Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Roza (60 Questions)


Showing 50- 60 questions from 60 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
2382
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: a.o.a mera question yeh hai sehari kerney key bad jab man soya tu mujhy ehtalam ho geya tu kai mera roza tot geya? aur ager tot jata hai tu is sorat main kai kerna chayee.

Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2383
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asslam-o-Alaikum, mera sawal yeah hai kai ager raat mai biwi kai saath suhbat ki hoo. aur subah sehri mai aankh na khulee hoo, to rooza rukh suktai hai ya nahi....

Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan ki rat junub ho aur yaqeen rakhta ho k agar so gaya to subah ki azan se pehle bedar ho jayega aur us ka musammam irada ho k bedar hone k baad ghusl karega aur is irade k sath so jaye aur azan tak sota rahe to us ka roza saheeh he. aur agar koi shakhs subah ki azan se pehle bedar hone k bare me mutameen ho to us k liye bhi yahi hukam he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1636)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2390
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam O Allaikum, agar ek insan roze se ho aur wajib namaz ke liye wazu kare aur chehra dhote waqt usse shaq ho ke naak ke zarye halaq tak pani chala gaya hai aur wo ye na janta ho ke wajib namaz ke liye wazu karte waqt aisa hone se roza batil nahi hota aur wo ye check kar ne ke liye ke pani halaq tak jata hai ya nahin naak main dobara pani dale to 1) kya roza batil ho jata hai ya nahin ya qaza wajib hai ya qaza uar kafara dono wajib hai? 2) aur agar check karte waqt pani halaq se neeche uter jai tab bhi kya roza batil hai ya nahi ya sirf qaza wajib hai ya qaza aur kafara dono wajib hai? Plz reply soon main ne is se pehle bhi sawal kya tha magar mujhe ab tak is ka jawab nahi mila.......

Answer: Agar wuzu (mustahab ya wajib) kertay waqt insaan kulli karay ya naak main paani daalay or paani bay ikhtiyaar(yani merzi ki baghair) halaq k andar chla jaay tu roza sahi hay or is ki koe qaza nahi.ye yaqeen ki baat hay agar sirif shak hay k paani halaq main gaya hoga tu roza sahi hay or qaza wajib nahi.or isi terah agar koe shaks wuzu k alawah bhi naak main paani dalay or wo bay ikhtiyaar halaq k andar chala jay tu os per qaza wajib nahi hay.yaad rahay k ye tamaam hokum sirif os surat main hain jab insaan ko paani k halaq k andar jaanay ka yaqeen nahi ho,or paani halaq main merzi k bagair(bay ikhtiyaar) chala jay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1625,1659,1660).

Print

Id:
2395
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SALAM MUFTI SAHAB.2 DIN PAHLE ME KAFI BIMAR HO GAI THI KE MUJE ROZA TOR KAR DWAI KHANI PARHI KIA ME NE AISA KAR K GALT KIA HE OR KIA MJE IS KE BADLE 60 ROZE RAKHNE PRE GEN YA AIK RAKH SAKTI HON PLS MJE ZROR BTAYIE GA

Answer: Insaan kamzori or naqahat (ya bohat sakht bemari) ki wajah say roza nahi chorsakta (ya torsakta), laikin agar kamzori is had tak ho k aam taur per naaqabil e berdaasht ho tu phir roza chorhnay (ya tornay) main koe maslah nahi,or sirif ramzan k baad aik rozay ki qaza Karin gi.mazeed ye k injection or drip lagwanay say roza batil nahi hota, chahay injection taaqat pohan chaanay wala or drip glucose waghairah ki hi kun nah ho. .(Ayat Ullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah# 1564,1674,1719).

Print

Id:
2397
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee mujhe rozay ma ahtlam parh gaya ma ab kaya karoo

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2399
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mujhay nend ma subha rozay k bad ahtlam agaya hay ab m kaya karoo mera roza tota to nahe na

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam alaikum..agar hum safar me he to kiya roza rakhna chahiye

Answer: w.s. jis shakhs ka pesha-hi safar ho jayse driver aur isi tarh woh shakhs jo kisi na-jaiz kam k liye safar kar raha ho un ko safar me roza rakhna zaroori he is k alawa afrad safar me roza nahin rakh sakte (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1723)

Print

Id:
2440
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar rozey ki halat main insaan ghalti se masturbate karle tou kiya uska roza qayam rehta hai ya toot jaat hai?

Answer: bismehi taala, (masterbating) istimna (hram he aur) yeh kam roze ko batil kar deta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1597)

Print

Id:
2441
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: hamal main rozay chonay ka kaffara kya ha

Answer: bismehi taala, jis orat ka wazae hamal ka waqt qareeb ho, us ka roza rakhna us k liye ya us k hone wale bachche k liye muzir ho us par roza wajib nahin aur zaroori he k woh har din k awaz ek mud taam faqeer ko de aur dono soorto me jo roze na rakhe ho un ki qaza baja laye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1737)

Print

Id:
2448
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam. haram cheez se aftaar krne pe kaffara hota he k nai?

Answer: w.s. agar roze k darmiyan haram cheez istemal kar ke roze ko toda gaya he to zaroori he k ek ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaye he do mahine roze rakhe ya 60 faqiro ko pet bhar k khana khilaye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1632 & 1637)

Print