Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (825 Questions)


Showing 400- 450 questions from 825 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
78080
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-09-08

Question: Asslam-0-alikum.mere walid ki 4.3.2017 ko death ho gai or meri ami ki iddat chl rahi mere abu ki pension ka msla ha mere abu ki pension se hmare ghr ka kharch chlta ha kya meri ami bahir nadra office ja skti ha?qk ami ke bageir ye kam ni ho skta.plz jldi jwab den.suni hn hm or hmara mzhab islam

Answer: Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 11-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Suni mazhab main bhi yehi maslah. (Ref: hay.http://www.thefatwa.com/urdu/questionID/3769/%DA%A9%DB%8C%D8%A7-%D8%AF%D9%88%D8%B1%D8%A7%D9%86%D9%90-%D8%B9%D8%AF%D8%AA-%D8%AE%D9%88%D8%A7%D8%AA%DB%8C%D9%86-%DA%AF%DA%BE%D8%B1-%D8%B3%DB%92-%D8%A8%D8%A7%DB%81%D8%B1-%D8%AC%D8%A7%D8%B3%DA%A9%D8%AA%DB%8C-%DB%81%DB%8C%DA%BA/)


Print

Id:
79932
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal ye hai k mera nikah hogya hy rukhsati nahi magar hum miyan bv mai sex ho chuka hy.. Kuch larai ki waja se maine talak ki demand ki mere shohar ne 2 bar dedi ab sulah k liye kya krna hoga ? or renew nikah required hai ? Or mere talak K demand se shohar k 3 talak dene ka haq baki raha hy ya nahi?

Answer: Ye talaq durust nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 01-06-17 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
81738
Mujtahid:
Date:

Question: Mai ny apni biwi sy kaha k mai aisa kam yani karobar ky lehaz sy auk b kaam timhari ejazat ky baghair nahi karoon ga kya aisa boalny sy talaq ho jati hai...

Answer: Is tarah talaq nahi hoti. Minhajus saliheen, part#3, maslah#498). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81759
Mujtahid:
Date:

Question: mera aj biwi se jaghra hua jis par maine usse 3 dafa talaaq kaha ab mera tallaq hua hai ya mjhy kia krna chahiye B qoitrat

Answer: Talaq mai zaroori hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya shaded gussay ki halat main talaq day tu, talaq sahi nahi hogi.is k alawa bhi is talaq main degar sharet e talaq majood nahi, maslan talqa k waqt do aadli hazraat ka hona zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Mafhoom e Maslah #475) . Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum, mene apni wife se divorce lene k lie phone pr do logo se gawah ke tour par bol diya ki m apni wife ko talaq deta hu (3 baar). pr wife se kuch nhi bola. usko kuch pata v nhi hai. Kya mera talak ho gya ?

Answer: Talaq ki kuch sharaet hain, sirif yeh bolna k main apni biwi ko talaq deta hu( 3 bar ), es say talaq nahi hoti, wo apki biwi hi hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, maslah#498). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82146
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALIKUM mera nanad or devar sb gandi galiya dete hai or mjhpe bhotan lagate hai ispe maine apne shohar se kaha k mai inlog ka khana nahi bnaunge to mere shohar ne kaha k agar nahi bnaoge to meri bhi shart hai k tum apne maa ko chor do or unse kbhi bat nahi karoge.or agar kiya to hmara rishta khatam.fir maine unke shart manne se mana kr diya or maike jane lage to unhone ye keh k rok liya k mat jao or jaisa chate ho waisa he hoga.fir hm dono mia biwi ke tarah rahne lage par fir wo mjhse larne lage khana bnane k lea apne bhai bhen sb ka.or ek rat 6 october 2016 ko jb fir is bat pe larai hue to maine kaha k ap kyn khte ho khana bnane k lea jab k maine keh diya tha k nahi bnaunge to kyn bar bar larte hai to wo bole k maine bhi to kaha tha apne maa ko chor do nahi to rishta khatam TALAAK.fir mai maike age tb se yahe hu.wo kahte hai maine TALAAK nahi diya hai.please btea mera TALAAK hua hai k nahi?

Answer: Is tarah se talaq nahi hoti, wo aap k shohar hain. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, maslah#498). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Mere shohar ne kaha ke agr mein ne apne maa baap se maafi na mangwayi to humara rishta khatam. Maafi is liye q ke mere baba ne uski shikayat ki thi badtameezi ki. Mein maafi nahin mangwaongi apne mama baba se. Kya aise mein talaq ho gyi hai agar mein ye shart puri nahin karti?

Answer: Shohar k aisy kehnay say talaq nahi hoti, haan agar aap ka shohar talaq daina chahay tu phir os ko talaq ki sharaet per amal kerte hoay talaq daina hogi. (Ref: Minhaj us saliheen, jld#3, masla#473). Update on dated 05-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82185
Mujtahid:
Date:

Question: Ager husband italy me he or vo wife se divoces chata he wife nhi dena divoces to kya husband italy se aa kr ceas kr or ceas kitne time tak chalta he or kya ceas ke chalte vo bhar italy ja sekta he ki nhi

Answer: Divorce shohar deta hay nah keh wife chahay wife raazi ho ya nah ho, divorce ho jaey ga agar tamam shartoon k sath di jay to ap kisi aalim say rujoo Karen. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, maslah# 473). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AS My question is k meri sister in law ko shadi k 2 saal baad divorce ho gai, woh job karti thi, job se leave bhi le skti thi aisa koi problem nahi tha, but us ne idat puri nahi ki or na hi idat ka irada kia ab us ne divorce k aik saal baad shadi kr li, kia us ki shadi jaiz ho gi Or idat puri na krne ka gunnah or kafara kia ho ga

Answer: Us ki shadi sahi hay or us per kaffara bhi nahi hoga q k talaq ki iddat ka matlab hota hay k is doran wo kisi say shadi nah karay or Iddat main ghar se bahar jaana bhi jaiz hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, maslah#542). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Meri bv kse dosry mard s baten karte h as halt min oay talg dena si h

Answer: Talaaq dene mai koi haraj nahi hai lekin behtar hai k amarbil maroof or nahi anil munkir sai kaam le unhey samjhaya jaey q k khuda quran mai irshaad farmata hai “tum mai sai aik girooh aisa ho jo kher ki taraf dawat day or burayon sai mana karey aur yehi loog falah paaney wale hain”(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition#39 pg#302 amarbil maroof wa nahi anil munkar) Update on dated 30-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84675
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum mere shohar ne mjhe pehle ek br talaq bol diye the phr humlog sath me rehne lage the lekn abi wapas hamara jhgda hua to unhone waps Gusse me talaq bole lekn is br unhone 2 bar talaq bole or koi gawah b nai tha mjhe akele me bole phone pe lekn unki niyat nai thi talq dene ki sirf mjhe darane k liye bole to kya hmlog ki talaq hogayi h

Answer: Talaq nahi hoe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #498 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya AGR mard aurat ko paper py talak likh k dy k \"WO ab us per harm hy aur usy talak deta hy\" two kiya asy my talak jaiz hy? Jb k Dino shia fiqa sy hon?

Answer: Yeh talaq nhi hoi, Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AGR KO SHAKS APNI BVI KO GUSY M KAHY KY TM MERY UPAR HRAM HO TO ISTRAHA TALAK HO JATI HY . YA IK TALK DY TO TLAK HO JAE GI

Answer: Aisi talaq batil hay or aap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84833
Mujtahid:
Date:

Question: talaq k bad apni biwi se rujoo ka kia tareeqa hy?

Answer: Talaq ki khuch sharait hen, agar aap 1 talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k albatta agar tesray haiz aa jaey tu phir ap dubara nikah ker saktay hain.
Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship qaaim kerna or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aisi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa(humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85110
Mujtahid:
Date:

Question: assalamualikum.jb se meri shadi hue mere sasural wale mjhe bhot pareshan krte gandi galiya dete.jb maine apne shohar se kaha k mai apke bhai bhen ka khana n banaunge to uhone kaha k agar n bnaoge to meri b ek shart h k tm apne ammi ko chor doge kbhe bat n kroge fir mai maike jane lage to bole mat jao jaisa chate ho kro.mere shohar meri ammi ko pasand n krte unhe lagta h wo mjhe sb sikhate h par mai jante hu aisa kuch n h.mai fir unke sath mia biwi ke tarah rahne lage par wo fir mjhse larne lage k mere bhai bhen ka khana bnao.ek din maine kaha k jb maine kaha ye log galiya dete h mai n bnaunge unlog ka khana to ap kyn larte h to bole maine b to kaha tha k agar nahi banaoge to apne maa ko chor do nahi to rishta khatam TALAAK.fir mai maike age.wo khte hai maine TALAAK nahi diya h.Tb se mai yahe hu.kya ye TALAAK HUA K NAHI?mai ek saal se maike me hu

Answer: Jee ye talaq nahi hoi q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2462-72 ). Update on dated 31-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kagaz par talaq likhi lekin biwi ko diya nai zaya ker diya tu kya talaq ho gei?

Answer: Likh ker talaq daina durust nahi hai. or aisi talaq batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 01-06-17 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86191
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar kisi ka shohar gayab ho jaye to aurat kitna din tak iddat karegi

Answer: Shohar k gayab hone ki koi iddat nahi hai balkey us ko zinda tasavur kia jaye ga han lekin agar us ko us k shohar ki wafaat ka yaqeen hojata hai tu phir us ko iddat e wafat guzarni hogi us k baad doosri shaadi kar sakti hai.
or agar biwi is shohar k palatne sai mayoos hojaye or doosri shaadi karna chahti ho tou usey chahye k hakim e sharah ki taraf rujoo karey,hakim e sharah apne ikhtiyaraat ka istemaal kartey hoe talaaq k seeghe jaari kardey ga tu us aurat ko phir talaq ki iddat guzaarni hogi iddat khatam honey k baad wo doosri shaadi kar sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail seestani edition#39, maslah#2427). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Talak kaisy hoti hai 4 bandon k bech me beth k bolny se hojati hai?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86328
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr mard boly k tm muje chor do tw is sy talaq ho jati ya nai?

Answer: Jee nahi ye talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2462). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr shor bv ko khy k tm is shrt ko pa mary pas ana warna ni or agr bv wo shrt pori na kry to kia talak ho jati ha

Answer: Jee nahi, aise talaq nahi hoti is ki kuch sharaet hain jin ka hona laazmi hai.(Tauzeeh ul masael ayatollah seestani edition 39 maslah#2462). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86680
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya text msg par talaq kehne se waqai me talaq hojati hai?

Answer: Jee nahi text msg par talaq dena sahi nahi hai Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2472). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86714
Mujtahid:
Date:

Question: Mere shohor ne mujhe bacha home k 4 10 din bad muu se talakh dee or phr 1 mahine k andar ruju kr lia us k nad hamari phr larai hui or unhone mujhe court se talakh bhej di jis mai likha tha k hamari ban nahe rahe islea mai talakh de rha hn 3 bar to kya usse meri mukkamal talakh hogai? Ab wo mujhse ruju krna chah rahe hn to kya tariqa hoga ap plz bataen hum boht parishan hain.

Answer: Fiqh e jafferia mai talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai jesey k talaq k seegho ka Arabic mai parhna is k ilawa do aadila gawah ka moujood hona waghera waghera…..agar ye sharaet moujood nah ho to talaq durust nahi hai lehaza fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti,is liay pehli talaq k baad chunkey aap k husband ne ruju kar lia tha or phir court sai talaq bhijwai thi tu court ki talaaq ko nahi maana jaey ga or aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqkaraar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462-72). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86726
Mujtahid:
Date:

Question: agar koe orat apnay shohar se ye kahay k ap mujay apni maa behn ke tara samjo to kia en alfaz se talaq ho jae gi ya nikah pe koi asar paray ga kia shohar orat se hambistry kar skata hay ya koi fidya karna paray ga

Answer: Jee nahi, is tarah sai talaq nahi hoti, talaq k liay kuch seghay hain jo adaa kiay jaatey hain or kuch sharaet hai jin ka hona laazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah# 2462,2472). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87006
Mujtahid:
Date:

Question: Kya bivi k liye maa baap ko chodna sahi hai agar sahi hai to soluation btaw or agar maa baap ko bivi psnd nhi hai to kya us bivi ko choda jaa skta hai or wo dusri shaddi kr skti hai.

Answer: Maa baap kay kehny per bivi ko talaq dena zarori nahi hay or husband or wife men judae kerney walay tareeqo men aik tareeka talaq hay ,or talaq na pasndida kamon men say hay, or agar talaq ho jaey to agar shohar nay us say hambistari ki ho us kay liay iddat hogi or iddat kay bad orat kisi or say shadi ker sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87009
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar shohar biwi p shaq kare to kya biwi ka khula lena jayaz hai

Answer: Aap k liay on se talaq ka mutaalba kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, jild#3, maslah #616 ). Update on dated 10-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87078
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia Islam Men Husband & wife men Bina Humbistari(sex) ky Talaq ho sakta hai ? I mean un men kabi sex na huwa ho to kia talaq dia ja sakta hai ?

Answer: Jee haan, talaq ho sakti hay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2463 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mai ne dost ko kaha k fala larki mjse bat krti hai, mai usko conference cal se tmhe sunwa b sakta hon, agr ye jhot h to muj pr meri bv talaq ho.. sawal ye hai k us ne muje kaha nhi k mai usko conference call se sabit karon, balky mai ne yaqeen dilany k lye ye bat ki, or mai is chez pr qadir hon or wo lrki mujse baty b krti hai, to kia talaq us bat se mashroot to nhi hui k mai lazmi usko conference call se sunwaon ga??? us dost ne muje sunwany ka nhi bola, usy meri bato pr pora yaqeen h k mai sach keh rha hon.

Answer: Nahi, is tarah sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88634
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalamualekum warahmatullahi wabarakatahu. bhai mera sawal ye h ki jaise meri shadi ho chuki hai aur kissi wajah se mera talaak ho jata h magar kuch din baad mai chahta hu ki dobara mai ussi ladki se shadi karna chahta hu . to maine ye suna h ki us ladki ko phle dusre admi ke sath shadi karni hogi phor usse tood kar mujhse kar sakti h aisa maine suna h . to mujhe bas itna hi puchna h ki kya kar sakte h kya yhi sahi tareeka h ki koi aur . aur plz agar ho to mujhe jawab mere no per call karke ya sms per kar digiyega . mera no h +91 7860275700. plz magar mujhe jald se jald jawaab dene ki khosis kare...

Answer: Nahi aisa talaq e baain k baad hota hai(yaani teen martaba talaq dene k baad) lekin pehli ya doosri dafa talaq dene k baad iddat mai rujoo kia jaa sakta hai warna iddat k baad jadeed nikah kia jaa sakta hai lekin halala karnay ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2491). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum Meri shadi ko 1 saal hua hai shuruati daur se hi meri biwi aur mere gharwalo k bich ladai jhagde hote the.Mai naukri ki wajah se bahar rahta hu.Baat itni badh gayi ki meri biwi mayke chali gayi hai aur meri ek bachi bhi hui hai.Ab wo aane ka mana karti hai kahti hai jaha aap rahoge waha mai rahogi.Is ek saal k arse me meri usse kahi baar foan par jhagde hue hai.To mere muh se nikla ki mujhe ab tere saath nahi rahna hai,talaq chaiye.Uski ammi usko bahkakar hamesha jhagde karwati rahti thi.Plz rahnumai farmaye ki mai ab kya karu ya baar baar mere bolne se talaq ho gaya hai kya.Aisa hi bolta tha mai ki ab tere saath nahi rahna hai.Aur kitni miad tak shohar biwi saath na rahne se talaq waaqiye ho jata hai.

Answer: Jee nahi is tarah sai talaq nahi hoti talaq k liay zarori hai k do aadil gawah ki moujoodgi mai talaq k seeghay arabi zaban main ada kie jain or ziyada waqt mian biwi aik doosray sai door rahay tu bhi talaaq nahi hoti. Or 4 mahine ze zayada jawan biwi se hambistari tark kerna haram hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2472). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Aik aurat k husband ki death 2 November (12 Safar) ko hoi or dafeen 3 Nov (13 Safar) ko hoi tu edat ki date kya ho gi ? or edat 30 days k months py ho gi ya k qammri month py ?

Answer: Wafaat ki iddat shohar k marnay sai shuru hoti hai yaane (2 nov) sai hogi or iddat qamari hisaab sai 4 mahine 10 din hoti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2481). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88693
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal ye hai agr ksi larki sy nikah hu or wo dono sex ma sb kch kre sirf intercourse (khroj dakhol)na kren or bki sb kr k ek dsore ko dischrge kre agr bad ma talaq ki nobat ae tu larki k lye idat lazmi hugi ya nahi kiun ruksti nahi hui...

Answer: Is ki koe iddat nahi hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2475). Update on dated 16-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia talaq k bad suhr sy bt krna haram ha

Answer: Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88714
Mujtahid:
Date:

Question: Meri biwi mujhe chord ke mayke baithi hui hai wapis nhi ana chahti, main Dusra nikah karna chahta hun, Main apni biwi ko talaq dena chahta hun Pls mujhe asan tariqa bataiye

Answer: Mard apni pehli biwi ko talaq diay baghair bhi doosra nikah kar sakta hai,doosray nikah k liay pehli biwi ko talaq daine ki shart nahi hay. Agar koe shaks apni biwi ko talaq daina chahta ho tu do aadil gawah ki moujoodgi main talaq k seeghay sharaet k saath ada kar day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2462-2472). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89109
Mujtahid:
Date:

Question: talaq ki iddat kabse start hoti h ... i mean pehli talaq ki bad iddat start ho jati h ya jab 3no talaq ho jay tab iddat start hoti h

Answer: Jis ladki ki umar qamri 9 saal nah huey ho aur isi tarah jo aurat yaesa nah ho chuuki ho, os ka shauhar os se hambistari kare to agar wo ose talaq de to zaruri hai keh wo (ladki ya aurat) talaq ke ba’d I’ddat rakhe. Aur aisi aurat ki I’ddat jis ke do haiz ka dirmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab os ka shauhar ose paaki ki haalat mein talaq de to wo itnii muddat sabr kare keh ose dobareh haiz aay aur paak ho jaay aur joonhi ose teesri dafa’ haiz aa jaey to os ki I’ddat khatm ho jaey gi aur wo doosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar aurat se hambistari karne se pahle ose talaq de de to os k liay koe iddat nahi ya’ni wo talaq ke fauran ba’d dosra nikah kar sakti hai. Laikin agar shauhar ki mani os ki sharmgaah mein daakhil hoey ho to os surat mein zaruri hai keh wo aurat Iddat rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 1 talaq k bad sex karana

Answer: Jaiz hay or is k zerye say rujoo ho jaey ga or talaq khatam ho jae gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2488). Update on dated 20-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89186
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr shohar 1 mah phle biwi ko 2 talk de or 1 mah bad b 2 talaken de to kia talak hojati h?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum mara sawala ya hain ager bivi ka sath ladiya krta karta har bar ma talak karta hu kha to talak hote plz jaldi jawab doo

Answer: Talaq ki kuch sharaet hain jin k baghair talaq nahi hoti, on sharaet main se ye bhi hay k talaq arabi zaban main di jae or bivi haiz o nifas k khoon se paak ho waghaira waghaira. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2462-3). Update on dated 29-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.A Mry baba ki age 80 hai aur mama ki age 70 hai baba gussa mn a k mama ku talaaq pehly 2 dfa pr 3 dfa aktha at a time tu kai talaaq hu gi? Agr hu tu pr ruju k liy kisy aur sy nikah aur pr talqaat zori hai ju ami ki Peshicaly conditions ajizat nhi dhti Kai hukhm hai? Kai ik grh mein apny bachuo k sth rah skty hai bgair mily yh bth kiy?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)..

Print

Id:
92136
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Meri shadi ko 2 saal hogy ha or mere shuhar ny mjhy phely 2 dafa talak bola phr saal bd phr 3 dafa talak bola phr 3 mahiny bd phr 2 dafa talak bola kia humra nikah toot gia ha

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaey yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaey. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam-o alikum iddat se uthny ka koi tariqe kar he? Ya aurat iddat ki moddat pori hoty hi us din kisi bhi wqt jaskhti he bahir?

Answer: Talaq ki iddat say murad yeh hay k wo aurat is muddat k doran shadi nah karay or wafat ki iddat men shadi nah karnay k sath sath zenat kerna us par haram hay lekin kisi kaam k liay ghar say bahar ja sakta hay or wafat ki iddat 4 mahine 10 din hoti hay . Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part#03,Mafhoom e Maslah #550/578 ). Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92489
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kya larki sharai talaq le skti hai

Answer: Bivi shohar se talaq k mutalba karne ka huq rakhti hay, lakin shohar per ye wajib nahi hay k bivi k mutaalba kerne per os ko talaq day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 40 maslah no 2492). Update on dated 27-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ya Ali a.s madad....mera sawal hai k main khula ni laina chahti PR mery parents chahty hain....kya maan baap k kahny ki waja sy khula ly laina chaiye?ya shohar ka sath daina chaiye....mery husband b mujy ni chorna chahty....main parents k ghar hoon....kya mery seeghy parhny sy nikkah khtam ho jaye ga?plz reply ASAP main Syed FAM. Sy hn Aur husband non Syed...pr m happy with him....plz reply soon

Answer: Is maamlay mai parents ki baat manna zarori nahi hai, jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti tu khula mai bhi talaaq mard hi daita hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-23

Question: Mery husbnd ny mjhy cl py ek sth 3 talaq di hyn bs ye e kaha k m ny tmhy talaq di tou kiya is trha talaq hu jati hy???? Quran ki ayat ka hwala dy k plz answer dy dyn

Answer: Nahi is tarah ki talaaq durust nahi hai talaq ki kuch sharait hain jese talaaq k seeghay wazeh arqbi mai parhna,do aadil ki moujoodgi mai un ko gawah bana kar talaaq daina wagerah wagerah.............(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462,2472).
[Updated on 23-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92795
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-25

Question: Talaq k bd sohbat ho jy agr to tlq rehti h ya nhi

Answer: Talaq ne rajee k baad hambistari kerne se ruju ho jata hay or talaq nahi rahay balke dobara is main ruju hogaya.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2488 point 2).
[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-01

Question: Kya ruju karne se iddat khatam ho jati hai talaq ke masle main ya wo 3 mahine ki hee rehti hai chahe ruju karein ya nahi

Answer: Iddat k time men ruju karnay say wapas wo biwi ban jaati hay talaq ka asar khatam ho jata hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah # 530).
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92868
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-01

Question: meri shadi april ,2018 main hoi thi or june main mera abortion hogya k abortion k foran bad main apny maa baap k ghr a gai thi or september 2018 main khula ly li thi adalat sy. is duran mera koi rabta ta sulah ki koshish b nai hoi. ub main edat main ho to main pochna chahti ho k kia mera 3 haiz tk edat krna zarori hai ya ek haiz ki b edat kafi ho gi??

Answer: ye talaaq sahi nahi hai Q k Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)
[Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93146
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-12

Question: Mian Biwi Ka Jhagrhay Ka Doran Sohar Ka Mun See Talaq Lafz Nikal Istemal Hoto Kya Talaq Hojati Hai

Answer: Jee nahi is tarah sai talaq nahi hoti q k talaq ki sharaet main sai hai k seeghay do aadil mard gawaho ki moujoodgi main adaa kiey jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462,2472)
[Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-22

Question: Mere Walid ka intaqal ke waqat Walid ki Umar 80 plus or walida ki Umar 60 plus hai kia Meri walida iddat mein Beth sakti hai

Answer: Iddat e wafaat k liye aurat ki umar nahi dekhi jaati chahay jitne saal ki ho shohar ki wafaat par biwi ko iddat rakhni hogi iddat ki muddat qamari 4 mahine 10 din hai. Jo aurat wafaat ki iddat mai ho us k liye zenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam jo zeenat shumaar hotay hoon haram hain. Lekin ghar sai nikalna haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2481,2482).
[Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-23

Question: Aoa...meine pochna tha k mri shadi isi saal december me hui thi me bs 4 mah wahan rh saki...7mah me ami k ghar bethi rhi us doran unho ne mjse rabate krne ki b koshsh ni ki ab through court meine khulaah li hai tu kia iddat mj pe wajib hai or is ki details b bta dein k bahir jane k lye parda krna zaruri hai agr mje kbi zaruri kam se bahir jan par jae tu ????"

Answer: Was Salam. Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. Na-meharm k saamne jaane k liay pardah karna zarori hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2492, 2397).
[Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93376
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: Assalam o alaykum sir Meri wife 6 months se naraz ho kr bethi ha apne Maa baap k ghr meri beti b paida ho gai ha Mera susr meri beti ko dekhne nai de raha Mera susr kehta ha ek shart pr me beti ko dekhne Don ga agr me use talaq likh kr Don ga agr adalat me Don ga to me dekhne nai Don ga ab mujhe kya krna Chahiye?

Answer: Mazhab e shia mai talaq likh k daine sai nahi hoti or nah hi adalat main talaq durust hai balke talaq k seeghay sahi talaffuz or sahi arbi mai 2 adil mardo ki maujoodgi main ada karney hote hain. talaq main aik shart ye bhi hay k talaq ki rizmandi se ho, jabri talaq batil hay. agar aap raazi nahi hay tu aap per talaq daina wajib nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2472).
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print