Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Talaq (824 Questions)


Showing 350- 400 questions from 824 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
63833
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: mare hasband ne mujy mara nam liye bagr talak de ha buth sadid guse ki halt ma. kia ye lalak ha? or mara 11 mah ka ak beta ha?

Answer: Ye talaq sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2507 to 2518). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63843
Mujtahid:
Date:

Question: kia saas k khyal say mushzni krnay say nikah toot jata hay

Answer: Is se nikah nahi tote ga, lekin mushzani gunah e kabira hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
63927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam how r you may married hoo to parents agar talaq diwana chahtay hay to kiya karo islam kiya khata hay is baray may may talaq nh dena chahta?

Answer: Agar koi maan (ya baap) apne bete ko kahe k apni biwi ko talaq do to is masle me baite per apne maan (ya baap) ki baat maana wajib nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 350 , Pg # 214 , Eidition# 5). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65779
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualikum Mere sawal yeah hey k may ne Stoney husband se mujeh chorney ka mutalbiya Kia wo nhe chahtey they but me Israr or rahi the fighting k wakt....tou unho me mujeh key Diya , Keri Taraf se tumko teen tallaq ...u sawal yeah hey Kia yeah khula hey yeah tallaq ? Ager khula hey tou Kia hum dobara Shadi or sakteh hen coz I want to live with him ..please guide me Jazz k Allah kh air

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Ye talaq batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462+2472). Update on dated 22-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65827
Mujtahid:
Date:

Question: As salaam alaikum mera sawal ye hr ke mera talaq hone ke baad ka waqt mene iddat me guzara meneaur ab 3 period aa chuke he pehle dono periods sahi se guzre lekin masla mera yeh he ke 3rd period me bleeding 1st and 2nd day hi hua woh b zara sa toh kya main iddat khatam kar sakti hu ab gusla karke?pls aaj hi jawab de shukriya

Answer: Haiz ka khoon 3 din aana zarori hay.Laikin ye zarori nahi k pore 3 din khoon nikalta rahe balkeh shramgaah main khoon ho tu bhi kafi hay. Agar aisa hi hay tu aap ki iaddat khatam ho ge warna nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #438+440+2475). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66037
Mujtahid:
Date:

Question: after divorce salsa of nikkah without rukhsati, they can re marry with each other or not? and if yes, then how?

Answer: Yes, they can marry without taken iddah. They should re-recite marriage formula. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2474,2486). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66138
Mujtahid:
Date:

Question: Mei apni shadi se khush ni mjhe koi or pasand hai ab btae ke mei talaq kese lu r ye jaiz hai ya ni

Answer: Agar aap nikah k waqt is nikah k liay razi theen ya nikah baad razi ho gae theen tu aap ka nikah durust hay or talaq ka huq shohar k paas hay.is silsile main aap on se baat karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335,2338,2462). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66241
Mujtahid:
Date:

Question: Aik lrke jis ka lrky k sath dosti rahy 3,4 sal tk. Phr end py lrka apny parents ko lrke k ghr na baij sky. Lrke pr us ke mother ka presure ho mgar han ya na krny ka hq lrke ko ho. Jb us lrky sy naumeed ho jai or i hoay 2sry rishty py han kr dy.parents b kush ho. Sirf nikah ho us k 2 din bd lrke. Abroad chle jai. Phr uske na bn sky apny shohr sy koshish k bawajood. Or wo phely lrky sy phr dosti kr ly. Ab wo lrke khula ka mutalba kia kr skte? Husbnd mai koe kami na ho. Or lrke k parents b khula k liay na man ry ho. Kia aisa krna islam mai jaiz hai?

Answer: Is terah ki talaq ko khula nahi kaha jata. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2492). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam alykum ,mujhy curt se acnak talaq mili or mehar bi or edat ki raqam bi ki talaq ho gye j

Answer: Ye talaq sahi nahi. talaq k liay seegha zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: shohar dhoka dyty hoay milta raha curt se talq bi dy di mgr milta raha jb tk talaq biwi ko mosul nae ho gye kia talaq ho gye mgr segha jari nae hoa hai.

Answer: Ye talaq sahi nahi. talaq k liay seegha zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam o alekum, main apni bive ko tallaq dena chatta hu uske liye kiya tareekay kaar huga, main bivi se or bivi mujh se khush nahi, donu ka faisla talaaq pe aya hua he guzishta 6 mah se. bivi talaaq ki demand kar rahi he,

Answer: Zarori hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafaz taliq(طالق) k sath perha jaey or 2 adil gawah merd ose sunain. Maslan agar aurat saamne ho tu merd yo kahain anti taliq(انت طالق ). Talaq ki or bhi sharait hain jis k liay aap is link per click karain .(Ref: http://www.sistani.com/urdu/book/61/3650/ ) Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Meri Ammi mere husband ko pasand nahi kartin, aur humesha Kehtin Hain k chor do, jab k mera husband mujhy aisa kabhi nhi Mehta aur mai khush bhe hon... Maa ki dil dhukhana mana hy aur shohar ki ataat farz ... Islam is condition mai kia kehta hy

Answer: Is maamle main aap per apni waalda ka kehna manna wajib nahi hay.Laikin haan aap maan se bad kalami nahi ker sakti. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/urdu/qa/01842/). Update on dated 01-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68229
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum mera sawal yeh he k main court k zariye divorce li he our mare husband saudia main hoty thy ab wo ay hen pakistan main ab un ka kahna he k main solha karna chahta hon qk main ny divorce nai di or jab caes howa tha us time mujhy kuch samjh nai aya or gusy main tha to main signature kar diye par main ny dil say our mun say koi alfaz nai boly. Ab ap yeh bata day k kia yeh solha ho sakti he or is k liye kia karna chahy

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Aap ki talaq nahi hoe or aap apne shohar se solah ker sakti hain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68251
Mujtahid:
Date:

Question: Sallam Mera sawal hae mae ne two shadiyaa ki huyi hae doosri bv ko nikah k waqat oos k baap ne talaq lene ka hqq diya tha mae out of country rehta hoo or bv se phone pe whattsapp pe b baat hoti rehti hae or baaz daffa choti choti batou pe oos ne mujhe bohat baar kaha mujhe dvrc do jesa k mae pehle bata chukka hoo nikah k waqat oose hqq diya tha talaq lene ka ab mae ne parha agr bv ko hqq diya jaye or wo dvrc bagher bataye b krr sakti hae bohat ooljhan ka shikar hoo samjh nahi aa rahi kya sahi hae kya ghlt or dvrc wali baat wo apne moo se kayi baar keh chukki hae Mujhe dvrc do or aaj mujhe patta challa wo kehti mujhe nahi patta kya karoo samjh nahi aa raha please jawab jld se jld send kare

Answer: Aap k liay on k mutaalbe per talaq daina wajib nahi hay. Talaq ki khuch sharait hain, on sharait k baghair talaq durust nahi hogi. Talaq k I sharait k liay is link per click karain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68256
Mujtahid:
Date:

Question: Ji mera sawal yeh hen k main ny adalat k zariye khola liya he laykin mare husband yahn nai thy wo saudia main thy un ka kahna he k main nay talaq nai di or na hi main ny deni he unho ny sirf aik bar hi signature kiye thy adalat main phr un ki gair majodgi main hi sara caes chala tha ab un ka kahba he main ny solha karni he kia ab solha ki gujaysh he plz mujhy yeh zaror bata dain plz

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Aap ki talaq nahi hoe or aap apne shohar se solah ker sakti hain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68279
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamoalaikum Meri shadi ko 5 month he huwy thy k mery husband ny mjhy decmber main chor dya yh keh kr k tmhy divorce papr mil jayn gy lakin us ny divorce nhi or usk baad me ny khula ka case kr dya tha or hum ksi kisam k contact mai nhi thy or ab 8 oct ko mujhy khula mil gya hy tu ap sy yh puchna chahti hun k 2 month sy mai job ker rhi hon tu kindly mujhy bta dyn k idat ka tarika or kitni time ki idat hy yh bta dyn job sy off nhi mil skta tu is halat mai idat ka kia tarika hy bta dayn.

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Aap ki talaq nahi hoe or aap apne shohar se solah ker sakti hain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). Update on dated 22-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68682
Mujtahid:
Date:

Question: Sir slam plzz mji mre question ka jvb den apki bht maharbani hugi mi bht pareshan hu Sawal ye hy ki mra nikkah pasand se hua 25january 2015 ko or mre husb Dubai chaly gye rukhsati ni hue magar wo har bar jb bhi larai huti hy mji khty hy ki mi inshallah talak duga har br ye bolty hy duga kbi ye ni bola deta hu hr br km se km 15 se 16 bar bol chuky hy ki mi talak duga ab m bht pareshan hu mji lgta hy ki waqai rishta ktm hugya hy plz mji btai ki ktm to ni hua na mi ni chahti ktm krna ya koe rasta wo Dubai mi hy agr hu b gya to koe rasta btai plz mre pas waqt kam hy wo mji toucher krty hy mgr mi rhna chati hu plz answer ki esa khni se talak to ni huti na apki bht mhrbani

Answer: Is terah talaq nahi hoti.Update on dated 16-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69040
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Mene guuse me apni bibi ko talaq de diya ab mujhe behad afsos h aur allah se is gunah ki toba karta hu aur apse ye poochhna chahta hun kiya mera uske saath dobara nikah jaiz h. meri umar 70 saal h. aur 9 bachhe h.

Answer: Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69120
Mujtahid:
Date: 2021-06-19

Question: mera sawal yeh hai mera shohar mujhy aik talaq de chuka hai us k bad hamary baron nay hamain fir ruju karnay ko kaha to hum nay kiya.ab ghussay main aa k mainay usay fir talaq mangi to us nay mujhy 3 bar kaha k main tujhy talaq deta hon ab wo mujhy haq mehar is liye nai de raha k mainay talaq khud demand ki .kya haq mehar main mera koi haq hai jab k jahaiz main b main 2 lakh lay kar gai thi

Answer: Is website per shia fiqh (fiqh e jafaria) ke hisab se jawab die jate hen.
neeche bayan kie gae masael ki roshni men apki talaq nahin huwi is lie ap shohar hi ke ghar men rahen gi,
Talaq ke liye talaq ka irada zaruri he, is lie ghussay, mazaak, neend ya nashe ki haalat men talaq dene se talaq nhin houti or Faqat likhne se ya urdu men talaaq bolne se talaaq nhi houti balke,
Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti.
1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho.
2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi.
3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay.
4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay.
5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay.
6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).

Talaq e Rajae:
Us aurat ki talaq jo 9 saal ya os se ziayada ki ho , yaeisa nah ho, nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq (3) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e rajae kehtay hain.

Yaesa:
Jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko yaeisa kehtay hain.

Teesri Talaq:
Mazhab e tasshaiyu men 2 ya 3 talaqen ek sath nahin houteen.
Balke har talaq ke baad aurat iddat guzare gi
Or shouhar ya tou us iddat men ruju karega ya dubara is aurat se nikah karega phir doosri talaq de sakta he.
or isi tarah se doosri talaq ki iddat men ruju karke ya iddat ke baad dubara nikah karke teesri talak de sakta he.

Ruju:
Dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship rakhna.
Ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai:
1: shohor aysi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai.
2: Ya phir shouhar esa koi kam kare (jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai) or us kaam se ruju kerne ka irada kare.
Note: jimaa(humbistary) kerne se bhi ruju sabit hojata hai.

(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2488,2491)
[Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
69359
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualekum, Mujhe jan na h ki meri shadi hue 3 mahine hue h lekin me apne shohar se khush nhi hu wo nikah k ek hafte tak wo mere sath humbistar nhi hue isi bich unhone mujhe do dar talak lene k liye kha..us k baad hum humbistar hue lekin mujhe pta chala ki mere shohar me mardana kami hai wo mujhe kisi bhi tarah se khush nhi kar paate..me zehni ruhani or jismani taur per preshan rehti hu.me ab unse khula k liye kehti hu to wo apni kami chupane k liye mujhe talak na dene ki baat krte h..mujhe kya krna chahiye ki me khula ki hakdar ho jau..sharayi taur per..please meri help kre..

Answer: Agar biwi ko nikah k baad pata chale k os ka shohar aisi beemari me mubtila ho k apne biwi se jima na karsakta ho keh wo bemari nikah k baad aur jima se phele ,ya jima karne k baad kyu na aai ho to in tamaam surato me aurat talaaq k baghair nikah khatam kar sakte hai.Laikin is surat me k shohar jima na kar sakta ho aur aurat nikah khatam karna chahay to is aurat per laazim hai k phele haakim sharah (mujtahid ) ya is k vakeel se ruju kare aur haakim sharah (mujtahid ) is (shohar ko) 1 saal ki mohlat de ga lehaza agar is douraan shohar ,biwi ya kise dosere aurat se jima na kar sake to is k baad aurat nikah ko khatam karsakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2346 ). Update on dated 19-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69363
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa.. mera sawal ye hy meri shadi 2014 april me hoi thi jo k ksi famli problam ki waja se dec2014 me alag hogai court k zariye divose howa paper pe bus ..abb masla ye hy mere exwife debondi the hmra abb bhi bat chek hy or ik dosre ko alag ho kar ni reh oa rahy na is ne koi ab tak nikka kya hy na mene plzz batain hum dono bobara kese mil sakte woh bi dobara mere pass ana chate hy mein bi yahe chata ho.. ik bat or k mera do nikkah howa tha ik humre jaffira k tarreqe se or ik ahlysunnat k .. Plzz hlp me

Answer: Court se hasil ki gae talaq galat hai kyu k us me share sharaait moujood nahi hoti lehaza saabeqa nikah baaqi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472). Update on dated 19.02.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69684
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam Walekum MERA SAWAL HAI KI AGAR AURAT AUR SOHAR KA TILAK NAHI HUA HAI AUR WO AURAT APNE MAA KE PAS RHE RAHE HAI 15 SAAL SE KOI MATLAB NAHI HAI Na MILE HAI AUR SOHAR KA INTHEKAL HO GYA KYA AURAT IDDAT RAHE YA NAHI USKE DO BACHCHE HAI SOHAR MUMBAI ME RHETA HAI BIWI ALLAHABAD ME PLEASE ANSWER DE

Answer: Is aurat per iddat e wafaat wajib hay jo keh 4 mahine 10 din hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, maslah#2481). Update on dated 09-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70220
Mujtahid:
Date:

Question: 70 saal ki oraat ki edat kya h ?

Answer: Is aurat per iddat e wafaat wajib hay jo keh 4 mahine 10 din hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, maslah#2481). Update on dated 07-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70349
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o walaikum ... mera sawal ya hy . mera sohar 4 saal pehly mujhy chor kar chala gaya hy or kisi kism ki khairiat nhi pochta hy usny dosri shadi bhi karli hy .. main bhi ab shadi karna cahti ho to mujhy kia karna cahey plz answer

Answer: Aap apnay shohar se talaq ka mutaalba ker sakti hain, or talaq milne k baad iddat e talaq pori hone k baad aap dossri shadi ker sakti hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2462-2472). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70568
Mujtahid:
Date:

Question: SALAM MUJHE AP SE POCHNA THA KE MERE SOHAR JAB BHI LARAI KARTE HAI TU WOH DIRECT KHETE HAIN KE MEIN TUJHE FARIG KARTA HOON AUR AUNHO NE KAHA KEAJ SE TUM MERI BIWI NHI HO SIRF MERE BACHON KI MAAM HO AUR MEIN APNE SARE HAQ TUM SE LETA HON MEIN NE BOOK MEIN PARHA TU AUS MEIN TALAK KUNA KA BATAYA JARAHA HAI PLZ MUJHE JALD JAWAB DEIN MERI ZINDAGI KA SAWAL HAI MERI SHADI KO 10 SAAL HO GAYE HAI AUR 5 BACHEN HAI SHUKRIYA

Answer: Is terah se talaq nahi hoti. In baato se koe faraq nahi perhta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 29-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70593
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu Alaikum. mera sawal ye hai ki aaj se 2 mahine pehle mere nikah hua tha. ab dono hi mia-biwi door rehte the. ek doosre ke sath nahi rehte the. kyunki family problem thi. ladki ki mummy ne mujhse zabardasti ek kagaz par 3 baar talaq likhwa liya. jisme meri marzi nahi thi. aur na hi meri biwi ko jankari thi is talaq ke baare me. main ye janna chahta hoon ki kya humdono is rishte ko barqarar rakh sakte hain. aur kya nikah abhi bhi salamat hai.

Answer: Aisi talaq durust nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70792
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa..mera sawal ha ka meri apnay husband say almost 1 and half year pahly aladgi hoge thi lakin papers may talak maina ab apply ki agar ab main dosri shadi kerna caho to kia adat kerni peray ge yeh papers ki talak k bad main kisi b time dosri shadi ker sakti ho

Answer: Paper ki talaq se iddat rakhne ka koe ta,alluq nahi,jis waqt talaq k seghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2480). Update on dated 27.04.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam mera sawal ye hai dosri shadi karny k liye mujh se shartan talaq nama lekwaya gaya mai apni biwi ko talaq nahi dena chahta or talaq nama mai lafz talaq leka kiya ye talaq aik howi hai ya nahi

Answer: Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin jin main se aik ye hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق”k saath perha jaay. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472). Update on dated 20-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71814
Mujtahid:
Date:

Question: Talaq tahrerey tor per aik marta count hoge ya aik he talaq 3 k barabar hoge. Agar talaq k seegay bhe phone par parh leye gae hon?????

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr lrka lrki mazak mazak main 3 dafa qabool hai qabool hai bol dain to nikkah ho jata hai

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2333-2335). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72688
Mujtahid:
Date:

Question: agr kisi ka shohar bar baar usay ye kahay k main tera falan k sath nikha kra don falan k sath nikha kra don to kia sorat main us k apni biwi k sath nikha qaim rahta hay?

Answer: Is terah se talaq nahi hoti, or nikah qaaim rehta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72831
Mujtahid:
Date:

Question: Mera nikah hua hy ruksati nhe aur mere husband jb b jhagra hota hai mujhe ghusse ke halat main talak dete hain kya is tarha talak hojate hai?

Answer: Jee nahi, is tarah talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72832
Mujtahid:
Date:

Question: Mera nikah hua hy ruksati nhe aur mere husband jb b jhagra hota hai mujhe ghusse ke halat main talak dete hain direct kehte hain maine tumhe talak de aur ma tumhe talak deta hu kya is tarha talak hojate hai?

Answer: Jee nahi is tarah talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73020
Mujtahid:
Date:

Question: Mai aur mere shohar ne love marriage ki thi ghar walon ki raza mandi se par 2 saal baad ladayion ki wajah se hum ne court se mutual divorce liya jisme ladka ladki ki aapas me nahi banti isliye donon hi alag hona chahte hain aise keh kar divorce huwa tha aur insha allah mujhe umeed hai k ek din use mere pyaar ka ehsaas zaroor hoga aur wo laut aayega agar wo laut kar aagaya to kya mai usse phir se nikah kar sakti hun

Answer: Adalat se li hoe talaq fiqh e jaferiya k nazdeeq batil hay, Q k aisi talaq main sharaet maujood nahi hoteen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462-72). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73023
Mujtahid:
Date:

Question: Meri walda aur mery walid ki elahdgi howy 15 sal ho gye koi rabta nahi dono ka APAs mai. Meri walda ko 5 saal ho gye menopause howy ab mery walid ka intiqal ho gya ha tu kya meri walda par iddat wafat jayz ha.

Answer: Is sorat main bhi Iddat e wafaat wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73956
Mujtahid:
Date:

Question: agar husband apni wife say kahay k agar tou nay flana kam kya tou tum mujh par talaaq hay, aor wife wo kam kray tou kya hoga? plz reply

Answer: Is tarah se talaq nahi hoti. (Ref: Ayatullah sistani d.b, tauzihul masael , maslah#2462 ) Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74421
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Mera nikah hua hay oct me or mere husband ne kal kaha mera nikah nama jala dia hay ya phad dia hy. or ab wo kehta hay k mai us ki biwi ni hon?? Kia ye sai hy??Kia is tarha se hum husband wife ka rishta khtm ho jata hai???kia humra nikah toot jata hay aise???Mai ussy kabi chordna nai chahti hon mai ussy ki biwi bani hon na.. Plzz mjy jawab dena jald

Answer: Aap ka nikah baaqi hay, is terah se nikah batil nahi hota (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2504). Update on dated 07-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74436
Mujtahid:
Date:

Question: Slam, mera sawal ye ha keh agar husband,wife apas me jagra karte hove wife ye kahe muje chor do, or os ka husband ye kahe thek ha me tume chor do ga, ya esa kahe ke me tume chor dyta ho to kaya es emal se talak ho jaie ge...........?

Answer: Aap ka nikah baaqi hay, is terah se nikah batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah sistani d.b, Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74540
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: hum ne apni wifi ko kaha k "tum apne jindagi apni tarikase gujaro hum or kuch nehi bolen ge" is batse kiya mera wife ke sath mera nikha tut gaua h ?

Answer: Is teah se talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2507). Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74900
Mujtahid:
Date:

Question: Talaq k bad bachon ko kis k sath rehna chahiye

Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 30-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74901
Mujtahid:
Date:

Question: Talq k bad bachon ko kis k sath rehna chahiye

Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 30-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75149
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum.mere waild ka inteqaal 4 jan 2017 ko hua.mai apni walda ko umrah me le kr ja rahi thi march k mahene me meri waldah ne jis raat un se ijazat li usi raat mere walid ka inteqaal ho gya.masla ye h k ab iddat k din pure nahi ho ge march tk to kya meri waldah umrah me ja sakti h ya nahi?

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 06-01-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75893
Mujtahid:
Date:

Question: Agr kise orat ka shohar 5 months bemar rahy bed par or 5 months bad mar jay to orat k leya iddat kitnay arsay ke jaiz hai

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 24-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: mery husband ki death hu gai ha or ma yaha akeli rahti hon dubai may,or meri idat 30 din ki rahti ha,or visa be expire hu rha ha tu es surat may kya ma visa change k liye out of country ja skti hon

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 09-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76599
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asalam o alakom kya koi larki apni marzi ka motabiq talaq lasakti hain jo ka oski ki nika oski marzi sa hoi ha ya oskin pasand sa hoi ho or bad ma wo chaha talaq lasakti hain is waja say ka wo kahti ha ma na samaj ti ka mana ha kardi ti or ma nikah ka bad kisi or ko pasand karti ho or oska shoher osa talaq nahi dana chahta or oski rokhsati be nahi hoy ha ladki molk sa bahir ha or talaq lana ja be nahi sakti ager jay to osa jan ki bi khatra hain oska shoher osa jan sa marna ki damki daraha hain to wo kya kara jabe zaror day

Answer: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76695
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mere husband ny during pregnancy 1 talaq d aur delivery k 40 days bad ruju kia to kia nikah baki hy ya talaq ho gai

Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 18-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Note: Aap ka nikah baaqi hay.

Print

Id:
77217
Mujtahid:
Date:

Question: Agr koi mard apni bivi k Sammy koi shart Rkhys or khy I sy pora kro warna tm meri try sy farigh or phir bv wo kam na kr pay to kya tlaq ho jay gi

Answer: Is terah se talaq nahi hogi. Talqa ki khuch sharaet hain is link http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/ per perh sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354-355). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AsaLam O aalaekaum... MEraa sawaAal y he k mEriii idDat kaL pUriii hOriii h...sOo idDat x UthnY kaa sUnNatiii tariKa kiaaA h...???

Answer: Talaq yaafta aurat ko iddat k doran shadi se perhaiz kerna lazim hay or bewa ko 4 mahinay 10 din niakh or libas or badan ki zenat se perhain kerna lazim hay, or jab iddat k din poray ho jain tu wo in pabandiyo se azaad ho jati hay, Iddat k khatam hone per koe kaam anjam daina lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481-2). Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77903
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam sir,mere Q ka ans lazmi post kiye GA! Sir gussy mei mery Shor NY mujhy talak dy di pr ab na wo or na main Un k bagair reh sakti hn mery bachy hain or uny hm dono ki zarurt hai khuda k wasty koi aysa rasta bataye k hm dobara ek ho sakhain! Khuda k liye sir hmy koi aysi surat bataye jis sy ghr bana rahy

Answer: Talaq mai zaroori hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya shaded gussay ki halat main talaq day tu, talaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Mafhoom e Maslah #475) . Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78020
Mujtahid:
Date:

Question: Khola hogaya hai kiya phir se miya biwi ban sakte hai

Answer: Khula k baa os aurat se nikah ker k osay apni bivi banaya jaa sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #2486). Update on dated 10-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print