Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz (91 Questions)


Showing 50- 91 questions from 91 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1028
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: namaz paadtey me biwi aur moula per burey burey khayal atey hain jinko sochker ruk kaap jai , isskey liyeh kya kerey

Answer: Namaz ki haalat main Khuda ki Yaad main rahay aur Khuzoo o Khushoo aur Waqar aur Yaksooi say Namaz parhay aur khayaal rakhay kay kis HASTI say kalaam kar raha hay aur apnay aap ko khuda wandeAalam ki Azmat aur buzurgi kay muqablay main HAQEER aur NACHEEZ samjhay.Ulema is ka aik aur Hal bayan kartay hain kay Namaz kay Azkaar kay Tarjumay ko Yaad karain aur Arabi parhtay hoay us tarjumay ki taraf bhi tawajjuh dain to khayal batnay say bhi mehfooz rahay ga aur yaksooi say Namaz Parh paingay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.121-122.

Print

Id:
1034
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Agar kisi ko paeshab karne ke baad harkat(movement) karne par paeshab ke katre gire to use kya karna chahiye? aesi halat me uska namaz aur dusri ibaadaton ka adaa karna kaisa hai? Aur is bimari ka koi ilaaj, taaweez ya naksh ho to de.

Answer: Ye Jawab A.Sistani kay Fatawa kay Mutabiq hay..Answer:1..Usay chahiye kay Istibraa karay jis ka tareeqa Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.69 main dekha ja sakta hay,aur beemari na honay ki soorat main aisi haalat main kay jab istibra na kiya ho namaz BATIL hay...*1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Peeshaab kay qatray roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peeshab kay qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay qatray kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chand namazoon kay liye bhi kafi hay siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308,787-Masala No.345,Pg.No.62.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1050
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Alaikum mera sawal yeh hai k platinum k jisko white Gold kaha jata hia pehnnna jaiz hai k nahi

Answer: Salam un Alaikum
Platinum sona(Gold)nahi hai is lie is ka pehnna JAIZ hai
Ref:Mujtahid se Pooche Gay sawalat Book 1 Prob No 198

Print

Id:
1066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: whom should(kis tarahan) one pray namaz when he is on the moon. and a person is in a country where 6 months days &six months nights.plz reply as soon as possible. and request to do ur service properly.

Answer: Baaz makhsoos shehroon kay makhsoos mausamoo main kai kai din ya kai kai maheenay Soraj ghuroob nahi hota,aisi soorat main batoor-e-aihtiyat musalmaan ko chahiye kay apnay shehar kay us nazdeek tareen shehar par aitemaad karay jahan 24 hours main din aur raat hotay hain,yani us shehar kay shab-o-roz ko apnay shehar kay shab-o-roz samjhay aur apnay paanch(5) waqt ki namazoon ko hamsaya shehar kay auqaat kay mutabiq qurbat-e-mutlaqa ki niyyat say parhay.Ref:Jadeed Fiqhi Masail A.Sistani Masala No.69,Pg.No.76.

Print

Id:
1075
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: what is criteria for loud and silent recitation of surah and alhamad in salat.if someone is articulating mouth and whispering sound is produced which one can hear himself,is it loud recitation or silent recitation

Answer: Is ka Maiyaar Urf hay jaisa k Aam Logoon ki Nazar main Buland(Loud) ya Aahista(Slow) Samjha jaey.
Ref: Minhaaj-us-Saaliheen Pg.210 Masala No.620.

Print

Id:
1086
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam Ya aLi madad ..main yeah pochena chahta ho ki tashehed main alian wali allah par sekty hia nahi ??desceibe fullly it plz ........thanx

Answer: Salam un Alaikum
Aap Namaz K Tashahud mai Apni janib se kisi jumle ka izafa nahi karsakte chahe wo jumla Bazat e Khud(itself)sahih hi kion na ho.
Ref:Istifta No 26093e Ayatullah Khamnai.

Print

Id:
1095
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam. Sajda-e-Sahoo ka kiya tareeqa hai or keb kiya jata hai.

Answer: Tareeqa : Sajda-e-Sahw ka tareeqa ye hay k Namaz k Salam k baad foran Sajda-e-Sahw ki Niyyat Karay aur Aihtiyat ki bina par kisi aisi cheez par Paishaani rakh day jis par Sajda karna Sahih ho.aur Aihtiyat-e-Mustahib hay k Sajda-e-Sahw main Zikr Parhay aur Behtar hay k ye kahay "Bismillahi wa billah Assalaam o Alaika Aiuhannabiiu warahmatullahi wabarakaatuh" is k baad usay
chahiye k baith jae aur dobara sajday main jaey aur pehlay wala Zikr parhay aur baith jaey phir Tashaahhud parhnay k baad kahay " Assalaamo Alaikum " aur behtar ye hay k warahmatullahi
wabarakaatuhu ka Izaafa karay. Wo Maqamaat jahaan Sajdae Sahw wajib hota hay : Do(2) Soortain hain. 1:Tashahhud bhool jana. 2: Chaar(4) rakaati Namaz main doosray sajday k doraan Shak karna
k Char(4) rakatain parhi hain ya Paanch(5). In Teen(3) Soortoon main Do Sajda e Sahw karna Aihtiyat ki bina par Zaroori hay. 1:Namaz k baad Ijmaali tor par Ilm ho jaey k koi cheez kam ya
ziada ho gae hay jab k Namaz sahi honay ka Hukum ho. 2:Namaz ki Halat main bhoolay say baat karna. 3:Jahan Salaam na parhna zaroori ho e.g Pehli Rakat wahan bhoolay say salam parh lena.
Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1237,1223.

Print

Id:
1098
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam Alaikum Namaaz-e-jamaat me imam-e-namaaz ke khare rehne ki zameen baqi namazion se Niche honi zaroori hai? agar hai to kitni niche honi zaroori hai aur agar equal ho ya buland ho to kya namaaz sahi shumaar hogi ?

Answer: Imam e Jamaat kay kharay honay ki jagah zaroori hay muqtadi kay kharay honay ki jagah say ziada oonchi na ho laikin agar maamooli oonchi ho to haraj nahi (Naiz agar dhalwaan zameen ho aur Imam us taraf khara ho jo ziada buland ho to agar dhalwaan ziada na ho to koi haraj nahi) Agar Muqtadi ki jagah Imam ki Jagah say oonchi ho to koi haraj nahi hay.Laikin agar isqadar oonchi ho kay ye na kaha ja sakay kay wo aik jagah jama hoay hain to jamat sahih nahi hay.naiz barabar ho to Jamaat sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.1396-1397 Pg.220

Print

Id:
1135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai?

Answer: Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728.

Print

Id:
1137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya Quran TARAKUS SALAAT ko kafir kahta hai

Answer: Taarikus Salaat Kaafir nahi balkay Gunahgaar hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-23.

Print

Id:
1138
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 3 rakat aur 4 rakat namaz mai ager shak ho kay hamari 3 rakat hai ya 4 tou kia hukum hai?

Answer: 1.Agar 3 rakaati Namaz hay masalan teesri aur chouthi rakaat main shak ho to Namaz Batil hay.2.Haan agar chaar rakaati namaz ho masalan Zohar,Asar aur Isha aur teesri aur chouthi rakaat main shak hoto wo samjhay ga kay chaar rakaat parhi hain aur Namaz ko Tamaam karay ga aur baad main aik rakaat Namaz e Aihtiyaat kharay hokar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1152(2),1186(5)

Print

Id:
1139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: zohar,asar,isha ki tesri aur choth rakat kay shak k baray mai kia hukum hai?

Answer: Is soorat main wo samjhay ga kay 4 rakaat parhi hain aur Namaz ko tamam karay ga aur baad main 1 rakaat Namaz e Aihtiyat kharay ho kar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1186(5)

Print

Id:
1146
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Tashhud mai Ashhado anna Ali Wali Allah perna jaiz hai?

Answer: Aihtiyaat ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org (I-1)

Print

Id:
1152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: aslaam o alikum jnaba meera swaal ye hai k nmaaz mein ali un wali ulaah parhna jaez hai ya nahi

Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org

Print

Id:
1207
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. namaz e joma key bad zoher ki namaz parni chaey ya nahen. agr parni cheay tu iss ki neayet keya ho ge. walikomsalam. hamid shah

Answer: Agar Namaz-e-Juma ki tamam sharait maujood hoon aur phir juma ki namaz parhay to phir ye Namaz-e-Zohar ki kifayat karti hay.(yani Zohar parhna zaroori nahi hay)Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.720.

Print

Id:
1216
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAM KIA JUMA NAMAZ PHARNA WAJIB HAI OR KHUTBA SUNE K KIA EHKAM HAI TAI PHANA HARam hai ya nahi

Answer: Ghaibat e Imam(AS) kay zamanay main Namaz-e-Juma Wajibe-e-Aini nahi hay,balkay Wajib-e-Takheeri hay.Is se muraad ye hay kay Juma kay din mukallaf ko Ikhtiyar hay kay Agar Namaz-e-Juma ki Sharait maujood hoon to Juma ki Namaz parhay ya Zohar ki Namaz parhay.Lihaza Agar insaan Juma ki Namaz parhay to wo Zohar ki Namaz ki Kifayat karti hay.(Yani phir Zohar ki Namaz Parhna zaroori nahi hay)...Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay...Tie pehenna bazaat-e-Khud Haram nahi hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.722,720...Book-2 Q.No.185,Pg.185.

Print

Id:
1219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: how to perfom namaz-e-ijara

Answer: 1.Zaroori hay kay ajeer Namaz kay Ajzaa o Sharait aur is kay munaafi cheezoon aur khalal kay aihkaam waghaira ko Ijtihaad ya sahih Taqleed kay zariye janta ho,haan jo shakhs na mujtahid ho aur na hi muqallid ho agar wo aihtiyat ki kaifiyat say aashna ho aur aihtiyat par amal pera ho to baeed nahi kay usay ajeer banana jaiz ho..2.Ajeer ka aadil hona shart nahi haybalkay is ka is tarah ameen hona kaafi hay kay Itmeenaan ho jaey kay wo sahih taur par anjaam day ga.baeed nahi hay kay baaligh hona zaroori na ho agarchay aihtiyat ye hay kay baligh ho..3.Mard aur Aurat main say har aik ko dosray ka ajeer banana jaiz hay..Namaz buland ya aahista awaz main parhnay ,badan chupanay,aur libaas ki sharait main jo namaz parh raha hayus ka khayal rakha jaey ga na kay marnay walay ka..4.Agar namaz kay mustahibbat ada karnay kay lihaaz say namaz ki kaifiyat moien na ki gae ho aur ijaray say bhi is ka pata na chalta ho kay namaz main mustahibbat ko anjaam dena wajib hay ya nahi,to qunoot aur rukoo ki takbeer waghaira jaisay maroof mustahibbat ka baja lana wajib hay..5.Qaza main Tarteeb wajib nahi hay.Ref:Tehreeul Waseela Imam Khumaini Part-1 Masala No.3,4,7,8,12.

Print

Id:
1233
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamolikom. namz e janaza mey jand bato key mutalq batae,1- keya wazo karna lazme ha? 2- keya paon sey jotey otarney cheyn ? 3- kasi gair shia key leyey dua e magferat parni chaey?4/ marney waley key gar jaa kar 3 den ka kahna kana chaey? hamid madina Gujrat

Answer: 1:Zaroori nahi hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.586)...2:Mustahab hay kay Namaz-e-Mayyat nangay paaon parhi jaey (Ref:Tauzeehul Masail Masala No.601)...3:Shia aur ghair shia kay hawalay say chothi takbeer kay baad dua main kuch farq hay.is tarah kay shia(momin) kay liye alag dua hay.mustazafeen yani wo log jinhoon nay Haqq ko qabool nahi kiya laikin agar un kay samnay haqq aashkaar hojaey to wo isko qabool kar laingay,un logoon kay liye alag dua hay aur jin logon ka haal maloom na ho un kay liye alag dua hay(Urwatul Wusqa Pg.328)...4:Mustahab hay kay mayyat kay aihl-e-khana kay liye 3 din tak khana bhaija jaey,un kay paas baith kar aur un kay ghar khana khana makrooh hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.622)..Duain.Shia(momin) kay liye « Çááåã Åä åÐÇ ÇáãÓÌøì ÞÏÇãäÇ ÚÈÏß æÇÈä ÚÈÏß æÇÈä ÃãÊß äÒá Èß æÃäÊ ÎíÑ ãäÒæá Èå ¡ Çááåã Åäß ÞÈÖÊ ÑæÍå Åáíß æÞÏ ÇÍÊÇÌ Åáì ÑÍãÊß æÃäÊ Ûäí Úä ÚÐÇÈå ¡ Çááåã ÅäÇ áÇ äÚáã ãä ÅáÇ ÎíÑÇð æÃäÊ ÃÚáã Èå ãäÇ ¡ Çááåã Åä ßÇä ãÍÓäÇð ÝÒÏ Ýí ÅÍÓÇäå æÅä ßÇä ãÓíÆÇð ÝÊÌÇæÒ Úä ÓíÆÇÊå æÇÛÝÑ áäÇ æáå ¡ Çááåã ÇÍÔÑå ãÚ ãä íÊæáÇå æíÍÈå æÃÈÚÏå ããä íÊÈÑà ãäå æíÈÛÖå ¡ Çááåã ÃáÍÞå ÈäÈíß æÚÑøÝ Èíäå æÈíäå æÇÑÍãäÇ ÅÐÇ ÊæÝíÊäÇ íÇ Åáå ÇáÚÇáãíä ¡ Çááåã ÇßÊÈå ÚäÏß Ýí ÃÚáì Úáííä æÇÎáÝ Úáì ÚÞÈå Ýí ÇáÛÇÈÑíä æÇÌÚáå ãä ÑÝÞÇÁ ãÍãÏ æÂáå ÇáØÇåÑíä æÇÑÍãå æÅíÇäÇ ÈÑÍãÊß íÇ ÃÑÍã ÇáÑÇÍãíä »..Mutazafeen kay liye dua ..« Çááåã ÇÛÝÑ ááÐíä ÊÇÈæÇ æÇÊÈÚæÇ ÓÈíáß æÞåã ÚÐÇÈ ÇáÌÍíã ¡ ÑÈäÇ æÃÏÎáåã ÌäÇÊ ÚÏä ÇáÊí æÚÏÊåã æãä ÕáÍ ãä ÂÈÇÆåã æÃÒæÇÌåã æÐÑíÇÊåã Åäß ÃäÊ ÇáÚÒíÒ ÇáÍßíã »..Majhoolul Haal kay liye dua..« Çááåã Åä ßÇä íÌÈ ÇáÎíÑ æÃåáå ÝÇÛÝÑ áå æÇÑÍãå æÊÌÇæÒ Úäå »

Print

Id:
1235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: Zahir ye hay kay Namaz-e-Jamat main kisi bhi maqam par Furada ki niyyat karna Agarchay ikhtiyaar

kay saath ho JAIZ hay,chahay pehlay hi say is ka irada kion na rakhta ho.laikin Aihtiyaat ye hay

khusoosan jab pehlay hi say is ka irada rakhta ho,furada ki niyyat na karay magar ye kay zaroorat

is baat ka taqaaza karay.agarchay wo zaroorat dunyavi aitibaar say hi kion na ho.Ref:Tehreerul

Waseela Pg.483.Masala No.7.

Print

Id:
1236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aok, if a person wants to offer jumma as well as zohar prayers then what will be his niyat for both zohar and jumma prayers?

Answer: Agar Namaz-e-Juma apni tamam sharait kay saath ada ki ja chuki hay to zohar ki namaz parhna jaiz nahi hay...Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720,I-23.

Print

Id:
1240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. app ney ik sawal key jawab mey kaha,(key ager joma ki namaz ki tamam saraid mojod hon). baraey karm. keya app wo sharaet bata saktey han walikom salam . hamid...madina gujrat

Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.

Print

Id:
1242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana kia namaz awaz k sath per saktya hain athni awaz kay telawaty ke awaz sirf kud ko hee aay. thx allah hafiz

Answer: 1:Mard par Aihtiyaat ki bina par wajib hay kay subah,maghrib aur Isha ki Namaz main Alhamd aur Sura Buland awaz say parhay...2:Mard aur Aurat Dono par Aihtiyaat ki bina par Wajib hay kay Zohar aur Asar main Alhamd aur Sura Aahista parhain...3:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main Aurat Alhamd aur Sura buland awaaz say ya ashista jaisay chahay parh sakti hay laikin agar Na-Mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho aur us ka sunna haram ho to Aihtiyaat ki bina par aahista parhay...4:Awaz kay buland aur Ahista honay ka mayaar Urf-e-Aam hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979-981.

Print

Id:
1259
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salam o alaikum. kya sunni fiqah ke pesh-imaam ke peeche namaaz e jamaat parhi ja sakti hai? is soorat mein niyyat kya hogi? aur juma ki namaaz ki jamaat ke baare mein kya hukm hai, aur niyyat kya hogi?

Answer: A.Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.

Print

Id:
1271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon ki namaz-e-janaza ada ki jasakti hay?

Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.309.

Print

Id:
1272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon kay liye Namaz-e-Wehshat ada ki jasakti hay?

Answer: Rajaa ki niyyat say parhnay main koi qabahat nahi (yani rajaa ki niyyat say parh sakta hay).Ref:Istiftaat A.Sistani I-34

Print

Id:
1309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam/mujhe hath dhony,taharat karte waqy aur khas taur par ghusle janabat karte huay bauhat shaq (doubt) hotay hain. main iss masalay main pechlay 14 years say giraftar hoon aur ab main khud bhi bauhat tung hoon aur meri family bhi. Allah, mola kay wastay dua karain aur koi aasan hul batain. shukria

Answer: Choonkay aap kaseeru-sh-Shak hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain is liye aap ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.Ref:Istiftaat A.Sistani I-49.

Print

Id:
1316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: SALAM. KYA NAMAZ-E-FAJIR SUBBAH TUK QAZA NAHI HOTI.

Answer: Namaz e Fajar ki qaza ka waqt Tuloo e Aaftaab tak hay.Ref:Tauzeeh A.Khaminae Q.No.372.

Print

Id:
1323
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar kisi nay jan kar wazoo kay baghier namaz ada ki halan kay wo janta hai kay us ka wazoo namaz mein toot gaya hai hai lakin wo namaz mein raha to ab kya karna chiyay us ko

Answer: Agar Namaz kay doraan hadas waqay ho jaey to namaz toor kar wuzu karna zaroori hay.Lihaza aap ki zimmedari hay kay agar waqt baqi ho to namaz dobara ada ki niyyat say anjam dain aur agar waqt khatam hogaya ho to us namaz ki qaza karain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.301.

Print

Id:
1347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamu alkum Meri age is waqat 33 saal hai mujh namaz qazai umerei aada karni hai kese ki jai gi

Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1364

Print

Id:
1470
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: IS IT RIGHT TO SAY "YA ALI MADAD" WITH SALAM?IF RIGHT THEN TELL WEATHER IT IS MUSTAHAB OR MUBAH?

Answer: yeh salaam shumaar nahi hoga. REF: www.sistani.org

Print

Id:
1491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon?

Answer: magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shaks kay liyay aadhi raat tak rehta hai. aur is dauran magrib ki namaz "ada" ki niyat se bajalae. aur agar koi shaks ikhtiyari halat me magrib aur isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke azan-e-subah se phelay qaza aur ada ki niyat kiyay bagair in namazon ko parhay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 724+728.
aur agar fajar ki namaz fajar kay waqt me anjaam di ja rahi hai to ussay "ada" ki niyyat se parhain gay, chahay faqat aik rakat ada karnay ka waqt hi baqi ho. aur agar waqt guzar janay ke baad anjaam di jai to "qaza" ki niyyat se parhi jai gi. aur fajar ka waqt yeh hai keh subah ki azan ke qareeb mashriq (east) ki taraf se aik sufaidi upper uthti hai jissay "fajar-e-awwal" kaha jata hai. jab yeh sufaidi phail jai to woh "fajar-e-dowwom" aur "subah ki namaz ka awwal-e-waqt" hai. aur subah ki namaz ka akhiri waqt suraj nikalnay tak hai. lihaza is waqt kay baad namaz "qaza" kar kay parhi jai gi, chahay ussay phir baad mein jis waqt bhi anjaam diya jai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 729+736.

Print

Id:
1496
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSALAM O ALIKUM. ] ALLAH APP KAY ILM MAY AUR IZAFA DAY AMEEN.. mujhey yeh poochna tha kay kisi insaan say qaza namazay hojati hay aur ab us ko yada nahi hay kay kitni namzay thi . aur woh ab tahajjud ki bhi namaz parhti hoon. kia namaz ki maafi hay

Answer: agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364
aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.

Print

Id:
1497
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: continue jab us nay dua ki hon ya ALLAH meri qazaye namaz maaf farma . aur ab achi tarah namaz parhti hoon.

Answer: agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364
aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.

Print

Id:
1506
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslaam-o-alikum agar namaaz-e-jumma ko wabib-e-tehreemi perhain (jaisa ky ayatullah seestani ki tozeh main likha hy) to zoher ki namaaz ko sunnat ki neyat say perhain ya wajib ki. 2nd Q. namaaz-e-jumma main aik masjid say doosri masjid mian kitna fasla hona chahey.

Answer: 1. juma (friday) ki namaz wajib-e-takhyeeri hai. lihaza agar namaz-e-juma ki sharait (conditions) maujood ho to juma ki namaz parhay. aur agar insaan juma ki namaz parh lay to phir zuhar ki namaz parhna wajib nahi hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.
2. juma ki 2 namazon kay darmiyan 1 farsakh (means 5.485km or 3.409miles) se kam ka fasila nahi hona chahiyeh. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.

Print

Id:
1510
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ?

Answer: Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992.

Print

Id:
1528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi.

Answer: ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org.

Print

Id:
1529
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q.1- Agar main Naamaz-e-Jumma agar wajib-e-tehremi ki neyat say perta hoon to zoher ki namaaz sunnat ki neyat say perhoon ya farz ki. please jawab jald dain. shukriay

Answer: B.T. jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)

Print

Id:
1562
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: if the weather is cloudy,what do we do for maghrib prayer,if there is very dark before time

Answer: B.T. badal ya in jaisi rukawato ke mawqe par.....
ahteyat lazim ye he ke namaz me us waqt tak takhir ki jaye jab tak ke waqat shuru ho jane ka itmenan hasil ho jae. (Aqai Sistan d.b. minhajus salehin masala no. 507)

Print

Id:
1590
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ask mein jahan job karta hoon uske wajeh se meri asar & magrib ki namz kaza ho jati hai. aesi job karna mere liye KYA thik hai. agar

Answer: agar is mulazimat ko jari rakhna is musalman ki majboori hai to jaisay bhi mumkin ho waqt par aur ada (ki niyat se) namaz bajalae, agarchay ruku aur sujood kay liyay ishara karna paray. lekin yeh sirf aik farzi surat hai jo aaam halaat mein paish nahi aati. musalman ko chahiyeh key ho Khuda se daray aur aisi mulazimat ikhtiyaar na karay jis ki khatir shariyat ka woh aham farz tark karna paray jo ke deen ka sutoon (pillar) shumaar hota hai. REF: A.Sistani, jadeed fiqhi masail, pg no. 84, masla no. 87.

Print

Id:
1591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q: If sajdigah is not available can we perform it on the back of palm? Besides leaves and wood on which materials is sajda correct(jaiz)?

Answer: 1. sijda zameen par aur un cheezon par karna zaroori hai jo khai (eat) aur pehni (wear) na jati ho aur zameen se ugti (grow karti) ho. for eg. lakri (stem) aur darkhton (trees) kay pattay (leaves) par sijda karay. aur jo cheezain zameen se ugti hain aur animals ki khuraak (food) hain, for eg. ghaas (grass) aur bhoosa, un par sijda karna sahi hai.
2. agar kisi kay paas aisi cheez na ho jis par sijda karna sahi hai, ya agar ho lekin shadeed sardi ya garmi ki waja se us par sijda nahi kar sakta ho to aisi surat mein tarkol aur zuft ko doosri cheezon par aulawiyat (priority) hasil hai. lekin agar in par sijda karna mumkin na ho to zaroori hai keh apnay libaas ya kisi aisi doosri cheez par keh jis par halat-e-ikhtiyar mein sijda jaiz nahi hota, sijda kar sakta hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, pg no. 171+172, masla no. 1063+1065+1071.

Print

Id:
1647
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai? 2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai? 3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai? 4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai? 5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai? 6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi.

Answer: bismehi taala,
(1-2-3-4) = nafal namaze halate ikhteyar me beth kar padhi ja sakati hain, mustabah namaz rasta chalte huye or sawari ki halat me padhi ja sakati hain, or agar insan in dono halto me mustahab namaz padhe to zaroori nahi ke uska munh kible ki tarf ho (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 754, 769)
(5) mustabab namazo me wazu sharte sehat he. (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 315 page # 78)
(6) agar namaze juma me zaroori sharayet puri ho to wo namaze zohar se afazal he or zohar ki jageh le sakati he. agar koi mukallaf namaze juma padh le to zohar ke badale usi par ektefa kar sakata he. (ref: jadid masail Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 27 page # 77) is masaale me mazeed maloomat ke liye aap www.sistani.com se ruju karen, ham bhi Insha Allah aap ka masala bhej denge.

Print