoe. (Ref: Ayatullah khomeni(R.a),Tauzeehul masail, maslah #2494-2504). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print